Naina meets Rohan and Vivek

667 108 134
                                    

Before I proceed with the chapter, I missed mentioning that this story is based in the early 2000s. It was pointed out to me by some readers. And am sorry for missing this out.

Let's continue with the chapter now.

It was evening time and Naina and Preeti were sitting and relaxing. "Naina yaar aaj bahar se kuch mangate hai bahut din ho gaye". "Theek hai manga lete hai. Mera bhi aaj mood nahi tha kuch banane ka." "Pizza khaye aaj". Preeti asks. "Ok, done." Naina tells Preeti.

Their landline phone rings. Preeti picks up the phone "Hello". "Hello Preeti, kaisi hai meri bacchi." "Maaaa, kaisi hai aap, hum dono theek hai. Aap log ko miss kar rahe the."

"Haan beta hum dono bhi tum log ko bahut miss karte hai. Beta, Naina kahan hai? Tumhare papa ko usse baat karni thi." "Haan maa, ek minute main bulati hoon usse. Naina, maa ka phone hai. Papa ko tumse baat karni hai''.

"Hello maa, kaisi hai aap? Papa kaise hai." "Hum theek hai beta. Tumhare papa ko tumse baat karni hai." "Theek hai maa."

"Naina beta kaisi ho". Rakesh asks. "Main theek hoon papa. Aap kaise hai?" "Main bhi bilkul theek hoon. Beta woh mujhe tumse kuch poochna tha". Rakesh replies.

"Haan papa boliye na". "Beta main woh pooch raha tha.....". "Papa boliye na kya baat hai''.

"Dekho beta, thode mahine mein tumhari padhai bhi poori ho jayegi. To main soch raha tha ab tumhari shaadi ka socha jaaye. Main yeh pooch raha tha tumhe koi ladka pasand hai to batao. Hum uske ghar walo se baat karenge."

"Papa mujhe itni jaldi shaadi nahi karni. Mujhe abhi job karni hai, fir aapka business join karna hai." Naina replies. "Beta lekin ab tum 21 ki ho gayi ho aur jaldi 22 ki ho jaogi. To yahi sahi time hai beta. To batao koi pasand hai tumhe." Rakesh says.

"Nahi papa, meri zindagi mein koi nahi hai. Aap jo bhi ladka pasand karenge, main usse shaadi kar loongi. Lekin mujhe abhi nahi karni shaadi". Naina also replies.

"Theek hai beta. Aur abhi se dekhna shuru karenge, to pata nahi kitne dinon mein milega. Main rakhta hoon phone". Rakesh says.

Sameer, Rohan, Pandit and Vivek come back home from office. They all go to their rooms to freshen up and come down for evening snacks. Vivek tells everyone that he will be meeting Rakesh soon and ask him if he knows any eligible girls for Sameer. "Papa next week, mujhe aur Rohan ko ek meeting ke liye Mumbai jana hai for 2 days". Sameer tells Vivek. "Theek hai beta. Kab jaa rahe ho tum dono." "Papa 8th ko jayenge aur 10th ko aa jayenge". "Ok fine".

Next day Vivek goes to meet Rakesh in his office. "Sir, Mr. Vivek Maheshwari has come to see you." Receptionist calls up Rakesh to inform him. "Haan bhejo unhe andar", "You can go sir".

Vivek knocks the door and Rakesh says "Vivek aa jao andar''. Vivek enters his cabin and Rakesh comes forward and hugs him. "Vivek kitne dinon baad aaye ho tum. Kahan busy the, phone bhi nahi kiya. Ghar par sab kaise hai?"

"Arre thoda kaam mein busy tha. Ab Sameer ne bhi office join kar liya aur Pandit to aata hi tha. Rohan bhi office aa jata hai thoda experience gain karne".Vivek replies.

"Chalo acha hai, bachon ne office sambhal liya hai. Tum log ka workload bhi kam ho raha hoga". Rakesh says.

"Haan thoda to kam hua hai workload, lekin phir bhi kaam to hai hi na". Vivek says.

"Haan woh to hoga hi. Naina ka bhi MBA khatam hone wala hai. Kahin job karna chahti hai pehle fir mujhe join karegi". Rakesh also says.

"Arre wah itni badi ho gayi. Pata hi nahi chala bacche kitni jaldi bade ho jaate hai. Hum log bhi ab Sameer ke liye ladkiyan dekhna shuru kar rahe hai. Isi silsile mein tumhare paas aaya tha. Koi ladki ho nazar mein to batana." Vivek says.

Shubh Mangal Savdhaan  (On hold)Where stories live. Discover now