Prologue

173 9 0
                                    

"Preeti uth na dekh subah ke 7.30 baj gaye hai. Tu abhi nahi uthi na to main tujhe chhod kar college chali jaoongi." And she is our Naina who is trying to wake up her sleeping sister. Both the sisters are studying in Mumbai and living all by themselves in a flat in Andheri.
----------------------------------------------------------
In the garden of a beautiful bungalow a young man can be seen exercising. A boy enters and says "bhaiya aur kitni exercise karoge. Office ke liye late ho jayenge." The young man replies "bas Rohan 10 minutes aur lagenge fir main ready hone ja raha hoon." And he is none other than our favourite Sameer.

Sameer finishes his exercising and goes to his room to freshen up. After getting ready he comes down to have breakfast with his family. "Good morning dadu and dadi. Good morning tauji and taiji. Good morning mom and dad. Pandit kahan hai abhi tak neeche nahi aaya kya?" "Bhai main yahan hoon." Pandit comes down and says.
----------------------------------------------------------
Dadu starts a conversation and says "Tara main soch raha tha Sameer ki padhai bhi khatam ho gai hai aur usne office bhi acche se sambhal liya hai. To kyun na uski shaadi ka ab socha jaye." "Haan ji main bhi yehi soch rahi thi. Kya kehti ho tum dono Vishakha aur Abha." Tara replies.

"Papa aap sahi keh rahe hain. Lekin ek baar humko Sameer se bhi pooch lena chahiye kahin usko koi pasand to nahi." Vishakha says this.

"Bahu jaise aaj tak sab ki arranged marriage hui hai waise hi Sameer ki bhi hogi. Hamare khandan mein aaj tak sabhi faisle bado ne liye hai aur wohi sabne maane hai to Sameer ko bhi man-na padega. Maheshwari khandaan mein Love marriage na aaj tak hui hai na aage kisi ki hogi" Jai Prakash replies to Vishakha.
----------------------------------------------------------
Rama and Rakesh. Rama says to Rakesh "suniye ji Naina ke college ka yeh aakhri saal hai aur ab uski shaadi ki umar bhi ho gayi hai to kyun na uske liye ladka dekhna shuru karein". "Keh to tum sahi rahi ho Rama lekin ek baar Naina se pooch lete hai ki usko koi pasand to nahi". "Ji theek hai aap usse baat kar lijiyega" replies Rama.
----------------------------------------------------------
"Bhai hum yeh soch rahe the ki ab aapne office bhi join kar liya hai to gharwale aapki shaadi ki baat karenge. Aap Ko koi pasand hai to mumma papa ko bata do na". Rohan told Sameer. "Haan bhai chote sahi keh raha hai. Aap chacha aur chachi se baat kar sakte ho. Waise aap ko love marriage karni hai ya arranged marriage." Pandit asks Sameer.

"Yaar maine aaj tak kisi ladki se baat hi nahi kari hai to pasand kaise karunga. Mujhe ghar walo par pura bharosa hai. Woh jo bhi ladki pasand karenge main usse shaadi kar loonga. Mujhe unki pasand par koi aitraaz nahi hoga. Main ghar walo ke khilaaf jaa kar shaadi nahi karna chahta." Sameer tells them.
----------------------------------------------------------
"Dekho beta, thode mahine mein tumhari padhai bhi poori ho jayegi. To main soch raha tha ab tumhari shaadi ka socha jaaye. Main yeh pooch raha tha tumhe koi ladka pasand hai to batao. Hum uske ghar walo se baat karenge."

"Papa mujhe itni jaldi shadi nahi karni. Mujhe abhi job karni hai, fir aapka business join karna hai." Naina replies. "Beta lekin ab tum 21 ki ho gayi ho aur jaldi 22 ki ho jaogi. To yahi sahi time hai beta. To batao koi pasand hai tumhe." Rakesh says.

"Nahi papa, meri zindagi mein koi nahi hai. Aap jo bhi ladka pasand karenge, main usse shaadi kar loongi. Lekin mujhe abhi nahi karni shaadi". Naina also replies.

"Theek hai beta. Aur abhi se dekhna shuru karenge, to pata nahi kitne dinon mein milega. Main rakhta hoon phone". Rakesh says.
----------------------------------------------------------

Shubh Mangal Savdhaan  (On hold)Where stories live. Discover now