CHAPTER FOUR

1.5K 153 10
                                    

som took anirudh to study......

ani : yaha kyu laaye ho......?

som : aapko sach ka aaina dikhane dada......

ani : matlab kya hai tumhara khulkar batao......

som : thik hai rukiye yahi.......

he went towards his desk and opens his drawer......

ani : som kya kar rahe ho mera drawer kyu khol rahe ho......

he didn't listened him and removed some papers.......anirudh widen his eyes......he quickly went to him and snatched it from him.......

som : aisa kya hai dada jo aap apne bhai se chupa rahe hai......

ani : kuch nahi hai tum jao mujhe court ke liye der ho rahi hai.......

som : dada inme kya likha hai woh main already padh chuka hu toh chupane ki zarurat nahi hai......

ani : som tumne.....

som : sorry dada par karna pada......main aksar aapko study ke bahar se aadhi raat ko kuch likhte hue dekhta tha aur usse likhte likhte aapke chehre par muskaan bhi hoti thi toh yeh toh zaahir si baat hai agar kisi insaan ko aadhi raat ko kaam karna pade toh uske chehre par muskaan toh hogi nahi.......aur muskaan aapke chehre se hat ti hi nahi thi.......ek din main study mein aaya mujhe aapse kaam tha isiliye par aap nahi the par shayad uss din galti se aapne apna drawer lock nahi kiya tha......aur accha hi hua nahi kiya tha aakhir sach toh pata chala......

ani : kaunse sach ki baat kar rahe ho som.......

som : dada aap acchi tarah se jaante hai ki mujhe sab pata hai phir bhi agar aap mere muh se sunna chahte hai toh thik hai aapko baudi se pyaar ho gaya hai........

ani : ai.....ais.....aisa kuch nahi hai som......(stammering)

som : agar aisa nahi hai toh humesha saaf saaf bolne wale anirudh roy choudhary ki zabaan kyu ladkhada rahi hai.......

ani : som please jao yaha se......

som : dada kyu chupa rahe hai inme aapne baudi ke liye kitni acchi acchi shayari aur kavitayein likhi hai........main ek baar ke liye khud padhkar chauk gaya tha ki mere dada itna accha likh sakte hai.......sach hai na yeh......

ani : haa sach hai......(loudly) sunn liya jo sunna tha......

som : toh phir aap baudi ko bata kyu nahi dete ki aap unse pyaar karte hai.......

he sighed.....

ani : nahi bata sakta som.....

som : kyu nahi bata sakte......dada woh patni hai aapki......apni hi patni ko aap yeh nahi bata sakte ki aap usse pyaar karte hai.......

ani : som uski padhai......

som : dada padhai zaruri hoti hai zindagi mein par puri zindagi sirf padhai nahi ho sakti......dada shayad aapko abhi abhi ehsaas hua ho ki aap baudi se pyaar karte hai par iss ghar mein hum sabko shuru se pata hai ki aap aur baudi sirf ek dusre ke liye hi bane ho.......dada baudi ke liye aapka jo sapna hai jisse pura karne ke liye aap din raat mehnat karte hai sabse ladh jaate hai yaha tak ki apni jaan khatre mein daalne se pehle bhi ek baar nahi sochte.......baudi jab bimaar hoti hai toh aapki raato ki neend din ka chain chala jaata hai.......yaha tak ki aap apne kaam ki bhi koi fikar nahi karte.........bass din raat unke saath rehkar unki seva karte hai......raat raat jaag kar unke liye yeh kavitayein likhte hai dada yeh pyaar nahi hai toh kya hai.......kya pyaar ka matlab sirf physical relationship hota hai.......

he looked at him with teary eyed.......

som : dada pyaar ek bohot khubsurat ehsaas hai agar aapka pyaar aapke saath na bhi ho na toh bhi aap usse apne aas pass apne andar mehsus kar sakte ho......dada pyaar ki yeh ghatiya paribhasha iss samaj ne banayi hai......aur agar aap baudi ki umar ko dekhte hai toh dada ab baudi itni badi toh ho hi gayi hai ki woh pyaar jaisi itni badi chiz ko samajh sake.......agle mahine 18 ki ho jayegi........

ani : som main tumhari baat samajh raha hu par jin haalaton mein humari shaadi hui bondita ko shaadi ka sahi arth bhi nahi pata tha usse toh yeh bhi nahi pata tha ki aakhir uske saath ho kya raha hai ab badi ho gayi hai shaadi ka sahi matlab pata hai usse......usse bhi toh haq hai na apne pasand ka jeevansaathi chunne ka jo usse nahi mila.......shayad bondita kisi aur ko pasand karti ho  par mere saath bandhe rehne ke karan bol na paa rahi ho......

som : aisa toh ho hi nahi sakta dada.......baudi khud ki jaan lena pasand karegi par aapke alawa kisi aur ko nahi chunegi aur iss baat ka mujhe pura vishwas hai.......accha ek baat bataiye agar baudi aapse yeh kahe ki woh kisi aur ko pasand karti hai toh aap kya karenge......

ani : woh.....woh....main....

som : nahi hai na jawab dada kyuki dada aap bhi baudi ko kisi aur ke saath nahi dekh sakte aur yeh baat hum mein se kisi se bhi chupi nahi hai abhi ki hi baat le lijiye uss ladke raj ka naam sunte hi aapke chehre ke barah baj gaye the.......chalo raj ko bhi chodo kabhi kabhi aap baudi ko batuk ke saath bhi dekhte hai toh aapko accha nahi lagta.......jis tarah se batuk aur baudi close hai ek dusre se apni mann ki saari baate karte hai yeh aapko kabhi kabhi accha nahi lagta......isiliye aap bina wajah kabhi kabhi batuk par gussa ho jaate hai aur usse saza bhi de dete hai aur yeh baat batuk bhi jaanta hai isiliye kabhi kabhi woh aapko zyada hi pareshaan karta hai.......dada jo baat hum sab dekh sakte hai mehsus kar sakte hai woh aap kyu nahi maan lete.......

ani : mujhe darr lag raha hai main kaise bondita se kahu ki......

som : dada aap baudi se pyar karte hai yeh aap unse kaise kahenge iss baare mein baad mein sochiye pehle baudi ko yeh toh feel karvaiye ki aapki zindagi mein unki bhi ek khaas jagah hai.......

ani : khaas hai bondita mere liye som......

som : he dugga maa kaka sahi kehte hai nalayak bagad billa......

ani : som.....!!!!

som : kya som dada agar baudi aapke liye khaas hai toh unhe jataiye toh......unhe kaise pata chalega.......dekhiye dada ab woh koi bacchi nahi hai jisse aap roshgullo ki 8 handiyan laakar de denge toh woh maan jayengi.......aapko unke pati ki tarah behave karna hoga........unhe yeh ehsaas dilana hoga ki unka pati unn ke saath hai har kadam par.......aaj tak aapne unhe apni shishya aur apni dost ki tarah dekha ab aapko unhe ek patni ki nazariye se dekhna hoga aur uski shuruaat aapko un ke saath ek kamre mein rehkar karni padegi.......

ani : yeh baat maine bhi sochi thi par sach kahu toh mujhe samajh hi nahi aa raha hai ki yeh baat main kaise karu aur bondita kya sochegi.......

som : dada aapko apni hi patni ke saath ek kamre mein rehna hai padosi ki patni ke saath nahi........aur baudi bohot khush hogi......ek baar koshish toh kijiye dada......aap ek kadam badhayenge na unki taraf toh woh das kadam apne aap badhayengi aapki taraf......

ani : thik hai main koshish karta hoon......

som : yeh hui na baat.....

he smiled nervously.......

Anidita : Match Made In HeavenWhere stories live. Discover now