CHAPTER EIGHTEEN

1.1K 147 25
                                    

Anirudh went to aashita's house......

banerjee : aaiye anirudh babu.....

ani : namaste kaka.....kaise hai aap.....

banerjee : bas badhiya bethiye na.....kuch lenge....

ani : nahi nahi kaka aap log haldi ki rasam shuru kijiye.....

banerjee : ji.....

aashita's haldi ceremony ended on a good note.....

anirudh went to aashita.....

ani : aashita mujhe tumse kuch zaruri baat karni hai......

aas : ji dada kahiye na.....

ani : kahi aur.....

aas : rukiye......baba anirudh dada se kuch baat karni hai hum chhat par hai.....

banerjee : thik hai.....

aas : aaiye dada.....

he nodded.....they went on terrace.....

aas : kya baat hai dada aap kuch pareshan lag rahe hai......?

ani : aashita pichle kuch dino se bondita bohot hi alag bartaav kar rahi hai.......zyada kisi se baat nahi karti.......gumsum rehti hai......aur mujhe toh aise ignore karti hai jaise anirudh naam ka koi insaan hi nahi hai uski zindagi mein......usse kuch hua hai kya usne kuch bataya hai kya tumhe.......tum dono best friends ho aur sab share bhi karte ho toh.......

aas : nahi dada bondita ne mujhe kuch nahi bataya par aapki baato se main samajh gayi uske saath kya ho raha hai......

ani : kya....?

aas : dada bondita meri tarah ab ek teenager hai......waise toh teenage mein aane ke baad sabke andar harmonal changes aate hai uske saath kuch emotional aur physical changes aate hai......hum ladkiyon mein yeh bohot hi choti umar se shuru ho jaata hai aur iss waqt bondita ki jo age hai yeh sab common hai main bhi bondita ki umar ki hu isiliye samajh sakti hu......dada aapki aur bondita ki shaadi kin haalaton mein hui yeh sab jaante hai.......bondita jab choti thi zahir si baat hai usse shaadi ka matlab nahi pata tha isiliye uske liye yeh rasmein koi maayne nahi rakhti thi par ab yehi chizo ki usse kami khalne lagi hai......usse lag raha hai ki woh saare pal jee hi nahi paayi jo ek ladki jeeti hai uski shaadi ke waqt jaise iss waqt main feel kar rahi hu.......shaadi ka mohol hai aur har ladki ki tarah bondita ke bhi apne sapne honge apni shaadi ko lekar.......woh bhi chahti hogi sab uski marzi se ho uske liye ho.......dada har ladki ke apne sapne hote hai shaadi ko lekar.......bondita bhale hi baaki ladkiyo se alag hai soch mein par hai toh woh ek ladki hi na dada uski bhi icchayein hongi........dada iss waqt usse special feel karwane ki zarurat hai.......som ji ne bataya tha mujhe ki aap uske birthday ke din usse propose karne wale hai......

he nodded.....

aas : main toh kehti hu dada aap uske birthday tak ka intezaar mat kijiye......aur naa hi exams khatam hone ka.......dada jab insaan khud ki feelings se jhujh raha ho na toh woh depression mein bhi jaa sakta hai.......dada bondita bhi aapse bohot pyar karti hai......

he looked at her with shocked face.....

aas : mujhe pata hai dada.......hume ek dusre ke baare mein sab pata hota hai......aur dada aaj se nahi kai saalo se aur jaise jaise samay bit ta gaya aapke liye bondita ka pyaar aur badta gaya.......main jaanti hu dada iss umar mein kabhi kabhi infatuations bhi ho jaate hai kisi ke roop ko dekh kar ya kisi ka rutbe dekh kar par dada bondita aapse sach mein bohot pyar karti hai.....

ani : agar woh mujhse pyar karti hai toh mujhe batati kyu nahi hai......

aas : darti hai dada.....

ani : kis baat se.....?

aas : dada yeh toh aap khud se puchiye kya aap nahi jaante......

ani : mujhe kuch samajh nahi aa raha aashita saaf saaf batao......

aas : sorry dada agar aapko meri baat buri lage toh bondita ki chuppi ka kaaran aap khud hai......

ani : main......?

aas : manorama.....!!!!!

anirudh wides his eyes......

aas : dada jo saalo pehle hua tha uske zakham abhi tak bhare nahi hai.......bondita ko aaj bhi yehi lagta hai ki agar woh apni dil ki baat aapko batayegi toh kahi aap naraz na ho jaaye......

anirudh stepped back from his place......

aas : dada aaj main aapko ek sach batati hu bondita ne mana kiya hai par aaj bolna padega.......dada uss haadse ke baad bhi sab ne bondita ko taana maarna nahi choda.......school mein students to students teachers bhi kabhi kabhi usse taane de dete the.......hum jab school se wapas aate the toh gaav mein sab usse dekh kar baate banate the.......sunayi toh nahi deta tha par woh yeh zarur samajh gayi thi ki log ussi ke baare mein baat kar rahe hai........sabki zubaan par bass ek hi baat bacche kab degi.......pati ne dusri shaadi isiliye ki kyuki woh usse sukh nahi de paa rahi thi ya woh baanjh hai......inn saari baato ne bondita ke mann mein ghar kar liya tha......

anirudh closed his eyes in pain......

ani : phir kya hua......?

aas  : phir ek din bondita ne thaan liya ki woh inn sab ka matlab jaan kar rahegi.......humari school mein uss waqt ek aurat london se aayi thi funds donate karne......woh bharat ki hi thi......isiliye bondita aur meri unse acchi dosti ho gayi thi........bondita ne apne saare sawal unke saamne rakhe.......aur unhone bade pyar se aur bade samman ke saath hume sabkuch samjhaya........uss din bondita bohot royi kyuki usse lagne laga ki isme saari galti uski hai......wahi kuch samajh nahi paayi......

ani : nahi aashita bondita ki koi galti nahi thi usme woh meri galti thi maine hi apne gusse mein aakar galat decision le liya aur......

aas : dada ab yeh sochne ka waqt nahi hai ki galti kiski thi.......dada mujhe pata hai aapko yeh sunkar accha nahi lagega par bondita aapse darti hai........woh darti hai ki kahi phir se aapne.......

anirudh closed his eyes feeling disgust for himself.......he sat on his knees and cried......

aas : dada shaant ho jaiye.....

ani : kaise shant ho jau aashita........meri wajah se meri bondita ne itna kuch saha mujhe pata bhi nahi chala.......

aas : dada yeh waqt bigde hue par rone ka nahi hai yeh waqt bigde hue ko sahi karne ka hai jaiye dada aaj hi bondita se keh dijiye ki aap usse pyar karte hai........uski saari insecurities chali jayegi.......

ani : thankyou aashita bohot madat ki hai tumne meri......ek behen ki kami thi aaj woh bhi puri ho gayi.......

aas : mujhe bhi toh dada mil gaye......ab jaiye meri baudi se apni dil ki baat kahiye......

he chuckled and hugged her......

ani : thank you aashita......jab bhi tumhe apne iss bhai ki zarurat ho bata dena......

aas : zarur.....all the best woh kya hai na meri dost ko propose karna itna aasan nahi hai......

ani : woh toh tum dekhti jao......bye.....

aas : bye.......

Anidita : Match Made In HeavenWhere stories live. Discover now