KaIra Family ( Last Part )

713 72 5
                                    

Note: Hey guys I have changed the name of this os from maa: sabse pehli dost to KaIra family. It's just a short os on their family bonding.

Evening 6.00 pm

Goenka Villa
Kartik comes back home from office.

Naira: Arey aagaye tum Kartik, aaj itni jaldi.

Kartik: Ha woh aaj kaam jaldi khatam hogaya.

Naira gives him tea and sits to have herself.

Naira: Accha waise kaisa raha tumhara din? tumhari ek bohot important meeting thi na aaj, how was it?

Kartik: Meeting acchi thi, humare company ko deal mil gayi. All thanks to your presentation. Clients ko tumhara banaya hua presentation itna pasand aaya tha, kitni tareef kar rahe te woh tumhari. Seriously agar tum nahi hoti toh pata nahi mera kya hota. Seriously I feel tumhe bussiness ko rejoin karna chahiye.

Naira: No yaar Kartik, tumhe pata hai na ki maine bussiness kyun choda tha. Bussiness, academy aur ghar teeno ek saath sambhalna is hell of a tiring job. Itne hectic schedule mein mujhe khudke liye time nahi milta tha. Bussiness sambhalne ke liye tum akele kaafi ho, coz tum bohot acche se kar sakte ho yeh. Isliye maine business choda taaki apni academy aur ghar dono pe concentrate kar saku main. Specially ghar pe meri zyada zarurat hai, Akshu badi horahi hai usse iss wakt meri attention ki sabse zyada zarurat hai. I need to make sure ki woh kisi bhi galat raaste par na chale joh iss umar mein common hai. Iss phase se main already guzar chuki ho isliye main nahi chahti ki joh galtiyan maine kiye te apne teenage life mein woh meri beti bhi kar bethe.

Kartik: Tum sahi keh rahi ho Naira. Waise tumhari academy ka kaam kaisa chal raha hai, competition ki saari taiyaari kaisi hai?

Naira: It's all going smoothly, saare students bohot acche preparations kar rahe hai competition ke liye.

Akshu comes there.

Akshu: Papa aap aagaye.

Kartik: Yes meri princess.

Akshu: Papa aap kya leke aaye hai mere liye.

Kartik: I'm really sorry princess, main bhul gaya tere liye kuch leke aane ke liye.

Akshu: Haww very bad papa, main aapse gussa hoon katti.

Kartik: I'm really sorry na princess. Accha idhar aao. Yeh dekho kya laya hoon main apni princess ke liye.

He shows her a box of chocolates.

Akshu(happily): Wow yeh toh meri favourite chocolates hai, thank you papa I love you. ( Kisses his cheek ).

Kartik: I love you too princess.

Akshu: Mumma yeh bhai kaha reh gaye, unhe mujhe chodne aana hai na Priya ke ghar. ( Calls out to him loudly ) Bhai....bhai....bhai kaha hai aap? Jaldi aayiye mujhe late horaha hai.

Kairav comes there.

Akshu: Bhai kaha reh gaye te aap? Chaliye jaldi mujhe Priya ke ghar chodiye.

Kairav: Tu itni impatient kyun horahi hai? Tu toh aise utaavli horahi hai jaise Priya se nahi apne kisi boyfriend ke ghar jarahi ho.

Listening this Kartik gets shocked.

Akshu(disbelief): Seriously bhai irritate karna bandh kijiye aap, aaj mera sleepover hai Priya ke ghar isliye I am so excited. Humne na puri raat ek acchi si horror movie dekhte hue bohot saare snacks aur cold drinks peene ka plan banaya hai aur saath mein hum pizza bhi khaayenge.

Kartik: Ha aur meri princess bohot hi innocent hai iska koi boyfriend kaise hosakta hai.

Kairav(sarcastically): Papa aapki yeh princess is not so innocent, isko crush hai ek ladke pe joh iska school classmate hai.

Kartik(shocked): Kya yeh tu kya bol raha hai Kairav, aisa nahi hosakta. Tu kuch bhi bakwaas mat kar samjha.

Akshu: Ha papa bhai bakwaas hi kar rahe hai, mera chehra dekhe aapko aisa lagta hai ki mera koi crush hosakta hai. ( Speaks while making an innocent and cute puppy face. )

Kartik: Nahi bilkul nahi.

Kairav: Sach sach bata Akshu tera woh school ka crush hi Priya ka bada bhai hai na.

Akshu is widens her eyes in shock but then composes herself which is noticed only by NaiRav.

Akshu: Kya bhai aap bhi na kuch bhi bakwaas karte rehte ho. Papa dekhiye na bhai ko.

Kartik(glares him): Kairav jaanbujh ke meri princess ko pareshaan karna bandh kardo samjhe.

Akshu secretly teases Kairav after he gets scolding from Kartik, seeing this Kairav glares at her but she is least bothered and continues to tease him while making funny faces.

Kairav: Papa peeche dekho yeh Akshu mujhe chida rahi hai.

Kartik looks back and sees Akshu standing with an innocent face.

Akshu: Haww bhai kitne bade jhoote hai aap.

Kartik: Kairav kyun meri princess ke peeche pade ho. Khabadaar agar meri princess ko pareshaan kiya toh.

Kairav makes a grumpy face while NaiSha laugh at him.

Os completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

YRRKH OS BookOnde histórias criam vida. Descubra agora