PART 6 * ignore mistakes * Writer:Wafa Fatima

71 2 0
                                    

Agli subah wo kahin or nahi nikla,..usne Anushay Bashar k istaqbal ka koi khaas intizaam to nahi kia tha lekin unke lie hotel ki jaga bahir  ka khana or apne hi hotel me ek room preserve krwaya tha

Wo shaam ko Airport pr tha...apni mama ka intizar kr raha tha

Tab duur se aati usne apni maa ko hath hilate dekha

"Asss'Saaalaaam'O'Allleeeekuuum"...usne unhe zor se galay lagate kaha
"WalekumAsSalam kese ho beta"
"Bohat khoobsurat"...usne haste hue kaha
"Wo to h"..wo hasi thin

"1 haftay pehle hi to aya hun yahan wesa hi hunga jesa aapne rukhsat kia tha"...wo haste hue bola
"Acha....chalo rozana me tumhe khana khilaya krti thi,aaj tum mujhe khana khilao zara,zoro ki  bhook lag rahi h"...wo muskurate hue bolin
"YES MAM!!"usne sanjeedgi se kaha to wo has din

*****************************
"Ufff kia bataun itna maza aya na aaj!"..Nida aaj Zumra k ghar nahi ayi thi,uske parents use or Maheen ko Maheen k itne arsay k baad aane ki khushi me kahin ghumane le gaye thay

"Mat batao mene konsa pucha h"...wo TV pr nazre jamae maddham awaz me boli

"Tumhein to interest hi nahi h kisi cheez me"...wo dono shaam k waqt noodle k bowls lie bethe thay
Wo uska ye jumla sun kr muskurai thi

"Insan khud khush na rahe to use dusro ki khushi to sun leni chahiye"..Nida khafgi se keh rahi thi
"Mere sar me dard ho gaya h tumhari ye maze ki kahani sun sun k!!!pichle 10 min se aate hi jo tum shuru hui ho majal h tumhara paon break pr gaya ho!"...wo use dekhe baghair screen ki taraf mutawajja jese uspr gussa ho rahi thi
"Tum to sunati nahi aesi kahaniyan mujhe...na hi kahin jati ho maze krne....phir kisi ko sunane bhi nahi deti"...Nida ne maddham awaz me kaha
Usne aage se kuch nahi kaha...wo apne matlab ki baat kr k ziada tar khamoshi pasand thi

"Tum itna kam bolti ho na Zumra...kabhi kabhi me sochti hun tum shayad koi insan k roop me koi or hi makhlooq ho or hume nahi batati!"...Nida ne baat ka mouzu badla

Wo kuch der khamosh rahi phir usne yakdam maddham awaz me kaha

"THE LESS YOU TALK,
THE MORE PEOPLE THINK ABOUT YOUR WORDS!"

"Tumhari philosophies to bussss"...Nida ne bezar hote hue kaha

Usne ghalat nahi kaha tha...insan jitna kam bolta h utna hi dusro ko uski baatein yaad rehti hain or wo unki baaton k baare me sochte hain...ziada baatein krne wala insan logo ki nazar me musalsal chalne wale radio k ilawa kuch nahi...log ziada bolne walo ki baato ko ehmiyat nahi dete...or kam go logo k mu se baat,jawab sunne k intizar me hote hain

"Wah congratulations yaar!!"..Zaviyar room se nikal kr kitchen ki taraf gaya

Zumra k kaan uski taraf mutawajja huwe

"Chalo bohat achi khabar suani tumne....Han Han zarur aayenge.........Bilkul yaar subko launga......tum fikar mat kro taiyarian kro bus....OK chalo Khuda Hafiz"...wo hath me paani ka glass le kr kitchen se apne kamre ki taraf barha

"Kheriyat??"...Zumra ne use kamre me jaate dekh kr pucha

"Ye to mujhe puchna chahiye"...wo muskurate hue bola.."Sharaf bakhsa aapne humse koi sawal kr k"

"Meri baat ka jawab do Zavi!"...wo use dekhte sanjeedgi se boli

"Amma aa jaien to unhein bhi bata dena,tum log bhi taiyar ho jana...kal mere dost ki shadi h"...Zaviyar ne kaha

"Konsa dost??"....Zumra ne beikhtiyar pucha..."wo jo tumhe us din dukaan k aage mila tha??"....wo ghabrae hue puch rahi thi

"Han zahir h wohi...uske ilawa yahan mera koi dost to h nahi"....usne apni kahani use yaad dilate hue kaha

Uske jisam me shock ki ek leher dorhi
Islie wo kal call nahi pick kr raha tha...islie uska number busy tha...wo dil me soch rahi thi

"Zumra!?"..Nida ne uske kandhay pr hath rakkha
"Are you okay?"
Wo baghair jawab die zameen ko ghoorti apne kamre me chal di

"Ise kia hua?"...Zaviyar ne usko jaate dekh kr Nida se pucha
"I don't know...humne aesi to koi baatein nahi ki thi k wo mujh se naraz ho...khair me chalti hun mama baba or aapi intizar kr rhe honge"...Nida ne kaha
"Acha Bye"

Wo gate se joote pehenti apne flat pr chali gai thi

*************************
Zumra hairangi k aalam me apne kamre me ayi thi
Gate band kr k,....Gate se take laga kr wo wahin beth gai thi

"Kuch din pehle hi to bataya tha mene use me use pasand krti hun"...wo dil me soch rahi thi..."kia usne meri baat ko serious nahi lia??mazaq me ura dia??"...use apne kie jese bewaqoofi lagi...us waqt jese use khud ki jaga us pr taras a raha tha k jo insan kisi ko aankh utha kr nahi dekhta usne use pasand kia tha...or wo badnaseeb use deserve hi nahi krta tha

"Khair jo bhi ho badnaseeb h wo"...usne khud ko tasalli di...or agle hi lamhe bed pr ja leti...phir yakdam uth kr beth gai

"Shaadi to uski hogi nahi"...wo apne aap me burburai..."Me hone dun to shayad ho jaie"...usne muskurate hue khud se kaha

Wo zarur kuch krne wali thi....lekin kia..ye sirf Khuda or wohi jaanti thi...wo dobara let gai...neend to duur duur tk na thi...wo kaafi der idhar se udhar karwate badalti rahi...phir usne tang akr apni side table se sleeping pill nikal kr khai or dobara let gai...neend abhi bhi nahi thi aankhon me...lekin kuch ghaton baad use khud nahi pata chal saka k wo so gai

******************************
Aaj uska nikah tha Aena k sath wo log subah se hi ek Hall me sath thay...sirf Zaamin,Anushay,Aena or uski parents...in k ilawa Zaviyar or uski family ko Zaamin ne shaam me nikah k waqt ki hi dawat di thi

Ziada log nahi thay...ziada intizamat bhi nahi thay...nikah sadgi se tha..phir bhi jitni decorations ho skti thi un logo ne krwai thin

Wo pura din Aena se baatein krta raha tha...bachpan ki yaadein,bachpan ki baatein...apne baba k sath ki yaadein...wo dono mil kr unhein taza kr rhe thay

Nikah se chand ghante pehle Anushay ne un dono ko taiyar hone bheja tha..Aena bhi is shadi se utni hi khush thi jitna k Zaamin...or Zaamin kitna khush tha ye sirf wo hi jaanta tha...wo hijabi larki uske zehen se nikli nahi thi...ALARA YILDIZ...uske dimagh me ye naam baar baar a raha tha...
____________________________________

HOPE YOU ENJOYED!!!
Give me feedback♥︎

Anaa e Ishq [COMPLETED]Where stories live. Discover now