PART 15 * ignore mistakes * Writer:Wafa Fatima

58 1 0
                                    

"Tum call krlo na unhein"..Zaviyar k office se late hone pr Nida Zumra se keh rahi thi
"Khud krlo"...wo remote chalate hue boli
"Mera mobile charge pr laga h yrr,..Zaviyar bhai pata nahi kab ayenge tum log khana unhi k sath khate ho,me ziada der nahi ruk skti aapi bhi agai hongi ammi daante gi...me ja rhi hun"...wo darwaze pr jate hue keh rahi thi
"Hm"...usne ek lafz me jawab dia

Nida darwaze ki taraf barhi hi thi k bell ring hui

"Agaye bhai!!".....usne bell sunte hi cheekh kr Zumra ko bataya

Usne door eye se bahir dekha,..use bohat bura jhatka laga...wo ulte pair bhagti hui Zumra k pas ayi

"Zumraa!!!Zaamin aya h!!!"

Zumra k pero tale jese sahi mano me zameen khisak gai ho..

"Kia!!??".....hath se remote phenkte hue wo darwaze ki taraf dorhi

"Ye kisne lock kia??"...koshish k baad bhi darwaza na khulne pr usne Nida ki taraf gusse bhari nazar daali

Wo ajeeb si muskurahat ya shayad dari hui muskurahat k sath use dekh rhi thi

"Chabi lao!!!"....usne apne daant beechte hue kaha

Uske chabi late hi usne darwaza khola

"Hi!"...wo gate k bilkul samne khara tha
"Ye konsa waqt h ane ka!?"...wo gusse se puch rhi thi
"To aap bata dein koi waqt us waqt ajaunga"
"Zaviyar or amma aane wale honge,banda time hi dekh leta h!"
"Me yahan bethne nahi aya,sirf itna kehne aya hun apna phone on krein"....wo sanjeedgi se keh raha tha

Agle lamhe wo wahan nahi tha,..ek jumla kehne wo uski chokhat tk chala aya tha,..or koi rasta jo nahi tha

Usne gate band krte hi Nida ko gusse se dekha

"Likhwa lo Zaviyar bhai ne lock krwaya tha,mene to mana bhi kia tha lekin"...uski baat mukammal hone se pehle hi Zumra apna mobile uthane chal di thi

26 miscalls......mobile on krte hi Zaamin ki miscalls pr uski nazar gayi

Or agle hi lamhe Zaamin ne use call ki

"Zumra me ja rhi hun"....Nida ye kehti hui Gate se bahir nikal gai

"Hi!"..."shukar h aapne phone to uthaya"....usne phone uthate hi kaha
"Kia kaam h?"
"Zaruri h kaam ho??"
"G"
"G??"..."tum theek ho Zumra??"
"Aap!!"..."aap se baat krein mujh se jese aap kaha krte thay!"
"Ok jese 'TUM' chaho!"
"Ziada Faris Ghazi banne ki zarurat nahi h!"
"Insan ko kitabo me itna nahi doobna chahiye"
"Insan ko jis cheez k bare me pata na ho uske baare me baat bhi nahi krni chahiye!"
"Zumra me...."...uski baat adhuri reh gai

"Zumraa!!!"....Nida zor zor se gate khatkhata rhi thi,..ya shayad tor rahi thi

"Baad me call krungi"...Zumra ne kehte hue uski baat sune baghair call cut kr k phone ko table pr phenka or darwaza khola

"Ye toota to sath tumhara sar bhi tootay ga!"....wo darwaza kholte hi gussa hui

"Zumra aapi ko hospital le gaie hain,..Zaviyar bhai,amma,mama,baba sare wahin hain mujhe mulazima ne bataya,mama baba kuch der pehle hi nikle hain....."....wo phuli sanson se use bata rahi thi

"Kia!?..kisi ne hume call kue nahi ki!??"...wo apna mobile uthate hue bahir nikal ayi

"Pata nahi mulazima ne mujhe pata bataya h hospital ka hum wahin chalte hain"....wo lift me dakhil hote us se keh rhi thi

*************************
"Maheen"...uske baba use uthane ki koshish me thay....wo wahin unke sath khara tha

"InshaAllah theek ho jaiegi".....amma uski ammi ko room k bahir waiting hall me bethe tasalli de rahi thin

"Beta kia hua tha?"...Sarim sahab us se puch rhe thay
Wo pichle chand ghanto se khamosh tha,...unke is sawal pr usne apni khamoshi tori
"Inko shayad bukhar tha islie chakkar agaie to ye gir gaien.."..usne mukhtasir si kahani bayan ki

Itni der me doctor reports Maheen ki ammi k pas le aye thay.....doctor ki awaz sunte hi uske baba bahir ki taraf chal die....wo saray doctor se guftugu me masroof thay....doctor samet sub wahan itmenan se beth gaie thay....bazahir guftugu bohat taweel hone wali thi...Turkish me Jo thi...Maheen or Nida ko to aati thi,magar unke parents utni nahi samjah pate thay,na hi amma ko itne achay se aati thi or Zaviyar ne bataya nahi tha k wo bhi ye zubaan janta h

Wo uske bed k kinare,sar k pas neeche betha tha...ajeeb ehsas tha jo wo mehsoos kr raha tha

"KASH TUMHARI JAGA MUJHE BUKHAR HO JATA"....kuch lamhe bad wo maddham awaz me us se kehne laga
"KASH IS BISTAR PR TUMHARI JAGA ME HOTA".....usne abhi bhi aankhein nahi kholi thin
"KASH IN AANKHON KI JAGA MERI AANKHEIN BAND HO JATIN"....wo num aankhon k sath kehta,ek hath se aankhein masalta wahan se khara ho kr room me mojood sofay pe ja betha tha

****************************
"Mama!!"...usne aate hi awaz lagai...."Aapi kesi hain!??"...Nida ne wahan doctor ko mojood dekh kr pucha

Sub ki awazein sun kr Zaviyar bhi barq raftari se bahir a chuka tha

"Don't worry bus bukhar or sar dard ki waja se behosh hogai thin..she will be alright..."...unhone Turkish k sath thori english bolne ki bhi koshish ki thi...doctor ne un subko itmenan k sath sukoon ka sans dia tha

Zaviyar ki jese jaan me jaan ayi...usne aankhein band kr k dil hi dil me Khuda ka shukkar ada kia ...amma Maheen ki mama se...or Nida zabardasti Zumra se galay mil rhi thi..

"To kia me beti ko abhi le ja skta hun?"....Sarim sahab totay totay alfaaz me puch rhe thay

"Jii bilkul"

"Tum fazool me panic kr rhi thin,..mujhe bhi ewein utha laien"....Zumra use bezari se keh rahi thi

Wo keh hi rhi thi k yakdam uska phone baja,..gaano ki us ringtone ne wahan mojood sub ka dhiyan uski taraf mutawajja kia

Screen pr usi ka number tha

"Kon h?"...Zaviyar ne aage barhte hue maddham awaz me pucha
"Tumse matlab?".....wo maddham awaz me kehti hui hospital k kisi kinare me ja pohanchi thi

"Kia musibat h aapko??!!"
"Mene phone on krne ka islie kaha tha k call bhi krein,aapne call hi cut krdi ,aap hain kahan??"
"Hospital me hun!"....usne gusse se kaha tha
"Kue kheriyat.???!!"....wo bed pr leta ab uth kr beth chuka tha
"Mujhe BRAIN HAMARAGE ho gaya h!..."..wo chirte hue boli
"Ye to namumkin h!!!".....wo pareshani se ab khara ho chuka tha
"Duniya me koi cheez namumkin ya mumkin nahi hoti,...use mumkin ya namumkin hum banate hain"
"Lekin jiske pas brain na ho I swear use BRAIN HAMARAGE nahi ho skta!!.."wo behad sanjeedgi se keh raha tha,..Zumra uske aas pas hoti to yakeenan is waqt use jannat raseed kr chuki hoti

"Dafa ho jao Zaamin!!!".....wo daant beeche use gusse se keh rhi thi

Wo phone cut kr k peeche muri

"Utha li call usne?.."...peeche Zaviyar dono bazu bandhay khare muskurate hue maddham awaz me us se puch rha tha
"Tum bhi dafa ho jao!!"...wo ajeeb se lehje me chirte hue keh kr wahan se chal di

____________________________________

HOPE YOU ENJOYED!!!

Anaa e Ishq [COMPLETED]Where stories live. Discover now