2nd Last PART 24 * ignore mistakes * Writer:Wafa Fatima

72 4 2
                                    

Süleyman,Nurbanu,Zara,Bahadur samet Amma bhi mehmano ko dekhne me masroof thin..sabar ka paimana labrez hota ja raha tha,itni der ho gai ab tak kahan hain wo log?..or to or dulhan bhi hall me nahi mojood...had thi Jo paar ho chuki thi...
Aakhir ko Bahadur or Zara tang akr hall se nikal kr hospital ki janib jane lagay...na koi call utha raha tha na koi kisi se rabte me tha k koi khabar hi mil jati..
_________________________________

Uski sansein to pehle hi bigri hui thin jo use dekh kr ab ukharne wali thin

"Doctor se pucho discharge kab hoga"..Zumra Zaamin se mukhatib hui thi
"Han me puch k ata hun"...wo kehte hue dorte qadmo se darwaze ki taraf barha hi tha k Zaviyar ki "ru..ko" ki awaz ne use palta dia

"Kia hua?..tum theek ho Zavi??"...wo palat kr wapas apni jaga khara us se puchne laga
Usne bari mushkil se muskurate hue asbat me sar hilaya tha

Kuch der wahan khamoshi cha gai thi,...4 logo k hote hue bhi wo kamra is waqt khali mehsoos ho raha tha k jub Zaviyar ye khamoshi tor gaya

"Ash-hadu Al-laaa Ilaaha Illa-llaah..."....wahan mojood un teeno ne nazre utha kr use dekha...

"Wa-Ash-hadu Anna Muhammadan..."....wo maddham awaz me Maheen ki taraf dekhta khamoshi k sath sath dam bhi tor raha tha

"Zaviyar"...Zaamin be yakeeni k alam me maddham awaz me kehta do qadam aage barha

"Abduhoo Wa Rasooluhu."......Zaamin shiddat se bhagta uske bed k neeche ja betha

"Zaviyar!!"...wo chilla raha tha
"Zaviyar!!!....bheegi aankhon k sath chillate hue uske galay ki neeli or sabz  nasein tak numaya ho rahi thin

Wo uski awaz sun sakta to jawaban zarur kuch kehta,...lekin ab to wo khatam ho chuka tha,...sansein ukharte uski gardan Maheen ki taraf hi reh gai or uski chamakti aankhein khuli ki khuli murjha chuki thin...

Ye wo manzar tha jiska kabhi unhone apne khalayo me bhi na socha ho

Jo baatein pi gaya tha wo.....wo batein kha gaien usko

Khaak ko khaak me milane ka,..mout kesa ajab bahana h

Usne sar utha kr use dekha jo murjhai aankhon k sath Maheen ki taraf chehra kie hue tha

Zaamin ne kaaptay hathon k sath uski murjhai hui aankhein band ki thin....uske bed pr sar rakkhe wo baghair awaz k ro raha tha...Zaviyar Khan ab nahi raha tha..

Sahi kehte hain,..Zindagi aasan nahi h,...mout k lie jeena parta h or jeene k lie marna

Usne ek dafa kaha tha..."KASH TUMHARI JAGA MUJHE BUKHAR HO JATA"....use bukhar tha jo ab thanda par chuka tha

"KASH IS BISTAR PR TUMHARI JAGA ME HOTA".....aaj mot k bistar pr wo tha

"KASH IN AANKHON KI JAGA MERI AANKHEIN BAND HO JATIN"....aaj Maheen ki aankhon ki jaga Zaviyar ki aankhein band thin....Jo ab dobara nahi khul sakti thin

Maheen ko ye sub ek darawna khuwab lag raha tha...aesa to ho hi nahi sakta,Zaviyar ki abhi umar hi kia thi....wo khud ko yunhi tasalli de rahi thi....qadar to wo hoti h jo mojoodgi me jo,jo kisi k jane k bad ho use pachtawa kehte hain...wo pachta rahi thi...wo use batana chahti thi k ye shadi wo khud nahi krna chahti thi,sirf apne maa baap ka kaha maan rahi thi...magar...usne uski ek nahi suni or ab..ab to bohat der ho chuki thi

Zumra k paon jese kisi ne zanjeeron se bandh die hon....wo wahin khari khali aankhon se use dekh rahi thi...aankhon me nami bhi nahi thi,bus khali khali si ek ajeeb hi kaifiyat thi....takleef agar ruh me utar jaie to,alfaaz iska madawa karne se kasir ho jate hain..

Ajeeb manzar tha jo wo dekh gaie,..aasan nahi h kisi ki mout ka manzar aankhon se dekhna...or wo to phir apna tha..

MOUT...lafz hi aesa h..kab..kahan...kese ajae pata nahi chalta...MOUT akeli nahi aati apne sath dusro k lie pegham bhi lati h...aaj ye...kal tum...humay yaad dilati h duniya faani h,..aakhriat ki taiyari karo..humay kehti h Khuda ki bargah me lotne se pehle,Khuda ki janib lot aayo...zindagi h hi kia...ek din khatam to honi h...islie QURAN E PAAK me farmaya gaya h...(کُلُّ نَفْسِِ ذائِقَۃُ الْمَوْت) HAR NAFS KO MAUT KA MAZA CHAKHNA HAI (SURAH AL-ANKABUT AYAT 57)
Mout shaks le kr jati h,shaksiyat nahi
Mout Aalim le kr jati h, ilm nahi
Mout insan le kr jati h,insaniyat nahi

AAGAH APNI MOUT SE KOI BASHAR NAHI,
SAMAN SO BARAS KA H PAL KI KHABAR NAHI

Jub duniya me kisi k Han khali hath jana acha nahi lagta to phir aakhrat me kue nahi?
Jub insano k pas khali hath jana acha nahi lagta to wo to phir Khuda h,..paida hone k bad se le kr aaj tk jiske hum sub mohtaj hain..

Zindagi ek baar milti h.....sarasar ghalat tasawwur h
Zindagi to har roz milti h...bus mout ek baar milti h

KIS TARAH HOTA H MUMKIN YE GAWARA KARNA
DIL ME BAASTE HUE LOGO SE KINARA KARNA
KUCH MOHABBAT K BHI QANOON HUA KRTE HAIN
KIS KO MANZOOR H CHAHAT ME KHASARA KARNA

Zaamin bheege chehre k sath khara hote Zumra k pas akhara hua tha jo apni jaga se hili tak nahi thi

ZINDAGI HOTI H MEERAS MOHABBAT DIL KI
YUN NAHI HOTA H NAFRAT ME GUZARA KARNA

Wo aage barhta use khud se laga chuka tha....khali tasawwurat k sath wo uske seene se ja lagi

USKI BAKHSISH KA BHI IMKAN TO HOTA HOGA
JIS KISI SHAKS KI AADAT HO KAFFARA KARNA
JAAN HAZIR H MUNAWWAR JO TU KABIL SAMJHE
JUB ZARURAT HO TO HALKA SA ISHARA KARNA

Ziada waqt nahi guzra tha k Maheen bhi aankhein band kie zameen pr thi

"Maheen!!!??"....Zaamin dor k uske pas betha tha
Zumra ne is awaz pr murh kr Maheen ko dekha

Ho kia raha tha ye sub??...wo samajhne se qasir thay

"Zaviyar!?"....darwaze se Bahadur Khan or Zara Khan taqreeban bhagte qadmo se dakhil hue

Ek nazar Maheen pr gai to dusri Zaviyar pr

Ajeeb sawalia nazro se Zaamin ko dekha jiski aankhein surkh thin

Aankhon me agle hi lamhe paani utar aaya tha...k aankhein band kie un dono ne gehra ghoont bhara.....Jo ho raha h achay k lie hoga...yehi soch to is kahndan ko or uncha krti thi..koi jee raha h to achay k lie,koi mar gaya ho to behtari k lie....aage barhte wo Zaviyar k dono taraf ja bethe thay....sar uske bistar pr,hath uske hath pr...

"In dono ko heart attack hua h"....doctor andar aate un dono ko check krne lgin
"To!!!???"...ye beyakeeni ki had thi...Zaamin ki sansein bhi jese jawab de rahi thin
"I'm sorry..."...ek doctor ka itna kehna hi kaafi hota h aage kisi detail ki zarurat nahi hoti

Kia mahol tha is waqt..koi nahi samajh saka tha hua kia h

Shaadi ki khushi ka mouqa kese gham me badla tha k kisi ko bhi apna hosh na tha

WO MANZILAY BHI KHO GAIEN,WO RASTAY BHI KHO GAIE
JO AASHNA SE LOG THAY WO AJNABI SE HO GAIE
NA CHAND THA NA CHANDI,AJEEB THI WO ZINDAGI
CHIRAGH THAY K BUJH GAIE,NASEEB THAY K SO GAIE
YE PUCHTE HAIN RAASTAY,RUKAY HO KIS K WAASTAY
CHALO TUM BHI AB CHALO,WO MEHERBA BHI KHO GAIE

Jub gham se khushi ki taraf aane me ziada waqt nahi lagta to Khushi se Gham ki taraf jane me bhi ziada waqt nahi lagta....or is waqt ye is baat ka saboot tha jo sub apni aankhon se dekh rahe thay...

AB YE AALAM H K GHAM KI BHI KHABAR HOTI NAHI
ASHQ BEH JATE HAIN MAGAR AANKH TAR HOTI NAHI
____________________________________

HOPE YOU ENJOYED!

Anaa e Ishq [COMPLETED]Where stories live. Discover now