14 May - pyaar ya fareb?

12 1 2
                                    


Ese kese woh apne har mauke  par mujhe galat thehra dete hai,
Aur Mujhe meri hi nazaro mai jhuka deta hai?

Esi baate bol deta hai
Jaane ya anjane mai,
Jo Mujhe pal mai rula deti hai?

Nahi jaanti isse ab mai,
Pata nahi pyaar tha, ya fareb ?
Maine toh apna sach kaha,
Aur uska sach maana bhi.

Haan bahut saari Galtiya hamne bhi ki hai,
Par uski saza Ikdam imaandaari se kaati hai.

Aur tumne toh apno se zyada apna
Banakar,
Mere apno se zyada paraya kar dia
Mujhe.

Shayad Isi layak the ham,
Jab bhi hame koi taana deta hai.
Ham bade garv se kehte hai,
Hamara pyaar saccha aur ham bhi,
Aaj bhi tum se bad kar kuch nahi.

Koi nahi,
apne toh bahut pehle paraye kar gaye,
Zindagi Mai bahut dhuk deke hai
Bas kabhi itna gam na huwa.

Tum kehte the na
Ham picharo ki faltu duniya mai rehte hai hamesha?

QKi humne toh ussi se jeena sikha,
Ham ne nahi dekha,
Parivaar ka pyaar dular,
Bade bhai ka raksha kawach,
Ya zindagi mai woh ghar jaha hamari jagah aur wajood ho.

Par tum mai toh rab dekha tha.
Hame toh akele jeena aata tha.
Hame toh pata tha,
Hame akela aur adhura rehna hai.

Tum hi aaye, Armaan jagaye.
Aur duniya se dur Hamare sapne basaye,
Toh baand li patti apni aakho par,
Maan li tumhari saari baate.

Maante hai ham tum jitne imaandaar
Nahi the.
Toh q kia maaf karne ka dhong,
Jab karna hi nahi tha.

Ham bhi ek na samaj bacche hi the.
Bada hone pada jaldi,
Par ab yeh Jo tum chod  gaye ho,
Kya kare iska ham?

Kisi ko nahi chahiye ab,
Pehle bhi nahi chahiye tha,
Par ab pehle se bhi zyada bekaar hai hum.

Qki ab toh Bache hi nahi ham,
Tod dia tumne hamara aatmasaman,
Tumhare pyaar mai hamne sab khoya khusi khusi,
Aur kuch kuch kam khusi.

Par jab tumne pyaar,
samaan dia toh,
maan lia tu mera hamdard hai,
toh suhana har dard hai.

Aur fir tumne tumhare apno k saamne,
Hame paraya hi kar dia.
Tumhare liye apne sapne chod diye ,
Apna jazba, apna guroor sab jaane dia
Bas tumhari khusi aur tumhare saath k sapne hi ab apne the,
Tumhare sikhaye raaste
Kismat ki taqdeere.

Aur tumne jo hamse hamara jeene ka wajud hi cheer dia.

Aaj tumhe di gai dairy, mere khwabo ki shairy hai
Jo Maine tumhare saath bunni thi mann hi mann.

Shaadi se bacho tak
Aaj bhi hospital mai Tumhare saath na rehne ka gam tha.

Ki kaash ham rak sakte tumhara khayal
Aur hamari maa ka bhi.
Par chodo esi naseeb Kaha hamari.

Hamari Naseeb mai toh yeh pal likhe,
Jinme tum hamse chutkara paane k taur tarike aasma rahe ho.

Hamse baat karne se katraate ho,
Aur bade safai se khanjar maar k chale jaate ho.

Nahi hai hum itne bhure,
Maana ki tumhare layak nahi,
Tumhare qaabil nahi,
Par ese toh na farmaya kare ki jaante hi nahi.
Wahi hai ham aaj bhi
Bhole, naadan, wafadar, de denge yaar
Talaaq kya chiz hai, ham toh hamari zindagi ka maqsad gawa baithe tumhare liye

Aur doobara firse khone ko taiyaar rahenge bas agli baar mere Sach bhi karna hoga aapko.

Pyaar tumse kia tha,
Tumhaare peso se nahi.
Dikhta hai hame, tumhare sakal par khauf.
Takuleef na karein Kateenge nahi.
Tum bas bol do,
Kabhi galti se bhi sakal na dikhaenge.

Jaaiye huzoor,
Tumse mahobbat ki thi.
Khel nahi Kia tha?
Tumhe toh har mulaqat,
EK naya shadyantra khela hai.

Nahi paltenge mat ghabraiye,
Mubarak ho aapko yeh azaadi.
Suli chad jaenge,
Par tumse kuch na lenge kabhi.

Jo de dia usko khushar guzaar hai ham,
Har chiz pyaar se rakhenge ham,
Tumhare pyaar se leke tumhare badle mijaaz bhi.

Jo pura khaandaan, puri school,
Puri area, puri classes, puri college,
Ya yuh kahiyen hamari puri qaynaat nahi kar paayi woh tum kar gaye

Meri zindagi mai dukh bahut tha par kabhi, shok nahi banaya.
Sirf khusi se jeena sikha tha khudse.

Aur ab mai apni khusiyon ka shok mana rahi hu.
Qki kuch bacha hi nahi ab,
Na tum, na tumhara pyaar.
Na mai, na mere hamesha khus rehne ki umeed.

Bas ab Iss pyaar ki khusi hai,
jo mujhe tumse huwe thi,
Aur tumhe mujhse kabhi na huwe
Qki tumne mere sach se kabhi pyaar kia hi nahi,
Na pehle na baadmai.

Tumne toh,
asal mai Mujhe paaya hi nahi,
Isiliye shayad,
Tumne kuch zyada khoya bhi nahi

Maine tumhe sab dekha
Parivar, dost, aur humsafar.

Aur Tumne ham mai bas kamiya dekhi,
Ab woh meri maa ko bhi dikhti hai.
Usne tumhari durbeen jo pehen Rakhi hai.

Aur fir bhi ham aap dono se utna hi pyaar karte hai,
jitna pehle karte the.

QKi aap logo ko koi nahi jaanta,
Koi nahi samajta.
AAP dono ka koi dost nahi hai,
Aap Kisi k nahi ho.

Sirf aur sirf apne aap k ho
Aur Khudse bhi fareb karte ho.

Par Mai aap dono ko,
Samajti hu, pyaar bhi karti hu aur,
zindagi bhar aap ki qadar bhi karungi
Chahe aap kitna bhi giraaye hame.

Aap dono bade hi pyaare , bhole aur naadan jo ho,
Bas mai aapsi thodi se zyada hu,
Isiliye haar gai.
Is haar mai jo Maza hai,
Woh Aapki Jeet mai nahi hai,
aur na hi aap dono ko khusi mili nahi iss jeet se.

Par duan karenge ek din mile,
Dono ko apni khusi k manzil.

JournalingWhere stories live. Discover now