Part 65

551 65 32
                                    

After some hours students went to their respective hostels. Everyone was talking on phone with their parents.

Sumedh :- Haan aai.. Bilkul thik hoon main.. Haan haan.. Vedanti bhi bilkul thik hai.. Hum sab thik hai.. Yess main apna dhyan rakhunga.. Vedanti ka bhi rakhunga.. Bas..? Rakhu ab.? Bye..

Sid :- yess mom.. Thik hoon main.. Mere sab friends bhi thik hai.. Kya..? Main Mumbai wapis aa jau..? Kuch bhi ha mom.. Aise kaise aau main..?

After some time everyone heard Ramesh sir's voice. It was an announcement.

Students kal raat ko jo bhi hua wo bahot bhayanak tha.. Iske piche jo koi bhi hoga wo pakda jayega. Par khatra abhi tak tala nai hai.. Isiliye waqt ke kuch rules aap sab ko follow karne hi padenge. Koi bhi andhera hone ke baad campus main yaha waha nai ghumega. Sab log ek hi waqt dinner karne ke liye hostels ke rectors ke saath hi jayenge. Shaam ko 5 baje campus ka main gate band kar diya jayega. Uske baad kisi bhi haalat main kisi bhi student ko bahar jane ke liye allow nai kiya jayega. 3 dino ke baad jo exams hai wo apne timetable ke anusaar hongi. To meri sab students se request hai ki wo jyada se jyada waqt hostel main rehkar padhai main bitaye.. All the best..!!

Vedanti :- pehle hi kya kam restrictions thi jo aur aa gyi..

Mugdha :- Vedanti.. Kuch puchu main tumse..?

Vedanti :- poocho na..

Mugdha :- umm.. Kya Sumedh ne tumhare upar koi restrictions lagaye hai..? U knw.. That typical husband type restrictions..?

Vedanti :- jyada to nai.. Par haan. Agar use main kisi baat pe protest karu to use gussa ata hai.. But ek hai.. Mujhe sid ke baareme baat karna mana hai.. Use pasand nai ata..

Mugdha :- Tum sid ke baareme baat karo ye use pasand nai ata.. To wo mere baareme baat nai karta..?

Vedanti :- nai.. Kabhi nai..

Mugdha :- toh kya tumhe bhi pasand nai aayega agar wo mere baareme baat karega to..?

Vedanti became quiet. Mugdha understood everything.

Mugdha :- chodo na.. Chalo padhai karte hai.. Mujhe tumhari kuch help chahiye.   

Vedanti :- Mugdha.. Listen.. I knw tum kyu pooch rahi ho..  Mujhe yeh bhi pata hai ki tum abhi bhi Sumedh se pyaar karti ho..Look  Aisa nai hai ki Sumedh yeh baat nai janta.. Par wo kabhi bhi mujhse tumhare baare main baat nai karta hai.. Aur agar mujhe aisa laga ki wo tumhe bhul nai paya hai to main khud hi raste se hat jaungi.. Par agar aisa nai hai to main kuch nai kar paungi.. Mere paas right nai hai ki main sid ke liye Sumedh ko chhod doon.. Main aisa nai kar paungi..

Mugdha :- Kyu tum Sumedh ko itna dominate karne deti ho apne aap ko..? Wo tumhara husband hoga.. He should respect ur opinions..

Vedanti :- Look.. Main nai janti ki isme se kya Sumedh ne kiya hai aur kya us Shaitan ne..? Abhi thode aur dino main pata chal jayega ki wo really mujhse kaise behave karta hai.. So let it be fr now..

Vedanti's phone ranged.

Sumedh :- Veda.. Niche aao na.. Mujhe baat karni hai..

Vedanti :- Thik hai.. Aati hoon..

Vedanti went in campus garden. Sumedh was seating under a tree. Sumedh saw her.

Sumedh :- hi.. Aao. Baitho.

He raised his hand towards her she held his hand & seated beside him.

Sumedh :- Tumne kal kaha ki Khushi Mohit sir ki beti hai..?

Vedanti :- haan.. Wo Mohit sir ki hi beti hai.. Jab hum usse alibaug main mile the tab Ramesh sir use yaha leke aye taki wo Mohit sir ko black magic se distract kare..

She saw Antara going towards Ramesh sir's cabin.

Vedanti :- Wo dekho.. Antara mam.. Wo Mohit sir ki wife hai.. Khushi unki hi beti hai.. Wo dono aur Ramesh sir aur unki wife ek saath clg main padhte the..

Vedanti told him everything. She also told her about how Mitali is helping them.

Sumedh :- Kuch bhi thik se pata nai tha mujhe. Kya yr..? Ek galati ki uss waqt hum galat raaste se clg aa rahe the aur humne Patwardhan mam ki laash dekhi.. Mohit sir ko aisa lagta hai ki unka khoon hoye hue dekha hamne..

Vedanti :- Mujhe bhi 1 mahine pehle hi pata chala.. Sid ko...

She stopped as she remembered that Sumedh don't like it when she calls his name.

Sumedh :- Chod do.. Jo pata chalna tha mujhe wo pata chal gya hai..

Vedanti :- Kuch poochu main tumse..?

Sumedh :- haan.. Poocho..

Vedanti :- Kya tumhe sach main pasand nai ata ki main Sid se baat karu..? Ya phir uska naam loon..?

Sumedh :- haan.. Mujhe nai pasand.. Kyo ki main nai chahta ki apne past main atak kar tum mujhse shaadi karo . Kya main kabhi tumse Mugdha ke bareme baat karta hoon..? Main karta.. Kyo ki main nai chahta ki mera past mere future ko hurt kare.. Mugdha mera past hai.. Aur tum mera future. Same sid tumhara past hai aur main tumhara future... I hope u understand..

Vedanti :- yess.. I understand..!

Both remained silent for some minutes. Vedanti turned towards him. She placed her hand on his shoulder.

Vedanti :- Sumedh.. Look.. I promise.. Main apni taraf se hamare relationship ko hundred percent doongi.. Main kuch bhi aisa nai karungi ki tum hurt ho jao.. I promise..

Sumedh held her hand.

Sumedh :- I promise the same..

Vedanti smiled looking at him.

           ***    ***   ***   ***

In Ramesh sir's cabin.

Antara :- Meri khushi kaha hai.  ? Wo thik to hai na..?

Ramesh Sir :- Relax Antara.. Wo thik hai.. 

Antara :- pata hai jab mujhe blast ke bareme pata chala tab main kitna dar gyi thi..?

Ramesh sir :- Tum Wadkar mam ke paas jao aur unse kaho ki wo Khushi se tumhe milwade.. Waisebhi bahot sare parents aa rahe hai to unhone sabko allow kiya hai..

Sinner : A Mysterious Experience. Where stories live. Discover now