Mausam Ke Badal

2.4K 83 8
                                    

"Ammo jaldi Karein na Mujhe der horahi Hai college keliye" Zimal ne uniform ka collar aur cuffs theek kartay hue Kaha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


"Ammo jaldi Karein na Mujhe der horahi Hai college keliye" Zimal ne uniform ka collar aur cuffs theek kartay hue Kaha. Usne apnay ghanay siyah balon ki high pony banayi thi jis mein Woh bohat neat lag Rahi thi Aur apni halki bhoori ankhon se Woh musalsal kitchen ki taraf dekh Rahi thi jaisay ussay bohat bhook lagi ho.

"Han mera Bacha bas nashta tayar hai, tum pehle khud Toh ready hojao Sahi Tarah se." Naila begum ne Pyar se bola phir jese unki nazar sofa par rakhay overall par pari jo yun lag raha tha jaisay kayi salon se kisi ne issay istri hi na dikhayi ho toh unka mood foran bigar gaya
"Zimal tumne Phir rat ko Apna overall istri nahi Kiya koyi dekhega Toh kahega Yeh achi doctor hai jiska khud ka overall hi itna mela kuchela Hai Jao jaldi istri karke ao"

"Yar ammo bhool Jati Hun mein waisay bhi in choti choti cheezon ko itna Sar pe sawar nahi Karti mein"
Zimal ne masoomiyat se Kaha jaisay Woh ammo ki mazeed dant se bachna chahti ho Aur Phir overall par baraye nam istri pher di Ke uski halat Kuch behtar hui.

"Sardar Chaye jaldi le ao ubal gayi hogi" Naila ne Sardar se Kaha Jo phichlay kayi salon se inke Ghar Ke Kam mein hath batata Hai aur ab inke Ghar ka fard hi samjha Jata hai.

"G bari ammi bas Abhi laya Aur Yeh lijye Zimal Baji ka cheese omlette"
usne omlette ka plate Zimal Ke samnay Rakha Toh jaisay uski ankhein chamak uthi.

"hayeee itni talab horahi thi mujhe Sardar" Zimal ne bread slices Ke darmyan omlette Rakha Aur khanay lagi Phir khatay khatay nazar apni magenta colour ki Khoobsurat wrist watch par dali aur jaldi se overall aur bag Ek hath mein aur bread doosray hath mein liye Kaha
"Ammo aj Toh hamaray rotation honge ward A mein Mujhe jaldi jana hai Allah Hafiz"

"Acha apni Chaye Toh pee lo Majal Hai Jo tumne apni Chaye Kabhi kahatam ki ho"

"College mein coffee pee loongi aur Han baba Jan aj Lahore se Shayad wapas ajayein gay unki Conference aglay mahinay keliye delay hogayi hai mein ne Facebook pe dekhliya tha"

"Acha theek Hai Meri maaaa har cheez ki Khabar Hoti Hai iss larki ko"

Usne driver ko Salam Kiya Aur Phir Gari mein Beth Gayi Har subah Woh college jatay hue khirki se Bahar dekhti jaisay Sheher ki Har Cheez ko apni yadon mein mehfooz kar rahi Islamabad hamesha se Khoobsurat tha Aur ussay bhi apnay Sheher se Pyar tha Sabse pyari Cheez Jo Usse lagti thi Woh Islamabad ki Barish thi
Zimal Barish ki Deewani thi usse mausam Ke badlon se Pyar tha Bahar dekhte hue usne Ek dam Kaha
"Lagta Hai aj Barish hogi Aur Woh bhi khoob zyada Hai Na Sajjid"

"G Baji Mujhe bhi aisa hi lagta hai"
Zimal se wabista Har shakhs Janta tha Ke Zimal ko Barish kitni Pasand Hai chahay Woh uski dost ho ya Phir uske Ghar ka driver Woh aisay hi thi Har kisi se Ghul Milne wali Ek khuli kitab ki Tarah Magar koyi Yeh nahi Janta tha Ke iss khuli kitab Mein Kuch safhay aisay bhi hain jinki kahani koyi nahi samajh sakta Woh safhay sirf Zimal khud janti hai.
Koyi bhi insan mukammal khuli kitab nahi hota har insan ke Kuch raz hotay hain Har insan bazahir agar Khush ho bhi Toh Phir bhi uski Zindagi Mein koyi na koyi Gham zaroor hota hai farq sirf itna Hai Ke koyi un ghamon ko halka karnay keliye ansoo Baha deta hai ya kisi ko apnay ghamon Ka shareek bana leta Hai Aur koyi apany ghamon ko Apne Andar hi dabaye rakhta hai.

************************************

Woh Ek bara sa kamra tha jis ke charon gird unchi unchi shelves banayi Gayi thi uss kamray ko library kehna ghalat na tha door door Tak sirf kitabein hi kitabein thi uss Khoobsurat mehal jaisay ghar ki Ek Khoobsurat library.
Kamray Ke bilkul darmyan mein Ek bohat bari table thi jiske gird char kursiyan thi Woh un mein se Ek kursi par betha Kuch kitabein parh raha tha Woh CSS ki kitabein thi Aur Yeh daraz kad nojawan jiski ankhein gehri siyah thi aur uske gehre rang Ke bal bhi adhay uske mathay par aye hue  thay woh baray ghor se parh raha tha

Itnay mein darwazy par dastak hui
"Zayan beta Munawwar Sahab aj office jaldi chalay gaye thay unhon ne Kaha Ke mein apko Bata dun takay ap nashtay par unka intezar na karein"
Mulazima ne naram se Andaz mein Kaha.

"Acha dada chalay gaye? Chalo theek Hai ap nashta na lagayein mere liye mein waisay bhi bahar kisi Kam se jaraha hoon ammi jag rahi hain kya?"
usne akhri bat kartay huye apni hatheli se bayein ankh ko masla jaisay ussay bohat neend arahi ho sari rat parta jo raha tha.

"G nahi Woh Abhi Tak sorahi hain raat Sar mein bohat dard tha unke"

"Chalo mein dekhta hoon jakar Kahin fever na ho unko Phir se" Woh Yeh kehte hue apni kitabein samatnay laga aur libaray se Bahar Nikal Aya ab Woh seeriyan charh Raha tha seeriyon Ke bilkul samnay uski ammi yani Shahana Begum ka kamra tha Aur uske sath hi uska room tha Woh pehle apni ammi Ke bed Ke pas Aya Phir narmi se unkay mathay par hath  rakha. Fever nahi tha Aur Woh bohat pursukoon sorahi thi woh aglay hi lamhay wahan se Bahar Aya Aur Apne room mein gaya fresh hokar nikla usne full sleeves ki black shirt black pants aur grey long coat pehna tha Yeh uska style tha usko long coats bohat pasand thay long coats ki Adat ussay Turkey mein reh kar hui thi jab Woh Marmara University of Medicine se MBBS karnay gaya tha.


Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now