Dil-e-Nadan

628 55 39
                                    


Woh dono restaurant se nikal rahay Thay Zayan ne darwazay ko khola Aur Zimal ko pehle Janay ka ishara Kiya Woh jesay hi Bahar ayi ussay halkay halkay Pani Ke qatray girtay mehsoos huay , halki halki Barish shuru hogayi thi ussnay foran Zayan ki taraf dekha Jo bilkul uskay Sath hi khara apnay pant ki pockets mein hath diye huay aasman ko Dekh Raha tha

"Zayan Dekho Barish hoarahi Hai" Zimal ne apna hath agay ki taraf Kiya takay Barish Ke qatron ko apnay hathon par mehsoos karsakay
Zayan ussay ghor se Dekh Raha tha

"Tumhein Barish bohat Pasand Hai na" Zayan ne uss se phoocha

"Han bohat zyada"

"Kiun?"

"Mera Yeh manna Hai Ke Barish mein insan Ke saray Gham Beh jatay hain , Aur Patta Hai jab Allah hamse Khush Hota Hai na Toh Woh Barish bhej deta hai" Zimal Abhi bhi Asman ki taraf dekh Rahi thi Zayan ne uska hath thama Aur Woh dono Gari ki taraf chalnay lagay.

Allah says: “It is Allah who sends the winds, and they stir the clouds and spread them in the sky however He wills, and He makes them fragments so you see the rain emerge from within them. And when He causes it to fall upon whom He wills of His servants, immediately they rejoice.” (Qur’an, 30:48)

************************************

Rukhsati ki date fix hogayi thi Aur lounge mein sab bethay thay Aur Ek doosray ko Mubarak bad derahay thay 
Zimal Aur Daneen sabko Chaye serve Kar rahay Thay , Shah house mein Har taraf khushiyan thi , har koyi itnay time bad anay wali Khushi mein gum tha Dada Jan aur Zimal Ke beech ki doori bhi khatam hochuki thi , Zimal ab dada Jan Ke kafi close Hoti jarahi thi , unki dawaiyon ka khyal rakhna , unkay weekly checkups karwana Yeh sab zimmedari ussnay khud uthana shuru kardi thi.
Zayan ka Dil bhi ab mutmayin tha ussnay apnay Dada Jan ki khwahish poori kardi thi Aur ussay apnay Zindagi Ki mohabbat bhi milgayi thi.

Rukhsati mein sirf do haftay baqi Thay , Naila Begum shoppings mein khoob masroof thi , Shah Sahab bhi venue , decorations harcheez bilkul perfect chahtay Thay , Udhar Shahana begum bhi apni tayariyon mein masroof thi aur Zimal ko aj apnay Sath shopping pe Janay keliye Kaha tha.

Zimal Shahana begum kesath Mall mein thi , Woh log jewellery ki Ek shop par aye huay Thay parso mehndi thi issliye Woh log Zimal Ke mehndi ka dress Aur jewellery select karnay aye thay.
Unhon ne jewellery select Karli thi Aur dress bhi.

************************************

Rukhsati Day:

Zimal apni ammo Ke seenay se lipti hui thi , uskay baba ne uske Sar par hath rakha aur ussay khud se Laga Kar Kaha "Mera Bacha konsa itna door jaraha hai ! Chalo bas ansoo saf karo apnay Aur begum sahiba ap bhi ansoo saf karlein" Shah Sahab dono m...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zimal apni ammo Ke seenay se lipti hui thi , uskay baba ne uske Sar par hath rakha aur ussay khud se Laga Kar Kaha
"Mera Bacha konsa itna door jaraha hai ! Chalo bas ansoo saf karo apnay Aur begum sahiba ap bhi ansoo saf karlein" Shah Sahab dono ma Beti ko Dekh Kar bolay Aur Phir Zayan ki taraf bharay
"Jantay ho na Dil ka tukra Hai Yeh Mera , tumse koyi wada nahi Lena chahta kiunke mujhay tum par yaqeen Hai bas Mera Yeh yaqeen Kabhi tootnay mat dena Zayan"

Zayan ne muskura kar sar hilaya Aur Zimal ka hath pakar Kar usko Gari ki taraf legaya Dada Jan aur Shahana begum doosri Gari mein Khan Villa ki taraf jarahay thay.

Zayan ne mehsoos kiya Ke Zimal rorahi Hai ussnay uski taraf dekha Toh Woh waqayi rorahi thi , Gari sarak par rawan dawan thi, ussnay Zimal se Kuch phoochna nahi chaha Aur uskay qareeb Aya Aur uss kay Sar ko apnay seenay se lagaya Aur ussay ronay Diya

"Mujhay ... Zayan mujhay Nisha bohat Yad arahi Hai" Woh rotay huay boli

"Mein Janta Hun Meri jan mein Janta Hun" Zayan ki awaz mein narmi thi

"Woh mujhsay naraz Toh nahi hogi na"
Zimal ne masoomiyat se phoocha

"Agar tum iss Tarah royogi Toh han Shayad Woh tumse naraz ho" Zayan ne uski taraf dekh kar bola

************************************

Woh dono Ghar Ke Andar aye Zayan  Zimal Ke lehengay ko pakarnay mein uski madad Kar Raha tha Aur Zimal uski iss harkat par muskurayi

"Kya hua, muskura kiun Rahi ho"
Zayan Zimal ko Dekh Kar bola

"Kya Matlab ab Banda apni Shadi pe sirf Rota hi rahay , muskura nahi sakta kya?" Zimal boli

"Nahi nahi aap bilkul muskurayein , balkay Meri khwahish Hai Ke aap hamesha muskurati rahein" Zayan Apna hath uskay chehray par rakh Kar bola

"Ameen" Zimal Ke chehray par ab bhi muskurahat thi , Ek mutmayin muskurahat.

"Lekin agar ap Har bat par itna muskurayein gi Toh mere liye Thora masla nahi hojayega Mrs.Zayan?"
Zayan ne ussay sawalia nazron se dekha Toh Zimal confuse si usse dekhnay lagi

"Matlab Yeh Ke mein tehra kamzor sa Banda aap Ke ishq mein mubtala, iss Tarah Toh Meri halat mazeed nazuk hojayegi aap kay iss bat bat par blush karnay Aur muskuranay se"

"Ham apki iss nazuk halat Ki bhi koyi dawa dhoond hi lein ge Mr.Zayan" Zimal usko Dekh Kar boli Aur Dono hansnay lagay.





Stay tuned to read more about there life after marriage !
Will update soon InshAllah ❤️✨
Don't forget to vote and comment






















Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now