Sham Ki Barish

618 56 15
                                    


Zimal gehri neend mein thi jab uske kanon mein Kuch awazein ayi Woh ronay ki thi Woh jaldi jaldi neechay Gayi
Naila begum rorahi thi Aur Shah Sahab unke kandon pe hath rakhay huay Thay
"Kya hua Ammo ap ro kiun Rahi Hai baba hua Kya Hai Kuch batayein"

"Nishaaaa Nisha ka murder hoagaya Hai police ne Ek jaga par Chapa mara tha jahan unhein uski deadbody Mili"

"KYAAAAA"alfaz Zimal Ke Mun se nikal hi nahi rahay thay ansoo uski ankhon se beh rahay thay woh phoot  phoot Kar rorahi thi bas Ek hi Cheez uske zehen mein ghoom Rahi thi
Nisha ki call Zimal police ko involve mat karna Meri Jan khatray mein Hai
Woh Sahi thi Nisha ko marchuke the Woh zalim log akhir begara Kya tha Nisha ne Inka
Dunya mein kaisay kaisay darinday kaisay kaisay zalim log hotay hain.

Zindagi Mein Ek Aur Toofan Aya tha Nisha ki family ka Dukh bohat Bara tha Police ki mazeed investigation par Pata Chala Ke Woh drug dealers Nisha ko blackmail kartay rahay hain kafi waqt se baqi ki kahani ka ilam kisi ko na hua.

Iss sab Ke doran Zimal Ke zehen mein Ek hi Cheez Chal Rahi thi mujhay Toh police ko involve nahi karna tha akhir police iss sab mamlay mein Kahan se agayi usko Zayan ka khyal Aya Woh ajnabi insan ussi ki waja se hua hai yeh sab mein ne sirf usse bataya tha us hi ne police ko involve Kiya Hoga Kash mein Nisha ko khud Bacha Leti kashhhhhhhhhh Zimal Dil hi Dil Mein khud ko kosti Rahi.

************************************
Woh Zayan Ke office Ke Bahar Khari thi uske nikaltay hi uske samnay ayi

"Tumhein sharam nahi ayi Yeh sab kartay huay tum par bharosa karke tumhein apni problem batayi thi mein ne Mubarak ho tumhein tumhari post Mr.Zayan Ali Khan Mar Diya Hai in zalimon ne ussay sab khatam kardiya"

"Kya Bol Rahi hain ap"
Woh ussi Tarah baghair palkay jhapkaye usse dekhta raha

"Suna nahi Kya tumne mardiya Hai unho ne Nisha ko tumse Kaha tha na mein ne Police ko involve mat karna" uski ankhein surkh thi

"Magar Yeh sab kaisay hua mein ne Toh police ko involve nahi kiya tha mein Toh apnay tareeqay se investigation karwa Raha tha Ghaziyan Wali Ke ilaqay ki"

"Jo bhi Hai woh nahi Rahi ab mujhy nahi Pata Ke tumse investigation mein Kahan ghalti hui Aur unho ne Nisha ko mardiya" Zimal ki ankhein surkh thi Aur Zayan usse iss takleef mein nahi Dekh sakta tha

"Apka Gham bohat Bara Hai mein Janta Hun Aur mujhy afsos Hai Ke mein apki madad nahi karsaka"
Zayan sharminda tha pehli bar Toh Zimal ne usse ajnabi nahi balke Apna samajh Kar Kuch manga tha Lekin Zindagi ko Kuch Aur hi Manzoor tha
Woh Zimal Ke Dukh ko Kam karna chahta tha Magar ab bohat der hochuki thi

Uss din bohat tez Barish hui aisay jaisay qudrat bhi kisi Cheez ka sog mana Rahi ho Zimal taqreeban Khali road par Gari Chala Rahi thi in Kuch dinon mein itna sab hua tha ke Woh bohat thak Gayi thi Nisha ki achanak mot Woh audio message Zayan par andha bharosa uska Dil chah Raha the Kahin door bhag jaye Woh Gari se nikli aur bheegne lagi uski shawl bhi bheeg chuki thi Woh ussi tarah Gari Ke Bahar Khari Rahi road par gariyan bohat Kam thi itnay mein Ek Gari uske samnay alarm ruki Zayan Gari se Bahar nikla

"Apka dimagh Toh nahi kharab hogaya Kya Kar Rahi hain ap Yahan par" Zayan ne Zimal ki kalayi pakar Kar usse kheencha

"Kya Kar Rahi hoon mein khud bhi nahi janti" Woh thakay thakay se Andaz mein boli

"Bachon jaisi Batein mat karein khud ko bimar kardein gi iss Tarah se ap iss halat mein drive nahi karsakti ap Meri Gari mein bhetay" Woh Abhi Tak uski kalyi pakray huay tha Lekin jab Zimal Thora hosh mein ayi Aur Zayan ko ghoora Toh usne kalayi chor Di

"Aap hain kon Mere Jo mein Apke Sath Gari mein bethoongi Mr.Zayan Ali Khan" Woh ghussay se boli

"Mein bhalay hi apka koyi nahi Hoon Lekin mujh mein itni insaniyat Toh Hai Ke itni Barish mein akele larki ko sarak par nahi chor sakta"
Zayan Ek dam bola

"Dafa hojayein ap Yahan se mujhay kisi par bharosa nahi Raha Aur ap par Toh bilkul bhi nahi iss duniya mein sab munafiq hain sab jhootay hain sab zalim hain" Woh apnay andar Ka sara ghussa Zayan par Nikal Rahi thi

"Apnay Mujh par jitna chilana Hai Gari mein Beth kar chilayein abhi chalein yahan se iss se pehle ke apka dimagh mazeed ghoom jaye" Zayan mukammal tor par bheeg Chuka tha usne apni white shirt Ke sleeves zara ooper tak fold ki hui thi aur Ek hath par coat fold karke latkaya hua tha Jo bheeg Chuka tha

Zimal chup chap Gari mein Beth Gayi Woh sardi se kapkapa Rahi thi Zayan bilkul khamosh tha Aur drive Kar Raha tha bas Ek dafa uss se address phoocha Aur uske bad khamosh Raha Gari Zimal Ke Ghar Ke agay Khari ki aur Zimal ki taraf chehra karke kaha
"Apki gari kal subah ap tak pohonch jayegi Aur han Ek Aur bat iss Tarah se Har atay jatay banday par Apna ghussa mat Utara karein harkoyi Zayan Ali Khan nahi hota Jo apka ghussa bardasht karay"
Zimal baghair koyi jawab diye Ghar Ke Andar chali Gayi

************************************




Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now