Sukoon

626 52 39
                                    


Zimal ki surgery ko do din hochukay thay , surgery nihayat hi complicated thi Magar kamiyab Rahi , Zimal ko iss Doran Sahi Tarah hosh nahi Aya tha , medications ka kafi gehra asar tha Magar doctors ne Yeh yaqeen dila Diya tha Ke khatray ki koyi bat nahi.
In do dinon mein Zayan Aur Zimal ki family Ke darmyan ki Baraf bhi kafi had tak pigal chuki thi , Shah Sahab apni Beti ko mazeed koyi takleef nahi dena chahtay thay , Woh uski Khushi mein Khush rehna chahtay thay , Naila Begum ka Dil Toh pehle hi mom ki tarah naram hochuka tha.

Zayan takreeban saari raat hospital mein Zimal Ke sirhanay Beth kar guzarta Aur subah mein apnay Kam nipta leta.
Aj bhi Woh apnay Saray paperworks karke asar ki namaz parhke hospital jaraha tha , Woh kamray mein Aya Toh Zimal ussi Tarah pursukoon Andaz mein , ankhay band kiye hui thi , Zayan uske qareeb Aya Aur stool par Beth gaya Aur apna hath uskay balon par halka halka pherta Raha ussnay Zimal Ke qareeb akar sargoshi ki
"Mein agaya Hun Zimal , Ab tum bhi meray pas wapas ajao , Meri Duniya Mein wapas ajao"

Woh Issi Tarah uskay balon ko sehla Raha tha jab Zimal ki ungliyon ki harkat se Woh foran bedar hua.
Zimal ne ankhain khol Di thi Aur hamesha ki Tarah apnay samnay iss manzar ko Dekh Kar Woh muskurayi
Zayan ko Laga Ke usko uski Zindagi wapis milgayi jab Zimal uski taraf dekh kar muskurayi , Zimal Abhi bhi medications Ke zer e asar thi.
Zayan bhi uski taraf dekh kar muskuraya Aur bola
"Sleeping Beauty ki neend poori hogayi?"

"Pata Hai iss sleeping beauty ne bohat Khoobsurat khwab dekha Jo bohat zyada Lamba tha" Zimal Apna oxygen mask Utar Kar boli

"Acha aisa Hai Kya ? Chalo Yeh khwab mein detail mein apse bad mein sunoonga Mein sab ko batata Hun jakar Ke Hamari sleeping beauty jag Gayi Hain" Zayan Ke chehray par na mitnay wali muskurahat thi

Bahar dada Jan aur Shahana begum bhi aye huay Thay Aur Naila Begum unke sath bethi Batein kar Rahi thi jab Zayan unke pas Aya

"Zimal ne ankhein khol Di Hain"

Sab ne Allah ka bohat shukar ada kiya Naila Begum ki ankhon se Khushi kay ansoo rawan thay jab Shahana begum ne unkay khanday par hath rakha

Woh sab Zimal ke bed ke pas kharay Thay Aur usse Pyar Kar rahay thay Zayan side par khara Yeh Sara manzar Dekh Raha tha , ussnay Dil hi Dil Mein Allah ka shukar ada kiya tha.
Zimal as pas Dekh Rahi thi , uski nazrein apnay baba Jan ko dhoond Rahi thi Zayan ne Yeh mehsoos karliya tha issliye uske qareeb Aya Aur bola
"Apkay baba Jan ko call ki Hai mein ne, rastay mein Hai woh"

Zimal Yeh sunkar muskurayi thi Lekin usska Dil Phir bhi besukoon tha Woh janti thi usne apnay baba ko bohat naraz Kiya tha.

Shah Sahab kamray Ke Andar aye Toh Zimal ko hanstay huay Aur Batein kartay huay Dekh Kar unki bhi ankhein nam hogayi thi , unko Laga tha Ke ab woh apni Beti ko Kho dein gay , Magar nahi Allah Toh sabka Hafiz Hai , dilon ka Malik Hai , dilon ko sukoon denay Wala unhon ne bhi apnay rab Ka shukar ada Kiya Aur Zimal Ke sirhanay agaye

"Kesa Hai Mera Bacha ? Meray bachay ne Toh hamsab ki Jan hi Nikal Di thi"

"Theek Hun baba"
Zimal Ke labon par muskurahat ayi
"Baba ap mujhsay naraz Toh nahi Hain?"

"Nahi Mera Bacha ap ne aisa kiun socha , balkay ab ap Yeh Ulta seedha sochna band kardein theek Hai na , apkay baba ki Khushi sirf apki Khushi mein hi Hai" Unhon ne Zimal Ke mathay par hath rakh Kar bola

************************************

Daneen ko jesay Pata Chala Ke Zimal ko hosh agaya Woh foran hospital agayi ussnay Zimal ko dekhtay hi ussay itni zor se galay lagaya Ke Naila Begum ko ussay ehtiyat karnay ka kehna para Naila Begum dono saheliyon ko Akela chor Gayi
Daneen foran Zimal ki taraf Rukh karke boli

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now