Jammi hui Baraf

1K 67 2
                                    

Zimal aur uski best friend Daneen ward A ke corridor mein Khari thi unki rotation kahatam hoagyi thi Zimal ne Daneen ko mukhatib Kiya"Tumhein Pata Hai aj Jo Bacha Aya tha apne baba kesath uski reports dekhi mein ne"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zimal aur uski best friend Daneen ward A ke corridor mein Khari thi unki rotation kahatam hoagyi thi Zimal ne Daneen ko mukhatib Kiya
"Tumhein Pata Hai aj Jo Bacha Aya tha apne baba kesath uski reports dekhi mein ne"

"Konsa Bacha itne saray bachay thay ward mein"

"Arrey Woh subah Wala Bacha Jo blood test se dar Raha tha"

"Acha Han Woh , acha Toh Kya tha uski reports mein"

"Usse lukemia Hai Daneen Aur uske baba ne bataya uski Mama nahi Hai fot hochuki Hai" Zimal Ke Dil Mein Ek Anjana sa dard utha.

"Waqayi mein?Woh Toh Abhi bohat Chota Hai Uffffffff Allah Mian kese kese imtehan lete hain ham insanon ke." Daneen ne khirki ke bahar dekhtay hue bola

Zimal ne apna chehra mora aur khirki ki taraf pusht karke Khari hogayi

Daneen ne Zimal ka khyal badalne keliye Kaha "Acha tum Yeh batao Zimal madam Jo calligraphy contest mein first prize li hai tumne uski treat kab derahi ho hamein"

"Allah Allah ! Daneen kitni Bhooki ho tum Abhi Toh tumhein pastry lekar Di Hai Mein ne canteen se."

"Allah Allah Zimal kitni kanjoos ho tum Woh treat thori na thi Aur waisay bhi treat sirf mein nahi Haris , Hamna Aur Ali bhi mang rahay hain pooray gang ko treat Deni Hai tumne"
Daneen ne shararati Andaz mein bola

"Oho Yar Acha theek Hai de doongi treat pooray gang ko treat de doongi balkay mein Toh kehti Hun poori faculty ko treat de deti hun"
Zimal ne tanz kiya aur Phir hansne lagi.

"Nahi pehle hamein de do Yeh kafi hai"

"Acha Chalo bye bye meri Gari agayi hogi"Zimal ne overall ki pocket se phone Nikal kar time ko dekha.

"Han Han Jao Lekin treat se nahi bhag Sakti tum" Daneen ne Hans kar Kaha

Zimal bhagti hui Bahar ayi hospital Ke exit gate par akar ruki Barish shuru hogayi thi gari thori door Khari thi Woh ahista ahista qadam uthatay huay Gari ki taraf jaarhi thi Woh Barish Mein bheeg Rahi thi Aur Woh chahti bhi Yahi thi.

Gari mein Beth kar usne overall side par rakh diya "Suno bakery Ke samnay Zara ruk Jana mujhay cake ka order dena hai"

"G Baji"

Kal baba ki birthday Hai Lekin mujhay yaqeen Hai unko Toh Yad hi nahi Hoga Zimal ne jaisay khud se bat ki.

Driver ne Gari bakery Ke samnay park kardi Woh Gari se Bahar ayi usne ek dilkash sky blue colour ki lambi shirt pehni thi Aur baal ab bhi pony mein band thay aur Ek Khoobsurat shawl pehna hua tha.
Woh Andar gayi Aur counter per kharay salesman ko order diya.

"Assalam o Alaikum mujhay Ek Ek cake ka order dena tha chocolate fudge cake ka ap uspar "Happy birthday to Baba" likhwa dein plz"

"Ok mam apka order Abhi ready karwatay hain"

"Shukriya"

Bakery ka Nam "BREAD BASKET BAKERY" tha aur bakery mein charon taraf freshly baked bread ki halki halki Khushboo pheli hui thi.
Itnay mein Ek daraz qad long coat mein malboos shakhs bakery Ke Andar dakhil hua.
Salesman jaisay foran uski taraf mutawaja hua.

"Arey Zayan sahab ap Toh aj baray dino ke bad aye hain"
Salesman ne Kaha.
Zimal ne pheechay Mur kar nahi dekha Woh bas apnay phone mein lagi Rahi apnay cake ka intezar kar Rahi thi.

"Han Yar bas Pakistan akar masroofiyat Kuch barh gayi"
Zayan ne Ek khilaf mamool Ek halki muskurahat kesath bola.

Zayan Ali Khan Ek Kam go insan tha muskurata kam tha Lekin jab muskurata toh kisi ko bhi apna deewana karsakta tha.

"Acha Acha dada kese hain oh han aj toh unka janam din Hai ap hamesha hamein order diya kartay thay unki birthday cake ka iss bar Toh kafi der se aye mujhay laga ap unka janam din bhool gaye."

"Nahi dada Jan ki koyi Cheez nahi bhoolta mein bas iss bar fursta nahi Rahi pehle se order dene ki ap jaldi se chocolate fudge cake ka order ready karwa dein" Zayan ne apnay long coat ki sleeve ooper karke apni wrist watch ko dekha.

"G bilkul Abhi ready karwatay hain"
Salesman Ek medium sized chocolate fudge cake lekar Aya jis par Woh frosting se Kuch likhnay keliye hath barha Raha tha itnay mein zayan ne Usse Roka "Nahi Kuch likne ki zarooart nahi"

Zimal Jo Yeh sari guftoogu na chahtay hue bhi sun Rahi thi achanak se boli
"Excuse me Yeh Mera Wala cake Hai Na jiska mein ne order diya tha"

"Mam ap thori der Aur wait karlein Yeh zahan Sahab ka order Hai"

"Lekin mein Toh pehle ayi thi Aur kabse wait bhi kar Rahi hoon" Zimal bachon ki Tarah argue karnay lagi.Iss sari bat Ke doran Zimal ne Ek bhi dafa Zayan ki taraf nahi dekha.

Zayan ne Zimal ki awaz sun li thi aur ab woh ussay dekh raha tha.
"Koyi bat nahi ap pehle Inka order done karwa dein"
Zayan ne salesman ki taraf ishara karke kaha aur apne coat ki pockets mein hath diye side par khara hogaya.

Zimal ne ab iss shakhs ko dekha aur ussay iska style bilkul foreign Aur unusual sa laga jaisay Woh Abhi Abhi abroad se Pakistan Aya ho.
Zimal ne thanks Bolna chaha Magar kisi khyal Ke tehat nahi bola usne payment karke apna cake uthaya aur tez kadmon se bahar ki taraf chali gayi.

Zayan usse dekhta raha jab Tak ke Woh mukammal tor par uski nazron se ghayab na hogayi.

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now