Ek Naya Aghaaz

739 52 48
                                    

After a week:

Har kisi ki zindagi mein bohat si khwahishat Hoti hain. Har koyi chahta Hai Ke ussay Zindagi Mein best se best milay , Har kisi ko lagta Hai ke doosray ki life bilkul perfect Hai , Magar afsos iss Duniya Mein kisi ki life na perfect Hoti Hai Aur na mukammal , Har koyi apnay seenay mein koyi na koyi Dukh chupaye rakhta hai.
Lekin in Sab mein Sabse Nayab cheez Sabar Hai , Har Dukh , Har Gham Ke bawajood Sabar karna Aur apnay tamam mamlat Allah par chor dena hi Sabse Nayab cheez Hai.
Jis Tarah Har tareek raat Ke bad Ek Roshan subah Hoti Hai , ussi Tarah Har buray din Ke bad Ek acha din bhi ata Hai bas hamein uski umeed nahi chorni chahiye.

Aj Khan Villa mein Har taraf gehma gehmi , har koyi kisi na kisi konay ko saja Raha hai.

Zayan ne ek white shirt par black trench coat pehna Hota Hai , usskay Baal uskay mathay par thirchay Andaz mein paray hotay hain.
Aur Woh kisi catering service walay se guftugo Kar Raha Hota Hai itnay mein ussay call ati Hai woh apnay coat ki pocket se phone nikalta Hai.

"Han Daneen everything under control?" Woh Thora nervous tha

"Yes captain , everything under control , itna nervous honay ki zaroorat nahi , ussay surprise ke baray mein Kuch bhi nahi Pata Chala , balkay kabse Beth Ke Mera Sar Kha rahi Hai ke Zayan ko Meri birthday Tak Yad nahi" Daneen hanstay huay boli.

"Han Hamari begum sahiba Hain Toh thori si bewaqoof , Khair jab tumlogon ke ward rounds khatam hojaye Toh mujhay Ek text kardena"

"Okay captain"

Naila Aur Shahana lounge aur garden ko decorate karwa Rahi thi Jabkay Shah Sahab Aur Dada Jan Ek corner mein bethay balloons phulanay  ki nakam koshishein Kar rahay Thay Har do second bad dada Jan ki sans phoolnay lagti Magar Woh Phir bhi koshish jari rakhtay.
Zayan iss manzar ko Dekh Kar apni hansi na rok Saka.

************************************

Zayan Apnay room mein Aya Aur book shelf ki side par rakhay apnay guitar ko uthaya.
Woh Pata nahi kitnay salon bad iss guitar ko hath mein utha Raha tha.
Ussnay guitar par pari dhool ko hataya , itnay mein koyi notification Aya ussne dekha Toh Woh Daneen ka text message tha Woh log arahay Thay.

Woh foran neechay gaya Aur sabko apni apni position sambhalnay ko Kaha.

Zimal Aur Daneen Ghar Ke Andar arahay Thay jab bilkul entrance par Zimal Ke sab usskay samnay aye Aur Zayan ne achanak se uskay par Ek party popper Phor Diya. Zimal herat se sabko dekhnay lagi ,

"Oh God ! Mujhay laga kisi ko Meri birthday Yad hi nahi" Woh herat se sabko dekhnay lagi.

"Aisay kesay bhool jatay" Shah Sahab ne Zimal ko galay Laga Kar bola.
Aur Phir Bari bari sab ussay happy birthday wish karnay lagay.

Zayan Ne Zimal ka hath thama Aur ussay table ki taraf legaya Jahan cake para hua tha.

Saari celebration Ke bad sab apas mein gap shap Laga rahay thay jab Zayan ne sabko apni taraf mutawaja Kiya

"Aaj mein apni beloved wife Ke liye Kuch gana chahta hun" Zayan Zimal ki taraf dekh kar bola Aur sab taliyan bajanay lagay.

Zayan ne apna guitar uthaya Aur gana shuru Kiya.

Roshan din Aur jagmag ratein

Tujhse Hain Yeh Saari Batein

Jitnay diye jalay hain Ghar Mein

Roshniyon ki Hain barsatein

Tum jiyooooo

Jeena sikhatay Raho

Tum muskuratay rahooooo.

🎵🎶🎵🎶🎵🎶🎵🎶🎵🎶🎵🎶🎵🎶

Zimal Zayan ko dekhti rahi , Woh nahi janti thi Ke uski awaz itni asar Andaz hogi , uskay guitar bajanay ka style sab Kuch ussay bohat acha lag Raha tha , Woh ussay Issi Tarah dekhti rahi.

Sab bohat thak gaye Thay , Naila Begum Aur Shah Sahab bhi Ghar chalay gaye Thay. Dada Jan aur Shahana begum bhi sonay Chala gaye , Zimal saray plates , tables aur Har Cheez jaga par rakh Kar lounge Ke Sofay par thakay se Andaz mein Beth gayi.
Bilkul samnay hi Zayan ka guitar tha ussnay Woh uthaya aur ussay dekhnay lagi , ussne Kabhi koyi instrument play nahi Kiya tha , Magar achanak se uski khwahish hui Ke Woh bhi guitar bajana seekhay itnay mein pheechay se Zayan Aya , ussnay change karke Ek casual white kurta pehna hua tha , Aur uskay khandon par apnay hath rakh Kar bola

"Kesa Laga Mera gana"

"Bohat acha , Tumhari awaz bohat Khoobsurat Hai , plz tum Ek dafa Phir gao na , Tumhari awaz Aur jis Tarah ki dhun tum bajatay ho Mujhay bohat acha lagta Hai , plzzzzzz Zayan Ek Aur Dafa" Zimal ne uska hath pakra Aur ussay kheench Kar Sofay par bithaya.

Zayan uski excitement Dekh Kar hansnay Laga Aur uski khwahish par Ek dafa Phir Wahi dhun Gayi.

"Pata Hai mein Saari raat Beth Kar tumhein sun Sakti Hun" Zimal boli

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Pata Hai mein Saari raat Beth Kar tumhein sun Sakti Hun" Zimal boli

"Aur Pata Hai mein sari rat Beth Kar tumharay liye Ga sakta Hun" Zayan bhi uski ankhon mein dekh kar bola.

Aur Dono hansnay lagay.

Itnay mein Bahar Barish shuru hogayi , Zimal ne lounge ki khirki se dekha Toh Badal baras rahay Thay Woh foran garden ki taraf bhagi Aur Zayan Wahi betha ussay dekhnayaga , kitni Khoobsurat lagti thi Woh ussay jab bhi uskay chehray par Khushi Hoti thi , Zayan Ek bat janchuka tha Kay Zimal choti choti Cheezon se Khush hojaya Karti thi , Ussnay Zayan ko bhi apnay sath Barish Mein kheencha , Woh dono hath thamay Barish Mein bheeg rahay thay Aur Hans rahay Thay

"Aaj mein bohat Khush Hun" Zimal poori bheegi hui thi Aur uski awaz mein sardi ki waja se thori larzish bhi thi Zayan ne Yeh mehsoos Kiya Toh foran Kaha

"Zimal bas bohat bheeg Gayi ho , Andar chaltay hain beemar hojaogi"

"Nahi ab mujhay Kuch nahi Hoga , bhala Barish se bhi koyi beemar Hota Hai , mein nahi Manti , Mera Toh Sara Gham iss Sham Ki Barish Mein Beh Gaya" Zimal Ke chehray par Ek mutmayin muskurahat thi Jabkay Zayan Ki ankhon mein ansoo Thay , ussay yaqeen nahi araha tha Ke itnay arsay bad woh itna pursukoon mehsoos Kar Raha tha.

"Han Zimal , hamara Jo bhi Gham Tha Woh iss Shaam Ki Barish Mein Beh Gaya"
Iss Tarah Ek Aur Sham ki Barish ka ikhtetam hua , Woh dono Ek doosray keliye kaafi Thay , unkay dilon mein Ek doosray keliye bepanah mohabbat Aur Izzat thi , unki muhabbat ka aghaz Ek bohat anjanay Andaz mein hua tha , Lekin Jo bhi tha unki muhabbat Ek doosray keliye Kabhi Kam na hui.

~ Every End Is A New Beginning~

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now