Umeed

634 51 1
                                    


Zimal Gari mein bethi steering wheel par Apna Sar rakhay ro Rahi thi Woh Safa Mall ke Bahar Khari thi ussay kisi mojzay ki zaroorat thi kisi aisay shakhs ki zaroorat Jo uski madad karay Woh Nisha ko kisi Tarah se zillat aur ruswayi se bachana chahti thi Nisha uski cousin Kam Aur achi dost zyada thi
Uskay kanon mein Gari ki horn ki awaz ayi
Kisi ne shisha knock Kiya Woh ussi Tarah Sar steering wheel pe Rakhi hui thi Aur sheesha neechay Kiya
"Excuse me miss Yeh sarak Hai Yahan aisay Gari park karke doosron ka Rasta block Kar Rahi Hai ap"

Usne sar utha kar dekha Woh Zayan tha Woh Zayan jisko Zimal Zain samjhti thi
"Ap Phir se"Zimal Ke Mun se Wahi alfaz nikle

"Wahhh Ek Aur ittefaq"Zayan muskuraya

"Ab Toh mujhy lagta hai Yeh koyi ittefaq nahi balkay ap Mera pheecha Kar rahay hain"Zimal boli

"Hosakta hai aisay hi ho kher ap Gari side par Khari kardein harkoyi hamein Dekh Raha hai" Zayan apni long coat ki Jeb mein hath dalay khara tha

Zimal ne Gari park ki side par Zayan ne ab apni black fielder bhi uski Gari kesath park kardi

"Mein ne Kaha tha na agli ittefaqan mulaqat mein apka Nam zaroor Janna chahoon Ga"Zayan Zimal ko Dekh Kar bola

"Mera nam Zimal Nayab hai Aur apka Shayad Zain Hai haina ?"

Zayan ne kehkaha lagaya uski smile bohat Khoobsurat thi Zimal ne pehli dafa usse itna gher sanjeeda paya.

"Ap ne yeh kahan se suna khair mujhay Zain nahi Zayan Ali Khan kehtay hain"

"Nam toh bara pyara hai apka Lekin harkatein bilkul bhi pyari nahi hain"

"Allah Allah aisa kya kardiya mein ne apko Kya ab bhi aisa lagta Hai Ke mein apka pheecha Karta Hun"Woh gardan thirchi karke bola

"Nahi aisa nahi I am sorry bas Kuch pareshan Hun ghussa ap par Nikal diya"Zimal sharminda hui

"Hmm Toh Kya mein apki pareshani ki waja Jan sakta Hun?"

"Ap agar Jan bhi jaye Toh Meri Kya madad karein ge"

"Underestimate kar Rahi hain ap Mujhe ab toh mein iss area ka AC ban gaya Hun"Zayan Ek purwaqar Andaz Aur halki muskurahat kesath bola

"Kya Matlab reallllly"

"G bilkul"

"Konsi konsi degree lerakhi Hai apne"Zimal ne tanz kiya

"Well filhal Toh bas itni hi degree Hai mere pas ap apni problem batayein mujhe umeed Hai apkay Kam asakoonga mein"Zayan ne Zimal ki taraf uskay Office ka card barhaya Zimal ne card Liya Aur dekha us par Assistant Commissioner Zayan Ali Khan likha hua tha Aur neechay Ek number.

"Aap iss ilaqay mein jantay hain ke drug dealers Kahan hotay hain"Zimal ne baghair kuch sochay samjhay bola

"Kheriyat apka drug dealers se Kya Lena dena"Zayan usse dekhta raha

"Mein Janna chahti hun"

"Aisay khatarnak logon ke baray mein Jan Kar Apne Kya karna hai Miss Zimal Nayab"
Zayan Ke Mun se Apna poora nam sunkar usse Kuch ajeeb laga uski dheemi awaz kisi se milti julti thi Magar uske pas Yeh sab sochnay ka waqt nahi tha

"Choriye mein ne Toh pehle hi bola tha ap Meri madad nahi karsaktay Allah Hafiz" Zimal Yeh keh kar Gari mein Beth Gayi Zayan Wahi khara Raha Aur ussay Jata Dekh Raha tha
Uska Zimal kesath Khoon ka Rishta tha cousin thi Woh uski Lekin Woh Toh issay Ek ajnabi samjhti thi Issi bat ka Toh Dukh tha Zayan ko.

************************************

Zimal Ek mobile tech shop Ke Andar gayi
"Excuse me Yeh number kese trace  karwatay hain"

"Ap Sahi jaga par ayi hain madam ap Beth jayein mein hamaray technician ko bulwata Hun"

Zimal side par Beth Gayi Ek larka Andar Aya Aur Zimal se phoocha "Konsa number trace karwana Hai ap iss paper par Likh dein"
Zimal ne Wahi number likha jis se Nisha ne call ki thi
Woh larka kisi screen par ajeeb ajeeb bar codes type Kar Raha tha itnay mein Woh uski taraf mura
"Yeh Toh Ghaziyan Wali Ka ilaqa Hai"

"Woh Kon"

"Ap nahi janti Woh ek business tycoon Hai jis par drug dealing Aur trafficking Aur bhi bohat se cheezon Ke charges Hai Lekin asar o rusookh itna hai ke aj Tak koyi qanooni karwayi nahi hui uss par"

Zimal ko sab samajh anay Laga tha Ghaziyan Wali ki ked mein thi Nisha akhir Nisha ka aisay khatarnak logon se Kya wasta.

Zimal Ghar ayi Toh Naila Begum ne sawalat shuru kardiye Kahan gayi thi jab Tak Nisha nahi mil Jati khayal rakha karo waghera waghera

Woh apnay kamray mein ooper ayi Aur apnay clutch se card nikala jis par Zayan ka number tha Wahi tha jis se Woh madad mang Sakti thi usne call milayi

"Hello"Zimal dheemay lehje mein boli

"G ap Kon"Zayan ki pur Waqar awaz

"Woh mein Zimal Hun apse milna chahti Hun"

"Hmm Toh finally apko Laga mein apki madad Ke qabil Hun Miss Zimal Nayab" Woh tanz karna nahi bhoola

"Dekhiye mein Ek bohat bari problem mein Hun mujhy koyi idea nahi in sab cheezon ka apse Kal milsakti Hun Kya"

"Bilkul ap Kal mere office ajayein Beth kar bat kartay hain"

************************************
Aglay din Zimal Zayan ke Office gayi

"Dekhiye mein apse direct bat karna chahti hun"

"mein sun raha hun"

"Aap Ghaziyan Wali ko jantay hain"

Zayan yeh nam sun kar thatak kar reh gaya akhir Yeh larki kiun in khatarnak logon ke pheechay Pari hui Hai

"Han poora ilaqa Janta Hai usse"
Zayan bola

"Usne Meri cousin ko ked karke Rakha Hai Aur mujhay poora yaqeen Hai Meri cousin uski kaid mein Hai mein bas Yeh chahti Hun Ke baghair police ko involve kiye mein Nisha ko unlogon se churwa loon Kya ap Meri help karsaktay hain"Zimal ek sans mein boli

"Apki cousin Ghaziyan Wali ki kaid mein Hai Aur ap Yeh bat pooray yaqeen se keh Sakti Hun Aur apkay Ghar walay Kya Woh jantay hain Yeh sab"

"Nahi Woh log police ko involve karein ge Nisha ki Kuch dino mein engagement Hai uski Zindagi barbad hojayegi Kya Ham Yeh sab secret tareeqay se nahi karsaktay?"

"Dekhiye Ghaziyan Wali kisi ko baghair kisi waja Ke kaid nahi Karta zaroor apki cousin uske Sath kisi Tarah se involve thi"

"Kya Matlab ap Meri cousin Ke Kırdar Ke baray mein kese bol saktay hain
Ghalti Meri hi Hai Jo Ek ajnabi se madad mangi"Zimal foran kursi se uthi

"Mein sirf Ek fact state Kar Raha Hun apko itna hyper honay ki zaroorat nahi"

"Ap sirf Yeh batayein ap uski madad karsaktay hain ya nahi"Zimal do tok alfaz mein boli

"Theek Hai mein Apne tareeqay se mamlay ko dekhta Hun ap apni awaz neechay karein Yeh office Hai mera apka ghar nahi"Zayan uski ankhon mein Dekh Kar bola
Zimal office se Nikal Gayi ajeeb dhoop chaon kisam ka insan hai pata nahi madad karega bhi ya nahi aisay hi apni personal problems Bata Di mein ne usse.

************************************














Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now