Zulam

664 49 16
                                    

Flashback~

Sham ka waqt tha Woh 6 Saal ki bachi apni colouring book mein masroof thi Bahar halki halki Barish honay lagi jiski Boondein khirki par parnay lagi Woh apnay nannay nannay paon kesath tezi se khirki ki taraf bhagi thi aur bahar ka nazara karnay lagi
"Mammo Mammo dekhein kitni pyari Barish Hai"

Naila Begum lounge mein ayi Aur uski colouring books samait Kar Kaha
"G mammo ki Jan Lekin ap khirki band kardein apko sardi lag jayegi"

Zimal ne khirki Phir bhi khuli Rakhi Itnay mein Barish Tez hogayi Aur uss halki Khoobsurat Barish ne Toofan ki shakal ikhtiyar karli khirki se Bahar ka manzar ab dhundla lagnay Laga tha iss andharay mein usse kisi ka wajood hilta hua Nazar Aya Woh wajood Ghar Ki taraf hi Barh Raha tha Aur darwazy par dastak Di
Ahmad Shah Sahab ne darwaza khola Toh unke hawas Kho gaye Woh samnay kharay insan ko Dekh Kar ajeeb khof mein agaye Woh Aur koyi nahi Sheheryar Ali Khan tha Aur apni amanat lenay Aya tha Naila Begum Zimal ko ooper kamray mein legayi Aur isse Sula Diya Lekin Zimal ne sirf ankhein band ki thi Woh Soyi nahi thi.

Sheheryar Ali Khan ne Shah ko side par karke Ghar ke Andar dakhil hua

"Shah tum aisa kaisay karsaktay ho tum bhi baba Jan kesath milgaye tum sab ne mil Kar Meri Beti se mujhy door Kiya 6 Saal se pagalon ki Tarah usse dhoond Raha Hun , tum Toh mere jigri dost Thay tum ne aisa kiun kiya" Sheheryar khoob Tez awaz mein chilaya

"Kya bolay jarahay ho sherry drunk Toh nahi ho" Shah ekdam uska khanda pakar Kar bola

"Bat ko ghalat Rukh mat do Meri Beti Kahan Hai" Sheheryar ki ankhein surkh thi Aur uski light blue shirt Barish Mein bheeg chuki thi uske geelay bal uske mathay par aye huay Thay.

"Dekho sherry Woh Tumhari Beti nahi Hai ab woh Meri Beti Hai tumharay baba Jan ne usse khud mere hawalay Kiya Hai Now she is my daughter by all means and rights" Shah apni purwaqar awaz mein bola

"Mein nahi manta Woh Meri Beti Hai Meri Aur Shanzay ki beti Meri Jan Hai Woh Meri Shanzay ki Nishani Hai woh" Sheheryar ki ankhon mein ansoo Thay Lekin Shah ko uss par Zara tars na Aya

"Tum Abhi bhi uss aurat ki Yad mein rorahay ho jisne tumhein itna bara dhoka diya" Shah bola

"Shut up Just Shut Up Shanzay Ke baray mein Kuch mat bolna" Sheheryar ne Shah ko uske shirt ki collar se pakra

"Mere Ghar Mein kharay hokar Mujhay gireban se pakartay ho Get lost Sheheryar Just get lost from here!!!" Shah ne usko pheechay dhaka Diya Sheheryar Jo pehle se drunk tha sofa par gira

"Khud Toh itnay drunk ho Ke Apni halat sambhalti nahi tumse aur apni Beti ko dhoondnay ki batein kartay ho" Shah uske Kareeb akar bola

"Mein tumhein Nahin chorun ga Shah"
Sheheryar cheekha

"Agar kisi ko ilzam dena hai Toh Munawwar Sahab ko do unho ne mujhay Zimal Ke Saray rights handover kiye hain aur ab woh Meri beti Hai Aur Tum hamari life se dafa hojao Sherry" Shah Ek dafa Phir apni purwaqar awaz mein bola Aur Sheheryar ko khanday se pakar Kar Bahar nikala Sherry uss Tez Barish wali rat mein sarkon par ghoomta Raha Aur najanay kitnay ghamon ko lekar Woh Ek jaga se doosri jaga Jata Raha Sham ki Barish bhi uske Gham ko na baha saki
Zimal Yeh Sara waqya Yeh sari Batein seeriyon par Beth kar dekh Rahi thi uska masoom dimagh iss manzar ko zehen nasheen karchuka tha.

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now