Maazi ki Ghaltiyan

528 44 31
                                    

Zimal apna Sar dada Jan ke Khanday par rakhay hui thi Aur Dada Jan uskay balon ko sehla rahay thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zimal apna Sar dada Jan ke Khanday par rakhay hui thi Aur Dada Jan uskay balon ko sehla rahay thay.
"Zayan kab tak ayega Zimal beta"

"Dada Jan Woh court gaya Hai , baba bhi wahin Hai , hearing Abhi Kuch hi der mein shuru honay wali hogi InshAllah Woh Sham se pehle pehle ajayega aap tension na lein"

"InshAllah"

"Mein aisa Karti Hun aap keliye green tea Bana Ke Lati Hun Phir Ham Beth Kar bohat sari Batein kareinge" Zimal uth Kar boli Aur Dada Jan Ke chehray par muskurahat agayi.

"Han kiun nahi apni Poti ki hath ki green tea mein zaroor piyon ga"

************************************

Woh kitchen mein ayi Toh Shahana begum mulazma kesath Khana Bananay mein help Kar Rahi thi Zimal bhi unke pas agayi.

"Ammi ap piyengi green tea?"

"Han tum banaogi Toh zaroor piyongi" Shahana muskura kar boli.

Zimal pani stove par rakh Kar boli
"Ammi , aap Ghar Mein bore nahi Hoti"

"Hmm bore Toh hojati Hun Kabhi Kabhi , Lekin Dada Jan haina , unka khyal rakhti Hun Ghar ke kamon mein khud ko masroof karleti Hun"

"Aap se Ek bat phoochun?"

"Meray baba kesay insan thay?"

Shahana ko Zimal Ke iss Sawal par thori herat hui Lekin Phir Woh muskurayi
"Tumharay baba bohat Pyar karnay walay insan thay ....... Zayan Ke baba Aur tumharay baba dono ki adatein takreeban Ek jaisi thi ..... Aur Pata Hai tum Toh bilkul unse milti ho , Sheheryar ki Tarah Batein ,uski Tarah ki ankhein , issliye Toh dada Jan kehte Hain Ke tum mein unhein Sheheryar Nazar ata Hai"

"Mein ne dekha tha baba ko jab mein 6 sal ki thi" Zimal ne dheemay lehjay mein kaha

"Tum ne waqayi mein dekha tha Sheheryar ko"

"Han Ammi mein ne dekha tha unhein , Woh Barish wali raat mujhse Kabhi nahi bhoolti , Zindagi Ke Har lamhay mein unka chehra mere Sath Raha Hai" Zimal ki ankhon mein Paani tha Lekin ussne khud ko bohat Mushkil se calm Rakha hua tha.

"Baton baton mein chaye ubal bhi gayi" Zimal ne cups Nikal Kar tray mein rakh diye Aur Ek cup Shahana begum Ke samnay rakh diya.
Shahana begum ne Zimal Ke hath par Apna hath rakha Aur uski taraf dekh kar boli.

"Tum Ek bohat Bahadur larki ho Zimal , Mushkil halat Ke samnay bhi nahi tootnay wali larki" Shahana begum ke Andaz mein Pyar tha Zimal ne bhi unhein muskurahat kesath dekha Aur Dada Jan Ke kamray ki taraf barh gayi.

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now