Dhundla Manzar

797 54 10
                                    

Agli subah asman bilkul saaf tha ek khoobsurat subah thi aur chamakti dhoop nikli hui thi.

Zimal physiology ki book hath mein liye college ke cafe mein Ek table Ke pas akar Beth Gayi Jahan pehle se Hamna Haris Daneen Aur Ali bethay thay.

"Kya bat Hai Bhai aj Toh gang Ek sath betha hua Hai"Zimal ne bola.

"G G ab Ham itnay bhi bewafa dost bhi nahi hain"Ali ne shararat ke Andaz se Kaha.

"Acha aj Jo bhi order karogay Woh Meri taraf se hoga treat samajh lo"
Zimal Ek muskurahat Ke Sath boli

"Wahhh aisay din Toh bohat Kam atay hain Chalo bhaiyon behnon aj Zimal madam ka wallet Khali karna hai hamein"Daneen Hamna Haris Aur Ali ko high five dekar boli.

Zimal Ka phone baj raha tha screen par Ek unknown number araha tha usne call silent kardi.

"Kiska phone hai uthao"Hamna Zimal ki uljhan Dekh Kar boli.

"Nahi bas koyi unknown number hai"

"Acha Chalo bohat bhook lagi Hai guyz jaldi Kuch khilao Yar"

************************************

"Zimal Dr.Javed ne medstudents keliye surgery ki Ek workshop arrange ki Hai Ham live laparoscopic surgery dekhein gay auditorium mein tum Chal Rahi ho na"Daneen apni books utha kar ab Zimal kesath cafe se Nikal Rahi thi.

"Han Yeh bhi koyi phoochnay ki bat Hai Dr.Javed ki workshop Toh Kabhi na miss Karoon mein"Woh dono Tez qadmon kesath auditorium ki taraf barhnay lagi
Auditorium mein projector ki neem si Roshni thi sirf agay ki first two rows packed thi Woh dono third row mein middle mein Beth Gayi surgery Abhi Kuch der mein shuru honay wali thi.
Itnay mein koyi shakhs Zimal Ki Sath wali seat par akar Beth gaya Woh Ek formal se getup Wala shakhs tha Zimal Apne bag se notepad nikalnay mein masroof Rahi itnay mein kisi ne usse mukhatib Kiya

"Excuse me Yeh workshop kitni der mein shuru hogi"

Yeh awaz Zimal ko Jani pehchani lagi jese Woh pehle bhi kayi dafa sun chuki ho iss awaz ko usne Mur kar side par bethay formal getup wale shakhs ko dekha Jo musalsal screen ko Dekh Raha tha Aur ab screen ki Roshni uss Ke chehray par arahi thi.
Yeh Aur koyi nahi Zayan Ali Khan tha Woh Dekh chuki thi iss shakhs ko Bread Basket Bakery mein issliye Zimal ko awaz Jani pehchani lagi.

"G Ham Toh khud Abhi aye hain Kuch der mein shuru hogi Lekin ap Kon ap ko college mein pehle nahi dekha"Zimal ne curiosity se phoocha

"Mein dr.javed ki request par Aya hun MBBS graduate Hun Dr.Javed mere mentor hain"Zayan Zimal ko dekh hi nahi Raha tha Aur screen ko dekhay jaraha tha

"Oh I see Kahan se Kiya Apne MBBS?"

"Marmara University of Istanbul"Woh purwaqar awaz se bola

"Turkey se parha Hai apnay?Wowwwww Woh Toh Mera dreamplace Hai"Zimal ne herat se bola Phir jaisay usse sharmindgi si hui kisi ajnabi se itna free honay par Woh Ek dam seedhi Beth gayi.

Zayan ne uski iss excitement ka koyi jawab nahi diya.
Zayan auditorium se Bahar Nikal gaya Zimal usse Jata Dekh Rahi thi abhi Toh workshop bhi shuru nahi hui Aur Yeh Chala gaya kitna rude sa banda Hai Yeh Zimal ne Dil Mein socha.
Uske phone par kisi Cheez ka notification Aya Yeh kisi unknown number se Aya hua message tha Lekin Yeh raat Wala number nahi tha itna Toh Woh jan Gayi thi.
Usne message khola Aur parhnay lagi.

"Chunkay ap mujhse phone par bat nahi kareingi issliye apko Apna pegham message par bhej Raha Hun
Abhi apko Ek audio message bhejoonga ghor se sunye Ga usse Miss Zimal Nayab"

Ek audio message Aya usne foran headphones laga liye Daneen Sath hi bethi phone pe ludo star Khel Rahi thi.
Usne audio par click Kiya

"Afsos Ke apko apnay khooni Rishton ka aj Tak nahi Pata Chala Kya ap janti bhi hain ke jinko ap Mama baba kehti hain Woh asal mein apkay koyi nahi hain"
Yeh awaz ussay bohat chubbi thi uskay hath kanpnay lagay uski ankhon Ke samnay Wahi manzar dobara Aya Yahi tho tha Woh Raz Jo Woh bohat pehle se janti thi Lekin Kabhi bhi iska samna nahi Kiya tha unse Woh nahi janti thi ke kisi ko uski kamzori ka pata chalay Yeh Kon tha Jo itni asani se uski kamzori uske Raz ko Jan gaya tha ansoo uski ankhon se behne lagay aj Tak usne Kabhi kisi par Yeh bat Zahir nahi ki thi Lekin ab woh pehli dafa khud ko itna kamzor mehsoos karnay lagi thi Woh Ek dam uthi Aur auditorium se Bahar Janay lagi Daneen usse pheechay se awazein derahi thi Zimal ne ussay dekhay baghair bola "I have to go"

Usne exit ka darwaza khola Toh samnay Zayan khara andar hi araha tha Zimal ne usse Nazar Andaz Kiya Aur ansoo saf kartay hue bahir ki taraf janay lagi.
Zayan thatak kar rehagaya.

************************************
Zimal jaldi jaldi Apna call log check karnay lagi aur Woh unknown number dial Kiya
"Apka matlooba number kisi Ke istimal mein nahi"
Aisa kese hosakta tha kon tha jisne Zimal ke paon se zameen khench di thi aur ab woh us shakhs tak pohonch hi nahi pa Rahi thi.
Kuch Batein aisi Hoti hain Jo insan barson tak apne andar Chupa kar rakhta hai Woh sochta hai Woh talkh haqeeqat hı Sahi Lekin Ek Raz hai Magar aisa kiun Hota Hai ke karwi sachayi Kabhi nahi chupti Woh Kabhi na kabhi samnay ajati hain.

Zimal muri aur corridor mein chalnay lagi Woh zameen ko Dekh Rahi thi jaisay Soch Rahi ho Ke Abhi Kuch der pehle jo hua Woh kya tha itnay mein Woh kisi se takrayi aur uska phone uskay hath se gir gaya Zimal upar dekhay baghair beikhtiyar boli
"Ap Dekh Kar nahi Chal saktay"

"Well I am sorry actually mein kisi Soch mein tha upar se ap bhi Toh aisay Chal Kar arahi thi jaisay kehkashan par Chal Rahi ho"Zayan ne Zimal Ke uljhay hue chehray ko Dekh Kar bola.

"Aaa...Aap Phir se" Zimal ne beikhtiyar bola

"Kya Matlab Phir se"

"Matlab Yeh Ke Kal se ittefaq pe ittefaq huay jarahay hain aur kisi tarah se ap mere rastay mein chalay atay hain"Zimal ne ek sans mein bola

"Acha Toh Yeh koyi Buri bat Toh nahi
Wesay ap workshop se itni jaldi kiun agayi is everything alright"
Zayan halki si muskurahat kesath bola

"Kuch hi waqt pehle milay insan ka mujhse Yeh phoochna Thora awkward nahi Hai ap Toh Mera Naam Tak nahi jantay"Zimal apni bal ka Ek lat pheechay karke boli

"Woh Kya Hai Na mujhay formalities ki Adat nahi Jo phoochna Hota Hai straight forwardly phooch leta Hun"Zayan ne betasur chehray kesath bola

"Woh Kya Hai Na mujhay formalities ki Adat nahi Jo phoochna Hota Hai straight forwardly phooch leta Hun"Zayan ne betasur chehray kesath bola

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


"Woh Toh nazar ahi Raha Hai Ke ap kitnay straightforward hain"

"Chalein umeed karta hun ke hamari ek aur mulaqat ittefaq se hojaye aur uss mulaqat mein apka Nam jansakun"Zayan Yeh keh kar chala gaya

Zimal iss ajnabi insan ko dekhti rahi Phir uska nam Yad karnay ki koshish ki "Kis nam se pukara tha uss bakery wale ne ussay Kya the nam Yad kiun nahi araha Z se tha bara unusual sa nam tha iski personality ki Tarah han Yad Aya Zain Nam tha Lekin Woh Abhi bhi sure nahi thi.
Ab ussy bhi iss shakhs se Ek Aur ittefaqan mulaqat ki talab hui.
Kuch der keliye Woh apni unknown number wali problem ko bhool Gayi thi.

************************************

"Dekho Zayan tum Jo Kar rahay ho Woh bilkul tumhein suit nahi karta"
Adil gari kesath khara gari ki doosri janib kharay Zayan ko kisi cheez se mana kar raha tha

"Mein Janta Hun Lekin mere pas Aur koyi Rasta nahi Dada Jan ne mujhse Ek bohat bari Cheez mang li hai" Zayan pant ki jaib mein hath dalay kehne laga

"Theek Hai mein Manta Hun Lekin tum uss larki se direct bhi Toh bat karsaktay usse sab Kuch Bata saktay ho iss Tarah secret tarreqay se Yeh sab karnay ka Kya Matlab"

"Dekho Adil mein nahi Janta Ke Woh kitna janti Hai apnay baray mein usse Yeh sab Batein maloom Hai bhi ke nahi Mujhe pehle uss se Anjan Ban Kar milna zaroori Hai takay mein uska state of mind maloom karsakoon"

"Theek Hai Yar Jo tumhein Sahi lagay Woh karo Lekin larki ko zyada Tang mat karna Aur han tumharay CSS ke exam ka result kab ayega"

"Ajayega Kuch dino mein"

"Chalo Phir bohat jald ap AC sahab Ke nam se mukhatib hongay"Adil ne apnay dost par fakhar karne Ke Andaz se bola.
Ab woh dono Gari mein Beth gaye.




Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now