Haqeeqat

671 54 15
                                    

Zayan usse batana chahta tha Ke Woh uska Apna tha issliye Woh uskay Har Dukh dard ko khatam karna chahta tha jisne usko pal pos Kar Bara Kiya Woh uske asal maa bap nahi hain Woh Zimal ko unhein chornay ka nahi kahega Lekin Woh usse explanation zaroor dega uske past ki uska Haq Hai Ke Woh Janay Ke Woh Kon Hai Kahan se ayi Hai woh Kis ka Khoon hai Aur akhir kiun Woh aj Apne apnon Ke kareeb nahi Hai
Zayan yeh sab Soch Raha tha itnay mein bano uske kamray mein ayi

"Sahab g Dada Jan ko Kuch hogaya Hai ap jaldi neechay Ayein"

************************************

Woh hospital ki corridor mein khara tha uske paon mein dam nahi tha Abhi Toh usne dada ko unki Poti se bhi nahi milwaya Woh dada ko nahi Kho sakta tha usse kisi achi Khabar ki intezar thi Ek doctor ER se Bahar Aya
Zayan foran unki taraf Dora

"Dekhiye Mr.Zayan unko heart attack Aya Hai Abhi Toh unki halat stable Hai Hamne life saving drugs Laga Di hain Magar aglay 24 ghantay bohat critical aur Woh behoshi mein musalsal apka Nam le rahay thay"

Zayan yeh sab sun raha tha Aur zabt karke khara tha
Ussay Zimal ko dada se Har Hal mein milwana tha bohat hogaya Yeh secret Khel akhir Zimal ko ab sab Bata dena chahiye Dada ko Abhi hosh nahi Aya tha Aur Shahana Begum waiting area mein nawafil parh Rahi thi
Zayan Bahar ki taraf gaya gari start ki aur Zimal Ke Ghar Ke Bahar khara hogaya sham Ke 5 baj rahay thay usne Zimal ko call milayi

"Jaldi Bahar ao mein tumharay Ghar Ke Bahar khara Hun" Zayan apni purwaqar awaz mein bola uske lehjay mein sakhti thi

"Kya Matlab kiun" Zimal ko herangi hui

"Mein ne Kaha na Bahar ao warna mein Andar ajaonga" Woh iss bar oonchi awaz mein bola tha

"Ajeeb insan ho arahi hun do minute sabar karlo" Zimal ko uski awaz mein ajeeb bechayni feel hui usne apnay kamray ki window se Bahar dekha Toh Woh khara tha sky blue shirt black glasses aur apnay ussi unusually charismatic Andaz mein khara tha usne khud ko set Kiya Aur neechay ki taraf gayi

"Kya masla Hai apko Mr.Zayan" Woh gate se Nikal kar boli aur ab uske samne khari hui

"Aj Saray Maslon ka Hal nikalna Hai mein ne Miss Zimal Nayab betho Gari mein"

"Mein kisi kesath bhi aisay hi nahi Beth Jati Gari mein phichli dafa tabiyat kharab thi isliye bardasht karliya mein ne"

"Baqwas band karo aur betho Gari mein" Zayan ko khud yaqeen nahi araha tha Woh Kis Cheez ka ghussa us bechari Zimal par Nikal Raha tha Lekin Khair Dada Jan ki condition ki waja se Woh kafi stress mein tha Aur Phir Gari mein bethnay Ke bad ussay sari situation bhi Toh batani thi Zimal ko Zimal bhi mun bigar Kar Gari mein Beth Gayi

"Yeh Toh Bata do ja Kahan rahay hain" Zimal ne Zayan ke taraf dekha jo steering wheel par Ek hath rakhay samnay ki taraf dekh raha tha Woh iss posture mein kafi handsome lag Raha tha Zimal ne socha Aur Phir apni nazrein pher li

"Ab jo mein tumse kehne Wala Hun Woh tumhein Ek bohat Bara shock dega Lekin mujhay umeed Hai tum Yeh sun kar at least Gari se chalang nahi lagao gi" Zayan Ek hi sans mein bola nazrein uski Abhi bhi samnay road par thi Zimal usse ghoor Rahi thi

"Tum mujhse phoochti thi na ke mein hamesha ittefaqan kese samnay ajata hun tumharay Aur mein akhir Hun Kon......" Woh thori der ruka phir bolna shuru kiya

"Mein tumhara cousin hun tum hamary khandan ki Beti ho aur mujhy achi Tarah Pata Hai Ke tum janti ho Ke tum adopted ho jinhe tum parents kehti ho unse tumhara blood relation nahi hai" Woh Ek hi sans mein bolay jaraha tha

Yeh sunkar Toh Zimal Ke Peron se jaisay zameen hi Nikal Gayi ho usko Gari mein achanak se suffocation hone lagi uskeliye sans Lene ki jaga Kam pargayi thi Woh Zayan ko Phir se ghoornay lagi Yeh shakhs itnay asani se logon ke dilon ko kese zakhmi kardeta tha
"GARI ROKO ABHI ISSI WAQT WARNA MEIN GARI SE CHALANG LAGA DOONGI" Zimal chillayi

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now