Benam Sa Dukh

800 62 2
                                    

Zimal Gari mein bethi hi thi Ke uska phone bajne laga Yeh koyi unknown number tha usne uthaya hi nahi aur driver ko chalne ka ishara Kiya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zimal Gari mein bethi hi thi Ke uska phone bajne laga Yeh koyi unknown number tha usne uthaya hi nahi aur driver ko chalne ka ishara Kiya

Ghar atay hi Woh chupke se kitchen ki taraf gayi Aur cake fridge mein rakh diya.
Ab woh lounge ki taraf ayi jahan Ahmed Shah Sahab sofa par baithay thay aur naila unko Chaye ka cup derahi thi.

"Baba Khushamdeed" Zimal unke pas Beth Gayi

"Shukriya Meri Jan apka rotation kesa Raha"Ahmed Shah ne apni Beti ke Sar par hath rakh kar Kaha

"Acha tha baba ap batayein apka trip kesa Raha"

"Beta business trip tha kesa hosakta Hai Aur waisay bhi conference delay hogayi Toh mein jald se jald apni Beti Ke pas agaya"

"Chalein Phir Toh acha hua Ke conference cancel hogayi" Zimal Hans kar boli

************************************
Raat ke 11:45 baj rahay thay Zimal apnay kamray mein Beti kisi kitab ko samnay Rakhi Kuch Soch Rahi thi jaisay Woh kisi Cheez ka intezar kar Rahi ho Woh Bahar ayi Aur kitchen mein Gayi cake ko plate mein nikala Aur Phir se ghari ki taraf dekhnay lagi aur jaisay hi 12:00 bajay Woh foran cake utha kar samnay walay kamray ki taraf gayi Aur light on ki
"Happppppppppy Birthday Babaaaaaa Jan"
Zimal ne khoob Josh se kaha itnay mein Naila aur Ahmad Shah dono ne Zimal ki taraf muskura kar dekha

"Yeh Kya baba ap ko herat kiun nahi hui"

"Kiunke beta Har sal ap Mujhe aisay hi 12:00 bajay surprise Karti hain meri Birthday par"

"Aap bap Beti Pyar bad mein kar lein pehle cake kat lete hain mera Toh cake dekh kar dil machalnay laga hai"Naila Begum ne cake ki taraf dekh kar kaha

"G G kiun nahi sabse pehle ap ko khilaon ga mein" Ahmad Shah ne shararat Ke Andaz se bola

************************************
Zimal ab seeriyan char kar apne kamray ki taraf jarahi thi itnay mein uska phone Phir se bajnay laga Yeh Wahi dopehar Wala number tha unknown number Woh kamray mein ayi Aur akhir kar call utha hi li

"Hello Kon Hai ap ?" Zimal ne baghair kisi tasur ke bola

"Assalam o Alaikum Zimal Nayab"
phone ki doosri janib se Ek dheemi lehjay mein kisi shakhs ne Kaha

"Ap Kon hain?" Zimal ne jaisay salam ko Nazar Andaz Kiya.

"Mein Kon Hun Yeh Toh Shayad ap Kabhi na Jan payein Lekin mein apko zaroor Janta Hoon Aur apkay baray mein Kuch aisay Raz bhi Jo Shayad apko bhi na Pata ho"

Yeh Sun kar jaisay Zimal ka Dil Dehel gaya Kuch der keliye Woh nahi janti thi ke Woh kiun itna dari thi
"Dekhiye fazool ki Batein karke waqt Zaya mat kijye mera, ghalti Meri hi Hai Jo unknown number ki call uthayi hongay ap koyi prank caller waghera"

"G nahi mein pranks sirf unke sath Karta Hun Jo Mera prank bardasht karnay ki taqat rakhtay hon"

"Jo bhi Hai dobara call mat kijye Ga iss number par" Zimal ne Yeh keh kar phone band kardiya Aur side table par phone rakh Ke bed par let Gayi Aur chat ko dekhnay lagi ussay Woh tez toofani Barish wali raat Yad agayi jab Woh 6 Saal ki thi Aur tab usnay woh Manzar dekha tha jo aj Tak Woh Kabhi nahi bhool payi thi. Kher tamam khyalat ko jhatak kar Woh aglay hi lamhay sochuki thi.


Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now