Epilogue

1K 52 39
                                    


Five Years Later :

Zayan Ek hath steering wheel pe rakhay Gari Chala Raha Aur Har do minute bad back seat par bethay uss char sal Ke bachay ko front mirror mein Dekhta , woh Bacha bari hi masoomiyat se apnay khilono mein masroof tha , uss Ke bal Zayan Ke balon ki tarah ghanay thay Aur uski ankhein uski Maa par Gayi thi

"Acha Toh Sheheryar aap mama se Kya Kahein ge?"
Zayan uss bachay se mukhatib hua.

"Hmm mein mama se kahoonga Ke ham fairy land jarahay Hain"
Sheheryar apnay baap ko Dekh Kar bola Aur Ek bari si smile apnay chehray par le Aya.

"Ohooooo Apne unse sirf itna kehna Hai Ke "We have a surprise" Zayan apnay char sal Ke Betay ko pata nahi kesay kesay Mushkil alfaz Sikha Raha tha.
Sheheryar bhi apni totli awaz mein bola "We have a surprise"

Gaari hospital Ke samnay akar ruki Toh Zayan ne Apna phone nikala aur Zimal ko call milayi.

"G Begum Sahiba , we are watching for you outside"

"Han bas mein arahi Hun , Abhi Abhi surgery se farigh hui Hoon Zara patient ko ICU mein shift kardein Toh nikalti Hun" Zimal hospital Ke corridor mein chaltay huay boli.

"Okay g"

Zayan Sheheryar ko gaari se bahar nikal kar usske sath khelnay laga , Kuch der baad unhein Zimal nazar ayi Toh Sheheryar Foran apni mama ki taraf bhaga.
Zimal ne bhi ussay apni god mein uthaya Aur Pyaar kiya.

"Mera Sherrrrry , Mera bacha"

"Mama we have a surprise for you" Shery totli Andaz mein bola.

"Hmm Yeh Kis ne sikhaya Apko , Baba ne na" Zimal ne Zayan ki taraf dekha Jo apnay balon mein hath pherta hua un dono ko Dekh Raha tha.

"Arrey Abhi nahi bolni thi Yeh line , Mr.Smarty Pants" Zayan sherry ko god mein Utha Kar bola.
Woh teeno gaari mein Beth gaye

"Hmm so what's the surprise"
Zimal boli.

"Itni jaldi Toh nahi bataoonga"
Zayan muskura Kar bola
Zimal ne pheechay paray bags ko dekha
"Aur Yeh packing Kis Khushi mein?"

"Arrey surgeon Sahiba ! Raasta Lamba zaroor Hai Magar Yaqeen maniye Manzil bohat Khoobsurat hogi , you will love it" Zayan uska hath apnay hath mein lekar bola Toh Zimal muskurayi Aur ussne mazeed koyi sawal nahi phoocha.

Zimal Aur Sherry dono sochukay thay jab unki ankh kholi Toh gaari kisi Pahari ilaqay Tak pohonchi hui thi.
Woh jaga bohat Khoobsurat thi , Zimal Yeh manzar Dekh Kar heran teh Gayi .

"And we are here in the fairy meadows" Zayan uski taraf Dekh Kar bola.

Zimal ki Khushi ka koyi pemana tha
"Zayan I can't believe it Ke tum mujhay Yahan le aye , I mean Abhi Kuch hi Dino pehle hi Toh mein ne Kaha tha tumse Ke mujhay fairy meadows explore Karni Hai"

"Aur Aisa Toh ho nahi Sakta Ke ap Kuch chahein Aur ham woh Poora na karein" Zayan ne bag se sherry ka jacket nikala aur ussay pehnaya.

"Wow Baba ! Fairy land"

"G G bilkul apka fairy land"

Zayan Aur Zimal ne Sherry ka hath pakra hua tha Aur woh teeno Gilgit ko iss Khoobsurat si Jagah Fairy Meadows ki Khoobsurati mein khoye huay thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Zayan Aur Zimal ne Sherry ka hath pakra hua tha Aur woh teeno Gilgit ko iss Khoobsurat si Jagah Fairy Meadows ki Khoobsurati mein khoye huay thay.

"I love you Zayan" Zimal boli

"I love you more" Zayan uski taraf Dekh Kar bola.
Jabkay Sherry unkay bheech mein khara apnay mama Baba ko Dekh Raha tha.

"I love you too Mama Baba" Sherry ki masoom si awaz ayi Toh dono hansnay lagay.

Zimal's POV:

Beshak Zindagi Haseen Hai , Beshak Mera Rab Azeem Hai , Woh apnay bando keliye Jo faisla Karta Hai Woh Sahi Hota Hai , Chay Saal pehlay jab Mera Nikkah hua tha mujhay Kuch Andaza nahi tha Ke Mera mustakbil itna pursukoon Hoga , Aaj mein Khush Hun Zayan kesath apnay betay Sherry kesath , mein ne apnay Baba ka Nam apnay betay ko Diya , Aur mein janti Hun Baba iss waqt jahan bhi hongay Woh Khush hongay.

Zayan's POV:

Aaj se kayi Saal pehle jab dada jan ne mujhay unki Poti ko dhoondnay ka Kam Diya Toh mujhay koyi Andaza nahi tha Ke Meri Zindagi iss Ke bad bilkul Badal jayegi , Zimal Aur Sherry ab Meri Zindagi ka Ek keemti sarmaya hain Aur hamesha rahein gay. Zimal Aur Sherry ki Khushi se zyada mere liye Kuch eham nahi and that's how beautiful my love for my family is.

************************************

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now