Tez Toofan

782 50 12
                                    


Munawwar Sahab lounge mein bethay newspaper parh rahay thay aur Shahana Begum kitchen mein thi
Itnay mein Munawwar Sahab ko kisi ka phone Aya koyi unhein kisi Cheez ki Mubarakbad deraha tha Shahana Begum kitchen se Dada Jan ki hansi ki awazein sun Rahi thi.
Phone band karke Dada Jan ne lounge se awaz Di
"Mubarak ho Mera sher Potay ne CSS exam mein top Kiya Hai Abhi Furqan Sahab Ki call ayi thi Mubarakbad derahay Thay"

"Waqayi Ya Allah tera shukar Hai waisay Zayan khud Kahan Hai Dada Jan"Shahana Begum hath mein chai ki try liye lounge ki taraf barh Rahi thi Aur meethi si awaz mein boli.

"Pata nahi Ke usne Apna result check bhi Kiya Hai ya nahi"

"Usko apnay jis Kam pe lagaya Hai dada jan ajkal ussi mein masroof Hai woh Dada Jan"Shahana Begum ne chai ka cup unki taraf barhaya.

"Acha Toh Bata diya iss badmash ne tumhein"

"G bilkul kayi salon se Jo apki khwahish Rahi Hai woh Mera beta zaroor poori karega Dada Jan"

"Han Issi liye Toh usse Diya Hai Yeh Kam mein ne Mein marnay se pehle apni Poti ko dekhna chahta Hun uss se apnay kiye gunah ki mafi mangna chahta hun Mujhay apni Poti mein apnay betay Sheheryar ka aks dekhna hai Mere dono betay mujhay chor Kar bohat door jachukay hain Lekin mujhay yaqeen Hai Ke mere Zawiyar ka beta Zayan Meri akhri khwahish zaroor poori karega"
Yeh keh kar Dada Jan ne Ek Thandi sans bhari.
Shahana Begum khamosh thi Aur Dada Jan ki batein sun Rahi thi.

************************************

Zayan ne Pakistan Service Centre keliye apply Kiya tha Aur ab woh Assistant Commissioner ki position keliye elect hochuka tha ussay Kal subah apnay office Jana tha Ek nahyi post Ek nayi job uska wait Kar Rahi thi.
Woh study room mein betha kitabon Ke Ek dher ko samait Raha tha Aur unhein bari bari shelf mein Rakha Ek kitab se koyi tasweer Giri usne jhuk Kar tasweer ko uthaya Yeh Sheheryar Ali Khan Aur Zawiyar Ali Khan ki college ki Ek photo thi.
Woh iss tasweer ko dekhta raha Sherry Chachoo Aur Baba ussay be ikhtiyar in dono ki bohat Yad ayi uski bazahir complete life mein bohat si cheezon ki Kam thi jaisay Ke Ek complete family ki.
Woh apnay kamray mein Aya photo ko sidetable ki drawer mein Rakha Aur ab usse Zimal ka khyal Aya Kya usne Woh audio message sunliya Hoga jis Tarah se Woh auditorium se nikli thi lag Toh Yahi Raha tha jaisay usse bohat Bara dachka laga ho.
Zayan Ali Khan apnay pas hamesha do phones rakhta tha Aur Har dafa Zimal se bat karnay Ke bad apni sim tordiya Karta tha usne iss gharz se kitni hi sari sims leraki thi.
Hayee kitnay papar bel raha tha Woh iss larki ki attention hasil karnay keliye Aur Woh Hai Ke bekhabar Hai.
Usne Apna phone nikala drawer se Ek sim bhi Nikal Di Aur ussay phone mein dal Diya Aur ab Kuch type karnay laga. Ussay Yeh sab harkatein waqayi suit nahi Karti Lekin Dada bhi na kese kese kam karnay partay hain iss farmabardar Potay ko apnay Dada Jan keliye.

************************************

Zimal abhi fresh hokar nikli thi usne peach colour ka outfit pehna tha jis par embroidery thi Jo uske ghutno Tak ata tha Woh bal sukha Rahi thi.
Itnay mein uskay phone par koyi notification Aya Lekin phone door table par para tha usne dekhnay ki zehmat hi nahi ki aur towel se bal sukha Rahi thi.
Itnay mein Naila Begum kamray mein ayi
"Zimal tumahri khala ka phone aya tha unho ne Nisha ki bat pakki kardi Hai iss week ko mangni Hai Ghar Mein choti si gathering Hai aglay mahinay se Shadi Ke functions shuru hojayein ge"

"Oh my God realllllly iss Nisha ki bachi ki mangni horahi hai"
Zimal herat se boli

"Han Aur beta khala Aur Zimal keh Rahi thi Ke Zimal ko Toh apnay college Aur parhayi se fursat hi nahi Ke hamaray Sath shopping par hi chali jaye tum Nisha ko call karlena"

"Han theek Hai Ammo mein Nisha ko call karoongi"

Zimal ne apna phone uthaya Toh screen par kisi ka message likha hua Aya usne foran se khola
"Sun Liya Apne Mera pegham?
Insan koyi jawab hi de deta hai Miss Zimal Nayab"
Usne message delete kardiya jaisay Woh iss unknown caller se Tang si agayi ho ab usne Nisha ko call milayi.

Jo Gham Tha Woh Sham Ki Barish Mein Beh GayaWhere stories live. Discover now