Secret plan...

1.1K 85 5
                                    

(Flashback)
Anirudh- Are Bondita!!! Bahar aao table se.... Aise table ke neeche kyu baithe ho...
Bondita-(With blown up face)Turns her head on the other side angrily....
Anirudh- Bondita!! U muh fhulaye kyu baithi ho....
Bondita-(Angrily with blown up face looks at Anirudh) Bihari babu!!! Bihari babu!!!!
Bihari - (Loud voice) Aaya choti malkin....
Anirudh-(Confusingly) Bihari! Bihari ko kyu bula rahi ho Bondita....
Bihari-Ji choti malkin kahiye.... Par ap hai kaha....(He started looking at his opposite side)
Anirudh-(Laughingly) Bihari vaha dekho.... Table ke neeche...
Bihari- Are!!! Choti malkin ap vaha ky kar rahi hai....
Bondita- Bihari Babu!!! Keh dijiye pati babu se... Inhone vada kiya tha Mujhse ke ye aaj mujhe kulfi khane ke jayenge.... Par inhone apna vada tod diya....
Bihari- Vo chote malik...
(Anirudh interuppts)
Anirudh- Sunayi diya mujhe bihari.... Par bondita tumhe to pata hai n mai kaam me vyast tha....
Bondita- Bihari babu!! Keh dijiye inhe... Ye to humesha he kaam me vyast rehete hai... Mujhe inse koi baat nhi karni....
Bihari- Vo chote malik bahurani ji..
(Anirudh interuppts)
Anirudh- (Angrily) Sunayi diya mujhe bihari.... Par bondita...
(Bondita again blown up her face and turns her head on other side)
Anirudh-(In a Teasing tone) Vaise Bihari!!! Abhi bhi jyada der nhi hue hai... Kulfi vala to abhi bhi vahi hoga...
Bondita-(Smiles... And looks at Anirudh... But she again looks down and blown up her face)
Anirudh- Janedo bihari!! Ab kisiko nhi khanni hai kulfi to ky kare... Tum jao... Mai bhi chalta hu...(And he started walking slowly)
Bondita-(Hurriedly stands up) Nhii!!!
(Anirudh Smiles)
Bondita- Mujhe khaani hai kulfi....
Anirudh- (In a Teasing tone) Par aise muh fhulakar koi kulfi kha sakta hai ky bihari....
Bihari-(Smiles) Nhi...
Bondita- Kulfi khane tak muh fulana aur ruthana dono band...
Anirudh- Shotti?
Bondita-(With an cheerful smile) Shotti....
(And they both starts laughing)
(Flashback ends)
(Anirudh comes in senses)
Anirudh-(After refreshing the memories with tears in his eyes) Sab kuch kitna asan tha n tab.... Agar tum mujhse naraj ho jati the to bass muh fhulakar baith jati the.... Aur mai asani se meri roothe hue Bondita ko mana leta tha.... Par aaj... Aaj jaise mano sab kuch bohot mushkil sa lag raha hai... Par mujhe pura vishvas hai ke mujhe meri pehle vali Bondita jarur mil jayegi... Tumhe mai mana lunga Bondita....(He wipes his tears and walks towards the kitchen)
(Bondita was doing her kitchen chores)
Anirudh- Bondita!!
(But Bondita didn't gave any reply)
Anirudh- Bondita!!! Suno n
(But still she didn't replied)
(Soon Anirudh realised that Bondita is ignoring him)
Anirudh-Ahh!!
Bondita-(With a jerk in a worried tone) Ky hua?? Ky hua birristara babu... Khi dukh raha hai?
(Anirudh started laughing.... Bondita was Confusingly looking at him)
Bondita-Hass kyu rahe hai ap?
Anirudh-(In teasing tone) Vo ky hai n... Koi humse baat he nhi kar raha tha... Isiliye maine socha shayad aisa karu to ap humse baat kar le...
Bondita-(Angrily) Matlab ye apne natak kiya.... Kyu karte hai ap aisa... Pata hai mujhe laga ke apki chot phirse dard kar rahi hai....Mere to jaan he nikal rahi the....
Anirudh-(Smiles) Isliye!!! Ke tum meri kitne chinta karti ho Bondita....
(Bondita realised that she had expressed too much)
Bondita- Nhi!! Aise koi baat nhi hai...
Anirudh-Accha (And he started walking towards Bondita.... Bondita was taking her steps back... Pati babu mera matlab hai birristara babu ye ap...  Anirudh-Pehle kaho ke tumhe meri chinta hai... Bondita- Ye ky...
(And she stuck the wall.... Bondita was breathing fast.... As Anirudh was closed to her... Anirudh- Ab kaho ke tumhe meri chinta nhi....)
(And suddenly the door bell rangs)
(Both comes in senses)
(Anirudh took his step backward.... And bondita moved from there...)
Bondita- Ap apne kamare me jakar arram kijiye... Mai dekhti hu kon hai...
(Anirudh nooded his head... And started walking towards his room... Ye mujhe ho ky gaya tha... Bondita ke itne kareeb...)
Bondita opens the door...
(Samidha  rushed towards Bondita with tears in her eyes)...
Bondita- samidha!!!!
(And they both hugs eachother tightly)
Samidha- Kaise hai tu bondu?
Bondita- Mai bilkul thik hu samidha.. tu kaise hai?
Samidha-(With teary eyes) Tere jaise dost hote huye.... Mujhe kuch ho sakta tha ky bondita.... Kyu? Bondita kyu kiya mere liye itna... Kyu mere vajahase tumne khudh ke jaan khatre me daal de.... Kyu...
Bondita- Bass samidha.... Tere liye mai jaan de bhi sakti hu... samidha dost hu mai tere aur Tu sirf mere dost nhi mere behen hai samjhe....(She wipes her tears) Ab bass roona nhi ha....
Samidha-Par sab galti mere hai Bondita... Mai uss raat aur velson ke bareme....
(Listing velson's name Bondita starts sweating and was feeling disturbed )
Bondita- Samidha bass.... Bhul jao vo sab... Mujhe uss bareme ab koi baat nhi karni....
(Samidha realised that this is not the correct time to talk about velson... So she flip over to the next talk)
Samidha- Vo Bondita ab Anirudh ji kaise hai?
Bondita- Vo ab thik hai.... Apne kamre me aaram kar hai...
Samidha- Thik hai mai unse milkar aati hu...
Bondita- Ha tu birristara babu se milne ja mai chai lekar aati hu...
Samidha-Thik hai...
(Samidha started walking towards the Anirudh's room)
Samidha-Ky mai andar aa sakti hu anirudh ji....
Anirudh-Are samidha!! Aao n...
Samidha- Ab kaise hai ap...
Anirudh-Mai bilkul thik hu samidha...
Samidha- Maaf kar dijiye mujhe Anirudh ji... Mere vajahase ap dono ke jaan khatre me pad gayi...
Anirudh- Ye tum kaise baate kar rahi ho samidha...  Tum Bondita ke dost he nhi balki meri bhi behen jaise ho .... To maine ek bhai ka fraz he nibhaya hai n samidha....
(Samidha with teary eyes nods her head... Haa anirudh ji ap bohot acche bhai ho....)
(Anirudh Smiles)
Samidha- par mujhe apse kuch aur bhi baat karni hai anirudh ji...
Anirudh- Haa bolo...
Samidha- Bondita... Shayad daari hue hai....
Anirudh- Daari hue? Kisse?
Samidha- Velson se... Aaj jab maine uska naam liya to bondita ke aankho mai vo daar dekh sakti the... Vo bohot ghabra gayi Anirudh ji... Halaki usne aisa kuch mujhe kaha nhi... Par uske chehre par vo daar mai dekh sakti the...
Anirudh-(Worridly) Sahi keh rahi ho samidha.... Velson ne jo kuch kiya hai... Bondita ke jagah aur koi hota to shayad seh he nhi pata.... Par bondita ne bohot Himaat se kaam liya... Bondita ko iss daar se bhi bahar nikalna he hoga.... (With teary eyes)Aur maine to dil bhi dukhaya hai  uska...
Samidha- Dil dukhaya? Aisa ky hua hai...
(Anirudh narrated all the story with tears in his eyes)
Samidha-(With teary eyes) ky!!!!! Kyu kiya aisa apne Anirudh ji.... Kyu? Bondita par kyu vishvas nhi kiya apne....
Anirudh-(feeling guilty and with Tears in his eyes) Mai meri is galti ke liye bohot sharminda hu samidha... Mai Bondita ko ab aur narraj nhi dekh sakta....nhi dekh sakta...
Samidha- Khi na khi ye sab kuch meri vajahase hua hai anirudh ji... Ye sab jo ho raha uske vajha mai hu... Par ab aur nhi... Mai sab kuch thik kar dungi...
Anirudh- Ky karne vali ho tum samidha....
(Samidha was just silent thinking about something)
Anirudh-(In a loud voice) Samidha!!!
Samidha-(Comes in senses) Ha ha!!
Anirudh-Ky hua? Ky soch rahi ho...
Samidha- Anirudh ji mujhe meri ek college friend ne bataya ke Bondita ko college ke taraf se 2 weeks ke Holidays mile hai...
Anirudh- Haa aaj he principal sir aaye the.... Isiliye maine socha hai ke mai kaal he bondita ko Tulsipur le jaunga.. kyuki ab iss velson ke daar ko apne man se nikalne ke liye Bondita ko apno ke jarurat hai....
Samidha- (Hurriedly) Nhi!!!!
Anirudh- Kyu ky hua samidha?
Samidha- Anirudh ji Bondita ko abhi tulsipur mat le jaiye....
Anirudh-Par samidha kyu? Bondita ko apno ke jarurat hai....
Samidha- Ap sahi keh rahe hai Anirudh ji Bondita ko apno ke jarurat hai.... Par isse uske apse naarajagi to dur nhi hogi n.....
Anirudh- Tum ky kehena chahati ho samidha....
Samidha- Dekhiye anirudh ji... Bondita ko apno se jyada apke jarurat hai.... Apne rakshak babu apne pati babu ke jarurat hai.... Uske naarajagi aur uska daar dono sirf aap khatam kar sakte hai.... Isiliye anirudh ji Bondita ko ap tulsipur nhi khi aur le jaiye....
Anirudh-  khi aur par maine to ghar par bata diya tha ke mai Bondita ko lekar aa raha hu
Samidha- Anirudh ji to phir chale jana tulsipur.... Par kuch dino bad.... Kuch din ap Bondita ke saath rahiye....
Anirudh- Par hum jayenge kaha....
Samidha- Yaha London ke bahar ek seher hai.... Vaha meri pishima ka ghar hai... Bohot sundar jagah hai vo... Bondita ko vaha jarur accha lagega... Ap Bondita ko lekar meri pishi ke ghar chale jaiye....
Anirudh- Par samidha tumhari pishi ke ghar....
Samidha- Ap chinta mat kijiye Anirudh ji.... Ab meri pishi vaha nhi rehte....  Aur vo ghar ke chabbiya mere paas he hai.... Mai vo chabbiya apko sham tak de dungi....
Anirudh- Par samidha....
Samidha- Bass ab mujhe ap apni behen kehete hai n... To u samajh lijiye ke ye apke behen ke taraf se chotasa suprise.....
Anirudh- (Smiles) Par agar mai tumhari baat man bhi le... Phir bhi Bondita tayar nhi hogi... Vo to bohot naaraj hai mujhse....
Samidha-(Confidently) Vo aap mujhpar chod dijiye.... Mai bhi dekhti hu kaise nhi manti Bondita... Mai mana lungi usse....
Bondita- Kis liye mana legi tu samidha?
(Suddenly samidha and Anirudh gets shocked)
Samidha-(in mind) Khi isne sab kuch sun to nhi liya......
Now what will happen next...
Will samidha's plan succeed?
Ky Anirudh kar payega Bondita ke naarajagi dur?
To know all this...
Stay tuned ❤️

Chapter 1 "Anidita's Journey"❤️Onde histórias criam vida. Descubra agora