"And the twists begins from here"

1K 58 4
                                    

(The phone rings)...
(Bondita picks up the phone)
Bondita- Hello!
Kaka- Bahu!!
Bondita- (With a cheerful voice) Kaka sasurji!! Namaste...
Kaka- Are bahu hamesha khush raho..
Aur ha..."Subha jamadina "bahu(Happy Birthday bahu)...
Bondita- Shukriya kaka sasurji..
(In Rc mansion)
Som and batuk- Kaka hume bhi baat karne dijiye n boudi se...
Kaka- Ye lo..karo baat...
Batuk- Hello boudi!...
Bondita- Are batuk!!
Som and batuk together... Happy Birthday boudi....
Bondita- (Happily) Thankyou so much batuk aur Soham dada... Kaise hai app dono....
Batuk- Mai bohot accha hu boudi aur dada bhi... App kaise hai ab..
Bondita- Are batuk abhi mai bilkul thik hu...
Batuk- Boudi dada hai vaha?..
Bondita- Haa hai n..lo karo baat unse..
(And she hand over the phone to anirudh)
Anirudh- Hello!!
Batuk- Hello dada!! Kaise hai ap..
Anirudh- Are batuk mai bilkul thik hu.. tu bata kaisa hai.. Aur padhayi to kar raha hai n...
Batuk- Dada mai roj padhayi karta hu...
Anirudh- Acha.. mai jab vapas aunga to dikh he lunga tumne kitni padhayi ke hai....
Batuk- Are kaka!! Rukiye n mai baat kar raha hu n...
Anirudh- Ky hua batuk?
Batuk- Dada dekhiye n kaka... Muze baat he nhi karne de rahe hai...
(In Rc mansion)
Kaka to batuk- Ha to itni der se gappe to ladha rahe ho usse baat he kehte hai n.. chalo ab muze baat karni hai..
Batuk- Par kaka!
Kaka- (Looks Angrily towards batuk)
Batuk- Lijiye...
(Back to London)
(Anirudh was laughing hard Listing to kaka sasurji and batuk's funny fight)
Anirudh- Hello kaka!
Kaka- Haa anirudh beta kaisa hai tu? aur bahu kaise hai?
Anirudh- Kaka hum dono bilkul thik hai...
Kaka- Khayal to rakh rahe ho n bahu ka?
Anirudh- Ji kaka...
Kaka- Hum bhi tumse ky puch rahe hai... Bahu ko phone do...
Anirudh- Haa .. ye lo Bondita...
Bondita- Boliye kaka sasurji...
Kaka- Bahu!! Beta thik to ho n tum...
Bondita- Kaka sasurji.. ab ap bilkul bhi chinta mat kijiye... Mai ab bilkul thik hu... Aur Dekhiye aaj to mera plaster bhi nikal gaya... Ab to mai chal bhi sakti hu kaka sasurji...
Kaka- (Happily) Are waa!! Bahu... Ye to bohot acchi baat hai...Acha suno aaj tumhara janamdin hai.. ye anirudh ko yaad hai ya bhul gaya....
Bondita- Are nhi nhi kaka sasurji unhe to yaad tha... Ulta apki bahu he bhul gayi the...
Kaka- Acha aisa hai.. chalo accha hai..
Ab hum rakhate hai bahu.. hume kuch zamin ke kaam ke liye bahar jana hai... Apna aur anirudh ka khayal rakhna... Hum phone karte rahenge...
Bondita- Ji kaka sasurji.. aur ap bhi apna aur haveli me sab logo ka khayal rakhe ga...
Kaka- Haa bahu.. ab rakhe...
Bondita- Jii..
(And the call ends)...
Anirudh- Ky keh rahe the kaka...
Bondita- (In a Teasing tone) Yahi ke ap muze jyada pareshan to nhi karte..
Anirudh- Acha ji.. phir apne ky kaha...
Bondita- Maine... Umm mai kyu batau...(She laughs and try to run but anirudh holds her hand tightly from back)...
Bondita- Pati babu ye ap ky kar rahe hai... Mera haath...
Anirudh- Ab batao ky kaha tumne kaka ko...
Bondita- Mai kyu batau ...
Anirudh- Acha nhi bataogi...
Bondita- Nhi...
Anirudh- Acha.. (And he pulled her  towards him)....
Bondita- Pati babu!
Anirudh- Ab bhi nhi bataogi...
Bondita- Acha maaf kar dijiye.. mai to bass majak kar rahi the.. kaka sasurji ne to bas muze khayal rakhne ke liye kaha...
Anirudh- Acha ( And suddenly he realises that he had held Bondita's hand tightly... And Bondita is so close to him... Suddenly He left Bondita's hand and step back)... Ha thik hai ab muze kuch kaam hai to mai mere room me jakar aata hu...
Bondita- Thik hai...

(Anirudh In his room)
Anirudh- Ye mai kar ky raha tha... Aisa kyu kia hoga maine....

(While Bondita is searching for a novel she spied an album...which is given by samidha as a gift last night)
Bondita- Are ye album... Vaise album se yaad aaya.. samidha ka to kaal raat se call he nhi aya... Maine to usse kaha tha ke ghar pohochate he muze phone kare... Thik to hogi na vo...
(Anirudh arrives in Bondita's room )
Anirudh- Ky hua Bondita...
Bondita- Vo pati babu samidha... Uska kaal raat se koi phone bhi nahi aaya hai... Maine to usse kaal ghar pohochate he call karne ke liye kaha tha... Thik to hogi n vo pati babu...
Anirudh- Bondita! Tum he call kar lo n ...
Bondita- Ha ye thik hai... (And she calls samidha but no one picks up the phone)..
Anirudh- Ky hua?
Bondita- Samidha phone nhi utha rahi hai pati babu...
Anirudh- Bondita aisa bhi to ho sakta hai n..ke samidha kisi kaam me ho..
Bondita- Pati babu par muze tension aa raha hai... Chaliye hum abhi samidha ke ghar chalte hai...
Anirudh- Are .. are ruko Bondita.. mana ke tum ab chal sakti ho.. par Itne dur nhi... Doctor ne ky kaha yaad hai n...
Bondita- Acha to phir ap jakar Dekhiye...
Anirudh- Thik hai Bondita mai chala jaunga...magar usse pehle ek baar phirse phone laga ke dekho..
Bondita- Acha thik hai...
(And she calls samidha)
Samidha- (In a tensed voice) Hello..
Bondita- Hello samidha... Kaha the tu? aur call kyu nhi uthaya?.. pata hai muze kitna tension ho raha tha... Kaal raat se tera call nhi aaya tha...
Samidha-(With tears in her eyes) Mai..ai thik hu Bondita...
Bondita- Samidha tu roo rahi hai?
Samidha- mai.. nhi to...
Bondita- Phir Teri avaj aise kyu aa rahi hai?
Samidha- vo..vo mera gaala thoda kharab hai to shayad isiliye...
Bondita- Acha par tu thik
(Samidha Interrupts)
Samidha- Acha Bondita vo muze kuch kaam hai.. mai bad me call karti hu..
Bondita- Par samidha..
(And call ends)...
Anirudh- Ky hua Bondita! Thik hai n samidha....
Bondita- Haa pati babu..par...
Anirudh- Par ky?
Bondita- Par pata nhi aisa lag raha tha
Jaise vo roo rahi the...
Anirudh- To tumne usse pucha tha n phir ky kaha usne?
Bondita- Ha vo keh rahi the ke uska gala kharab hai to shayad aise avaj aa rahi hai...par pata nhi aisa lag raha hai jaise koi to baat hai jo vo muzse chupa rahi hai...
Anirudh- Bondita... Tum bohot sochte hai.. aisa bhi to ho sakta hai n ke samidha ka gaala sachme kharab ho.. aur koi baat na ho...
Bondita- Hmmm..
Anirudh- Ab jyada mat socho... Aur muze kuch books lane library jana hai.. to mai jau...
Bondita- Haa
Anirudh- Tumhe kuch chahiye to nhi n...
Bondita- Nhi nhi jaiye ap..
Anirudh- Thik hai...
(And he left)
Bondita- Pata nhi par kuch ajeeb sa lag raha hai... Jarur samidha kuch chupa rahi hai muzse...

Ky chupa rahi hai samidha?... Is she in any trouble?.. what twists and turns are coming in their life..
To know all this
Stay tuned ❤️

Chapter 1 "Anidita's Journey"❤️Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ