"Bondita to forgive Anirudh"

1.5K 105 17
                                    

(Ek zimmedari Humesha zimmedari he hoti hai....)
(Bondita ko sab kuch yaad aa jata hai... Aur vo anirudh ka haath chodkar vaha se chali jaati hai...)
Anirudh- Bondita!!!
Bondita-( Angrily) Apko vahi kitab padhani hai n birristara babu... To padh lijiye... Mai koi aur kitab padh lungi....
Anirudh- Par bondita....
(Bondita kitchen me chali jati hai)
Anirudh-(In his mind) Mujhe laga tha ke tum thodi khush ho jayoge.... Par tum to aur naaraj hogayi mujhse Bondita...
(Kuch samay baad Bondita khaana lekar aati hai)
Bondita- Birristara babu ap khaana khaa lijiye...
Anirudh- Aur Bondita tum bhi khaalo...
Bondita-Hmm...
(Anirudh aur Bondita dono dinner kar lete hai... Par bondita Anirudh se jyada baat nhi karti...)
Bondita- Birristara babu ap bed par soo jaiye... Mai yaha neeche soo jaungi....
Anirudh- Are Bondita nhi!!! Tum bed par soo jao... Mai neeche soo jaunga...
Bondita-(Angrily) Har baar par ladhana jaruri hota hai birristara babu...
Bondita- Nhi Bondita mai ladh nhi raha mai to bass...
Bondita-Maine kaha n ap bed par soo jaiye... To bass
(Aur Bondita neeche soo jati hai....)
(Anirudh bhi bed par soo jaata hai... Ky tum mujhse itni naaraj ho Bondita ke ab Mujhse baat tak nhi karna chahati... Aur Anirudh ke aankho me aasu aa jate hai...)
(Bondita ke bhi aankho me aasu hote hai...)
(At morning)
(Bondita jaldi uth jaati hai... Par anirudh abhi tak sooya hua hota hai.. Bondita tayar hokar kitchen me jaati hai... Aur tabhi uske najar ke corner me pade hue jhumke ke taraf jaati hai...)
Bondita- Ye jhumka.... Ye to samidha ka hai... Vo uss din London vale ghar yahi jhumke pehen ke aayi the... Par ye jhumka yaha kaise aaya... Jab ki samidha ne to kaha the ke vo yaha kitne dino se aayi he nhi hai... Aur ab college ke vajahase aa nhi sakti... To phir ye jhumka yaha kaise.... Ky ye sirf ittefaq hai ya sachme kuch baat hai jo mujhse chupayi jaa rahi hai... Samidha ka u achanak mujhe aur birristara babu ko uske pishima ke ghar bhejna... Aur yaha aakar uske pishima ka ghar na hona... Aur phir ghar ke bahar chabbiya mil jana... Ye sirf ittefaq to nhi ho sakta... Jarur kuch gadbad hai....
(Bondita samidha ko Phone Karti hai...)
Samidha-Hello!!
Bondita- Hello samidha!
Samidha-(Happily) Bondu tu!! Kaise hai tu? Tu aur Anirudh ji thik hai n? Kaisa laga ghar? Vaise to maine vaha sab saman pehele se he...(Ye mai ky bol rahi hu)
Bondita-Ky tumne pehele se ky?
Samidha-Nhi Bondita kuch nhi...
Bondita- Bol samidha... Aisa kuch to hai jo tu mujhse chuppa rahi hai...
Samidha-(stammering) Mai.. mai Kyu chupaungi kuch bhala...
Bondita-Accha!! Par teri pishima to yaha hai he nhi... Par ha tera jhumka yaha mujhe mila hai...
Samidha-( Mera jumka he baghwan ab ky kahu isse mai) Bondita shayad pishima ko koi aur jaruri kaam aagaya hoga.. Aur vo jumka mujhe nhi pata vaha kaise aaya...
Bondita-Sach sach bata samidha!! Ye sab ky chal raha hai... Tujhe meri kasam...
Samidha- Ye tu ky bol rahi hai... Aur kasam mat de
Bondita-Tujhe meri kasam hai samidha ab bata ke tu Mujhse ky chuppa rahi hai...
Samidha-(Ab to sab batana he hoga)(Samidha Bondita ko sab kuch bata deti hai)
Bondita-(Shockingly) Ky!!!! Matlab birristara babu ko ye sab pehle se pata tha.... Vo tere saath the iss plan me...
Samidha- Nhi Bondita! Mana ke unhe sab kuch pata tha par maine jab tujhse jooth kaha ke pishima ke kaam se vaha jana hai... Tab unhone mujhe khudh kaha tha ke mai Bondita se jooth nhi bol sakta... Par maine he unhe rok liya aur kaha ke agar ap sach kahenge to bondita ap ke saath nhi aayegi...
Bondita-(Angrily) par jooth to bola hai n tune aur birristara babu ne mujhse... Birristara babu bhi aisa kar sakte hai... Mai tujhse baad me baat karti hu samidha....
Samidha- Dekh Bondita tu gussa mat ho...
(Bondita phone rakh deti hai...)
(Kuch der baad Anirudh uth jaata hai... Aur vo dekhta hai ke Bondita  bags ghar se bahar nikal rahi hai...)
Anirudh-(Confusingly) Bondita ye tum ky kar rahi ho?... Sab saman u ghar ke bahar kyu nikal rahi ho...
(Bondita koi jawab nhi dete hai...)
Anirudh-Bondita mai tumse kuch puch raha hu!
Bondita-(Angrily) Kyuki hum London vale ghar vapas ja rahe hai....
Anirudh-(Shockingly) Ky!!!!! Par Bondita ab tak to samidha ke pishima vapas nhi aayi hai aur hum...
Bondita- (Angrily) Bass kijiye birristara babu... Aur kitna jooth bolenge ap... Apko aur jooth bolne ke ab koi jarurat nhi hai... Mujhe sab sach pata chal gaya hai...
Anirudh-(Shockingly) Sach... Par bondita...
Bondita-Kitna jooth bolenge ap birristara babu... Bondita ke pishima to yaha rehti he nhi hai...  Hai n?
Anirudh-(In his mind) Iska Matlab Bondita ko sab kuch pata chal gaya... Par kaise....) Bondita! Par meri baat to suno...
Bondita-Mujhe apki koi baat nhi sunani hai....
Anirudh-Bondita bass ek baar meri baat suno...
Bondita-(Angrily) Maine apse kaha n birristara babu... Ke mujhe apki koi baat nhi sunani hai... Ab chaliye yaha se...
(Bondita bag utha he rahi hoti hai ke Anirudh piche se uska haath pakad leta hai...)
Bondita-Ye ap ky kar rahe hai birristara babu! Chodiye mera haath...
Anirudh-Nhi! Jab tak tum meri baat sun nhi leti... Hum yaha se khi nhi jayenge....
Bondita-Chodiye mera haath!! Mujhe apki koi baat nhi sunani hai....
(Anirudh Bondita ko apni taraf kheech leta hai...)
Anirudh-Kyu kar rahi ho aisa mera saath Bondita...
(Bondita kuch nhi bolti hai...)
Anirudh-Manta Hu ke mujhse bohot badi galti hue hai... Aur mai uske liye bohot sharminda hu... Maaf kyu nhi kar deti mujhe tum...
(Bondita gusse me apna haath Anirudh ke haatho se chuda leti hai..)
Bondita-(Tears in her eyes) To ky chahate hai ap... Ke mai maaf kar du apko hai n? Kyuki ap to mere pati babu hai... Apki har baat to mujhe manani he padegi n... Ap jab chahe mujhpar ilzaam lagaye mujhe joothi bole... Aur jab man kiya mujhse maafi mang le... Aur mai ky karu... Apko maaf kardu hai n?
Anirudh-(With teary eyes) Nhi Bondita! Ye tum ky keh rahi ho... Mai aisa kabhi nhi chahta ke tum baki aurto ke tarah ye galti karo... Apni pati ke har baat mano... Mai bass tumse dil se maafi mangna chahata hu Bondita...
Bondita-(tears in her eyes) Ky itna asan hai vo sab baate bhulna birristara babu... Maine apse kaha tha n ke ek rishta Vishvas se banta hai... Phir vo  rishta koi bhi ho..chahe pati patni ka ho ya dosti ka... Har rishte me Vishvas hone jaruri hai...Aur ap to mujhe bachpan se jante hai n birristara babu... Samjhate hai... To ky ap itna he Samajh paaye Bondita ko... Keh diya n apne ke mai joothi hu... Shak kiya mujhpar... Aur ap maafi bhi kyu mang rahe hai... Kon hu mai... Bass apki ek zimmedari he n...
Anirudh-(With teary eyes) Mujhe pata hai Bondita vo sab baate bhulana asan nhi.... Maine gusse me na jane tumhe uss din ky kuch nhi keh diya... Joothi kaha... Jab ke tum to sacchi the... Apni dost ke liye ye sab kuch kar rahi the... Par mai he nhi samajh paaya tumhe... Mai apni galti ye liye bohot Sharminda hu Bondita....
Bondita-(with teary eyes)(Sirf anirudh ke tarah dekh rahi hoti hai)
Hum dono ke bich sirf zimmedari ka nhi ek acchi dosti ka rishta hai... Bhale he humara rishta baki pati patniyo jaisa nhi hai... Par phir bhi hum ek dusare ke humsafar hai.... Hamara rishta sabse alag hai... Anokha hai Bondita...
Anirudh-(crying hard... Bend down on his knees and join his hands before Bondita) Meri galti Shayad maafi ke kabil nhi Bondita... Par ho sake to mujhe maaf kardo Bondita please... Maaf kardo mujhe...(starts crying more hard)
Bondita-(With tears in her eyes) Ye ap ky kar rahe hai birristara babu... Uthiye... Uthiye ap... Ap aise maafi mat mangiye birristara babu maaf kiya maine apko...
Anirudh-(With smile) Ky!!! Sachme Bondita?
Bondita-(Smiles) Haa birristara..mera matlab hai pati babu... Maaf kiya maine apko....
Anirudh-(With an cheerful smile after listening the word Pati babu) Thankyou so much Bondita!!! Tumhe bata nhi sakta ke mai kitna Khush hu...
Bondita-Mujhe maaf kar dijiye pati babu... Mujhe apse itna naaraj nhi hona chahiye tha....
Anirudh-Ye tum ky keh rahi ho Bondita.... Tum to kitni acchi ho ke mere itni badi galti karne ke bavajud mujhe tumne maaf kar diya...
(Both smile looking at each other with tears of happiness in their eyes)
Anirudh-Ab jab tumne mujhe maaf kar he diya hai... To ruk jate hai n yahi... Aur ek din...
Bondita-(Smiles) Haa pati babu..
Anirudh-To phir ye sab saman vapas anadar rakh du...
Bondita-Haa...
Anirudh-thik hai...
Bondita-Aur pati babu...
Anirudh-Ha!
Bondita-Vo ab hum yaha ruk he rahe hai... To chaliye n uss naadi ke kinare chalte hai... Kitni sundar jagah hai ye...thik se dekh bhi nhi paayi.. chaliye n...
Anirudh-Accha thik hai chalenge...
Bondita-(smiles) To ap jaldi se jakar tayar ho jaiye... Phir hum chalte hai...
Anirudh-Haa...
(Shukriya dugga ma!!! Sab kuch thik karne ke liye....)
(After sometime)
(Anirudh or Bondita dono naadi ke kinare baithe hue hote hai...)
Anirudh-Vaise Bondita tumne ye to bata diya ke tumhe sach ka pata chal gaya... Par ye nhi bataya ke aakhir pata chala kaise....
Bondita-(Smiles) Iss jhumke ke vajahase...
Anirudh-Iss jhumke ke vajahase... Kaise?
(Bondita Anirudh ko sab kuch bata deti hai...)
Anirudh-Accha!! Bondita bhale he tum barrister abhi tak bani nhi ho... Par bilkul ek barrister ke tarah socha tumne.... Barrister Bondita Roy Chowdhury....
Bondita-( starta laughing) Haa to...
Anirudh was Continuously looking at Bondita)
Bondita-Ky hua pati babu... Ap mujhe aise kyu dekh rahe hai...
Anirudh-Kyuki aaj bohot dino baad Mujhe meri pehele vali Bondita mil gayi....
Bondita-Pehele vali Bondita? Kaise?
Anirudh- Ha! Jo Humesha muskurate hai... Jo Humesha tark karti hai... Jo aise he barrister ke tarah sochti hai... aur jo....
Bondita- Aur jo?
Anirudh-Nhi janedo kuch nhi....
Bondita-Bataye n pati babu...
Anirudh-Nhi Bondita chodo kuch nhi...
Bondita-Ab bata bhi dijiye n pati babu... please!
Anirudh-(In teasing tone) To thik hai... To jo bilkul baccho vali harkate karti hai...
Bondita-(Angrily) Ky kaha...Mai baccho vaki harkate karti hu...
Anirudh-(In teasing tone) Haa bilkul... Tum baccho vali harkate he karti ho...
Bondita- Mai baccho vali harkate karti hu to thik hai....Mujhe n apse baat he nhi karni pati babu...(Aur Bondita muh phulakar dusari taraf dekhne lagte hai)
Anirudh-(Laughingly) Bondita!! Yaha dekho....
(Bondita nodes her head saying no)
Anirudh-Are yaha dekho to...
Bondita-Nhi..
Anirudh-Are dekhi kitna sundar panchi hai...
Bondita-(Turns back) Kaha kaha!!!
Anirudh- (Starts laughing)
Bondita-( Angrily) Pati babu!!
Anirudh- Accha baba Sorry!! Par ek baat kahu Bondita...
Bondita-Ha!
Anirudh-Mujhe to yahi baccho vali harkate karne vali Bondita pasand hai...
(Bondita smiles)
Anirudh-vaise Bondita.... Tumhare liye mere paas ek suprise hai...
Bondita-Suprise!!! Konsa...
Anirudh-Kaal mai aur tum hum dono Tulsipur jaane vale hai...
Bondita-(Happily) Ky!!!!!!!! Shotti Pati babu...
Anirudh-Ha Bondita shotti!!!!
Bondita-Iska Matlab mai kaal kaka sasurji, sasurji, sohum dada, batuk, bihari babu aur koyli didi inn sab se mil paunge.....
Anirudh-Haa Bondita sab se mil paogi....
Anirudh-(Happiness and with cheerful smile) Thankyou so much pati babu!!!! Mai bata nhi sakti ke mai aaj kitni khush hu....
(Aur Bondita khush hokar gol gol ghumne lagti hai...)
Anirudh-(Happily) Are are Bondita dhere.... Chakkar aa jayenge...
(Aur achanak Bondita ka pair ek Patthar se takra jata hai aur vo girne he vali hoti hai ke Anirudh uska haath pakad leta hai...)
Anirudh-Kaha tha n maine  jara sambhal kar...
(Bondita laughs)
Anirudh- Ab chale ghar ke andar...
Bondita-Haa!!
(Aur Bondita chalne he jaati hai ke..)
Bondita-Ah!!!!
Anirudh-(Worridly) Ky!! Ky hua Bondita?
Bondita-Pati babu... Lagta hai pair moch aa gayi hai....
Anirudh-(Worridly) Kaha tha n Bondita sambhal kar aur dheere ghumo... Par tumhe to kisi ke sunani he nhi hai... Ab dekho moch aa gayi n pair me...
Bondita-Kaise pati babu hai ap... Patni ke pair me moch aayi hai... Aur ap hai ke mujhe daante jaa rahe hai...
Anirudh-Bondita mai daant nhi raha hu... Mai to bass...
Bondita-Dekha!! Abhi bhi daant rahe hai...
Anirudh-Accha accha thik hai sorry!! Ab mera haath pakdo... Aur chalne ke koshish karo...
(Bondita anirudh ka haath pakad kar chalne ke koshish karti hai...)
Bondita-Ah!! Nhi ho raha Mujhse pati babu... Bohot dukh raha hai...
Anirudh-( Worridly) Ky!! Thik hai mat chalo..
Bondita-Par phir ghar ke andar kaise jayenge...
(Anirudh picked up Bondita in his arms)
Bondita-Pati babu ye ap ky kar rahe hai...
Anirudh-Shhh!!!! Chup...
(Bondita starts blushing)
(Anirudh makes Bondita to sit comfortably on the bed)
Anirudh- Ab tum arram karo Bondita.. kuch chahiye to batana....
Bondita-Pati babu! Bass halki se moch hai... Aaram ke koi jarurat nhi hai ..
Anirudh-Bondita!! Ek din aaram kar logi.. to konsa pahad toot padega... Halki he moch kyu na ho... Par hai to moch he n... Ek din ab aaram karo..
Bondita-offo!! Aap nhi manoge...Accha thik hai..
Anirudh-Haa...
(At night)
Bondita-(In her mind) Kaafi der ho chuki hai... Dinner bhi to banana hai... Pati babu ko bhi to bhuk lagi hogi...
(Bondita uthkar dhere dhere chalne lagti hai... Par utne me Anirudh aa jata hai)
Anirudh-Are!! Maine tumhe kaha tha n arram karne...
Bondita-Pati babu! Par dinner to banana hoga n...
Anirudh-Vo mai bana lunga...
Bondita-Ky kaha!! Ap aur dinner...
Anirudh-Kyu nhi....mai bana sakta hu..
Bondita-Rehene dijiye n pati babu...
Anirudh-Kyu... Mai bana lunga... Shayad tum bhul rahi ho Bondita ke maine bohot baar khana banaya hai... London vale ghar bhi to banaya tha...
Bondita- Ha pati babu...par...
Anirudh-Ab par var kuch nhi... Ek din to uss bichare pair ko arram do... Tum ye book lo aur yaha baitho chup chap... Tab tak mai dinner banata hu...
Bondita- Thik hai...
(After sometime)
(Anirudh dinner lekar aata hai)
Bondita-Are waa!! Pati babu... Khushboo to bohot acchi aa rahi hai...
Anirudh- Khana bhi aisa he hoga!! Chalo khao..
(Bondita ek nivala khaati hai)
Anirudh-Kaisa hai?
Bondita- hmm!! Pati babu bohot swadist ... Bohot tasty hai...
Anirudh-Dekha kaha tha n maine... Akhir Anirudh Roy Chowdhury ke haath ka khaana hai...
Bondita- Ha ha!! Ap bhi khaiye n...
Anirudh-Ha...(Aur jaise he Anirudh ek nivala khata hai... Vo Bondita ke taraf dekhta hai....)
(Bondita jor jor se hassne lagti hai..)
Anirudh-Ye ky hai.... Isme to bohot jyada namak hai....
(Bondita hass rahi hoti hai)
Anirudh- phir bhi tum isse accha keh rahi ho Bondita...
Bondita-Pati babu!!! Thodasa he to namak jyada hai n... Aur apke haath ka khaana mujhe kaisa bhi ho... Bohot pasand aata hai....
Anirudh-Par bondita namak jyada nhi bohot jyada hai... Aur mere vajahase ab tumhe bhi yahi khaana khana pad raha hai....
Bondita- Are ye ap kaise baate kar rahe hai.... Dekhiye ye khaana mere pati babu ne mere liye bohot pyaar se banaya hai... Ap isse u bura nhi keh sakte....samjhe ap...
Anirudh-Accha ji...
Bondita-Haa to!!
(And they both started laughing)
(After sometime)
Anirudh-Chalo Bondita bohot raat ho gayi hai... Ab tum soo jao... Aur haa vahi bed par soo jana...
Bondita- Nhi pati babu mai neeche soo jaungi... Ap bed par soo jaiye...
Anirudh-Ye kaise zidd hai Bondita... Kaal mai sooya tha n vaha.... Aaj tum soo jao... Vaise bhi tumhare pair me moch aayi hai n... Tum vahi soo jao..
Bondita-Par pati babu!!
Anirudh-Bondita maine kaha soo jao bass...
Bondita- ap nhi manenge....thik hai....
(And they both fall asleep)
(It was 2am... Both were sleeping)
Bondita- Maa!! Tu kaha hai maa... Dekh teri Bondita aayi hai tujhse milne...
Maa tu kaha hai?
Maa tu vaha kaha haa rahi hai... Kyu mujhse dur jaa rahi hai...
Maa!!!! Maa!!!!!!!!!!!!
(And shouting the name maa... Bondita woke up with a jerk)
(Anirudh Bondita ke avaj sunkar .. Bondita ke paas aata hai...)
Anirudh- Ky hua? Ky hua Bondita... Thik to ho n tum? Koi bura sapna dekha?
Bondita- Vo... Vo pati babu maa...
Anirudh-Pehele tum shant ho jao...Aur ye lo paani pee lo...
(Bondita paani pee leti hai)
Anirudh-Ab batao ky hua?
Bondita-  Maine dekha ke maa mujhse dur jaa rahi hai... Maa thik to hogi na pati babu?
Anirudh-Haa Bondita maa Bilkul thik hogi... Ye bass ek bura sapna tha hmm!! Kaal hum tulsipur jaa rahe hai n... Phir maa se bhi mil lenge... Thik hai...
(Bondita nodes her head saying yess)...
Anirudh-Ab tum bilkul chinta mat karo... Aur soo jao....
Bondita-Hmm....
Bondita-(In her mind) Pata nhi kyu bohot ajeeb sa lag raha hai.... Maa thik to hogi n.... Dugga maa!! Maa ke raksha karna.....

Ky bondita ka ye sirf ek bura sapna tha?
Ab ky naya mod aayega anirudh aur Bondita ke zindagi me?
Ky hoga jab Anirudh or Bondita kaafi dino baad tulsipur jayenge?
To know all this...
Stay tuned ❤️

Mention your reviews 💛

Chapter 1 "Anidita's Journey"❤️Where stories live. Discover now