Back in Tulsipur

1.2K 95 5
                                    

(Next morning)
(Bondita gets ready and was looking at anirudh angrily)
Bondita-Dekho to kaise soo rahe hai!!
Shayad bhul he gaye honge ke aaj hume Tulsipur jaana hai... Pati babu uthiye! Pati babu!!
(But anirudh didn't wake up)
Bondita-(Angrily shouted) Pati babu!!!!!!!!!!!!!
Anirudh- (Woke up with a jerk) Ky!!! Ky ky hua Bondita....
Bondita-Chalo ap uth to gaye... Pati babu apko pata hai n hume Tulsipur jaana hai... Aur ap abhi tak soo rahe hai...
Anirudh-Bondita! Subha ke 6 baj rahe hai... Itne jaldi kon Tulsipur ke liye nikalta hai...
Bondita-Hume kisika ky karna hai... Dekhiye pati babu jaldii nikalenge tabhi to jaldi pohochenge n...
Anirudh-par bondita...
Bondita- Par var kuch nhi... Chaliye ap jaldii se jakar tayar ho jaiye.... Jaiye....
Anirudh- Ha ha!! Ja raha hu...(In low voice) Vaise bhi Bondita ke aage kisike ky chalti hai...
Bondita-Kuch kaha apne?
Anirudh-(Stammering) Maine... Nhi to ha.. maine ye kaha ke mai tayar hokar aata hu...
Bondita- Ha ha!! To jaiye....
Anirudh-Ha...
Bondita- (Laughingly) Inhe ky lagta hai mujhe sunayi nhi deta.....
(In Tulsipur at Rc Mansion)
Kaka- Bihari!!! Are kaha ho...
Bihari- Ji Malik!!!
Kaka- Sab tayariya to hogayi hai n...
Aaj bohot dino baad hamare raam aur sita ghar aa rahe hai...
Bihari- Ji Malik sab tayari hogayi hai...
Batuk- Soham dada maine aaj koyli didi ko khass roshogulle banane kaha hai...
Soham- (Teasing tone) Accha!! Par boudi ke liye ya khudh ke liye?
Batuk-Dada!!!( And both started laughing)
Kaka- Are Binoy jaldii neeche aao Anirudh aur bahu aate he honge...
Binoy- Ha da!!! Aa raha hu...
Kaka- Ab to intezaar bhi nhi hota unke aane ka....
Bihari-Haa bade malik Sahi kaha apne...
(After sometime Anirudh and Bondita reached at Rc Mansion)
Bondita-(looking at Rc Mansion)Pati babu!!! Itni saari sajavat.... Haveli kitni sundar lag rahi hai n....
Anirudh-(Smiling) Haa Bondita.... Bohot sundar.....Ab chale....
Bondita- Haaa...
Batuk- Kaka!!!! Dada aur boudi aagaye!!
Kaka- Aagaye hamare raam aur sita
(Everyone cheerfully smiling)
Bondita- (With an big cheerful smile on her face) Kaka sasurji!!! Sasurji!! Soham dada, batuk, bihari babu, koyli didi.....Maine ap sabko kitna yaad kiya pata hai.... Aur tu aur...
Kaka- (Laughingly) Bahu bahu!!! Are ye sab kuch bahar se he bologi... Pehle andar to aajao....
(Anirudh laughingly looking at Bondita)
Bondita- (Laughingly) Haaa!!!
Kaka- Koyeli jao Aarti ke thalli lekar aao....
Koyli- Jii bade malik tayar he hai...
(Koyli Koyli welcomed Bondita in a traditional way along with Aarti)
Koyli- Aaiye n chote malik aur choti malkin...
( Anirudh and Bondita both enters in Rc Mansion)
Bondita- Ab to bol sakti hu n mai kaka sasurji....
Kaka-(Laughingly) Ha ha bahu! Bilkul bol sakti ho....
Bondita- Ha! To mai ye bol rahi the ke maine ap sabko bohot bohot yaad kiya.... Aur pata hai mera to ap sabke bina man he nhi lagta khi... Aur ye ky mujhe ap sab itne patle kyu dikh rahe ho.....
Binoy- Bondita hum sab vaise he hai ye to tum hume tumhari chinta ke najar se dekh rahi ho... Isiliye tumhe hum sab patle dikh rahe hai...
Kaka- Ye baat to tumne bilkul sahi kahi hai binoy....Balki Bondita bahu tum kaafi kamjor lag rahi ho... (In teasing tone)Kyu? Anirudh thik se khyal nhi rakhta ky tumhara...
Anirudh-Kaka!!
Kaka- (Laughingly) Are hum to majak kar rahe the...
Batuk- Boudi!! Maine  Koyli didi ko khass apke liye roshogulle banane ke liye kaha hai....
Bondita-( Happily) Ky!!! roshogulle...
Anirudh- (In a teasing tone) Are batuk!! Tumhari boudi ke liye roshogulle.. aur tumhare dada ke liye?
Batuk- Dada! Apke liye.... Ap.. apko jo pasand ho vo ap Koyli didi ko bol dijiye vo bana lengi....
Anirudh-Accha!!!
(Everyone starts laughing)
Kaka- Chalo! Ab baate to hoti rahegi par anirudh aur bahu bohot lamba safar karke aaye hai... Thak gaye honge...Tum dono apne kamare me jakar arram karo... Khaana tayar hogaya ke Koyeli tum dono ko bula legi....
Bondita-Jii kaka sasurji... Pati babu chaliye...
Anirudh- Bondita tum jao mujhe kuch kaam hai...
Bondita-(Confusingly) Accha thik hai...
(And she walk towards her room)
(Everyone went in their rooms accept kaka)
Anirudh- Kaka mujhe apse kuch jaruri baat karni hai....
Kaka- Haa Anirudh bolo... Koi pareshani ke baat to nhi n... Tum dono ke bich sab thik to hai n...
Anirudh- Kaka! Hum dono ke bich sab thik hai... Par bondita...
Kaka- Bondita!! Ky hua Bondita bahu ko...
Anirudh-Mai apko sab batata hu...
London me Bondita ke College ke ek professor the professor velson....
(Anirudh narrated all the story with tears in his eyes)
Kaka- (Shockingly and Angrily) Ky!!!!! Itna sab kuch hua hamari Bondita bahu ke saath.... Aur uss angrez ke Himaat kaise hue hamari Bahu ko haath tak lagane ke... Hum chodenge nhi usse....
Anirudh- Kaka! Kaka! Ap shant ho jaiye.. Ab vo velson kuch nhi kar sakta... Jail me hai vo..
Kaka- Aur anirudh tum... Tumne bhi bahu par vishwas nhi kiya...Aisa soch bhi kaise sakte ho tum Anirudh...
Anirudh-(With tears in His eyes) Kaka! Mai apni iss galti ke liye bohot sharminda hu...Maine Bondita par vishwas na karke bohot badi galti ke the kaka... Par aaj ke baad aisa kabhi nhi hoga...
Kaka- Anirudh rishta chahe koi bhi ho ek dor he hoti hai jo usse majboot rakhti hai...Aur vo dor hoti hai Vishvas he dor...Uss dor ko kamjoor mat padne do anirudh... Kyuki agar ekbar vo kamjoor hogayi to usse tootne me der nhi lagti...Aur mai tum dono ka rishta u toote hue nhi dekh Sakta...
Anirudh-Aisa kabhi nhi hoga kaka...ab ye Vishvas ke dor ko kabhi kamjoor nhi hone dunga mai... Ye mera vaada hai apse...
Kaka- Hum bhi yahi chahte hai....
Anirudh-Bass apse ek binti hai kaka..
Kaka- Kaise binti?
Anirudh- Kaka apko velson ke bareme sab pata hai Bondita ko pata nhi chalna chahiye... Aur na he Bondita ke samne velson ka phirse jikra hona chahiye... Vo batati nhi hai par uske man me velson ka ek daar baith gaya hai... Bondita he nhi agar ye sab kisi aur aurat ke saath hota phir bhi uss aurat ke man me vo daar reheta... Kaka Bondita ke saath jo hua hai usse bhulana mushkil hai...Aur isse muskil ko asan karne ke liye mai usse yaha Tulsipur laaya hu... Taaki vo sab ke saath rehke uss daar ko bhuk jaye...
(Kaka keeps his one hand on Anirudh's shoulder)
Kaka- Agar tum hume ye nhi batate n phir bhi hum Bondita bahu ke samne uss angrez ka jikra kabhi nhi karte..
Aur tum chinta mat karo ab hum sab hai Bondita bahu ke saath... Itni khushiya denge bahu ko ke beeti hue saari baate bahu bhul jayegi....
(Anirudh smiles with tears in his eyes)
Kaka- Ab jao anirudh tum bhi jakar arram kar lo...
Anirudh- Jii...(And he walk towards study)
Kaka- Dugga ma!! Sab kuch thik ho bass...
(In study)
(Anirudh was taking out items from his bag)Are vo book nhi mil rahi... Isse bag me to the... Ho sakta hai galti se Bondita ke bag me chali gayi ho... Abhi lekar aati hu...
(He started walking towards Bondita's room)
(In Bondita's room)
Bondita-(Happily) Ye kamra to Bilkul vaisa he hai... Kuch nhi badla hai yaha par....
(Bondita opens the zip ..and takes out innumerable things from her bag... But suddenly something fall down from her bag)
(She looks down it was her payal.....she held it carefully with tears.... )
(It was the same Payal .the ghoonroos of which had shown the way to Anirudh when she was kidnapped by velson...She went in the flash back of the timeline and cried bitterly)
Anirudh-Bondita!!!
(Bondita didn't gave any reply)
Anirudh-Bondita!!!
(Still she was silent)
(Anirudh came close her to her)
Bondita!!!!!!
(Bondita with a jerk turns back and the payal falls down from her hands... Anirudh notices that payal and looks at Bondita Worridly... Bondita wipes her tears....)
Now what will happen next?
To know all this
Stay tuned ❤️...

Chapter 1 "Anidita's Journey"❤️Where stories live. Discover now