Surprise-1

1.4K 78 7
                                    

A two shot I suppose.

Shaurya is working on his laptop and suddenly finds Anokhi at the door.
Shaurya-Tum?
Anokhi-Aa sakti hoon andar?
Shaurya-Yeh koi puchne wali baat hai? Aa jao. Bas tum generally batakar aati ho. Hum plan karte hai.
Anokhi-Surprise samjh lo.
Shaurya sees Anokhi is riled up.
Shaurya-Anokhi kya hua?
Anokhi-Kuch nhi. Bas aa gyi.
Shaurya-Achha baitho naa.
Anokhi-Just goes and flunks on the couch beside Shaurya.
Shaurya-Hello?
Anokhi-Hmmm.
Shaurya-Kahan khoyi ho?
Anokhi-Kahin nhi.
Shaurya-Accha kya karna hai?Movie dekhe? Yaa kuch discuss karna hai.
Anokhi-Anything
Shaurya-Kaunsi movie dekhe?
Anokhi-Koi bhi. Pizza order karre?
Shaurya-Anokhi hua kya? You are behaving so different.
Anokhi-Bas aise hi. And she just lies on the couch.
Anokhi is scrolling through the phone. And while Shaurya asks her which pizza, topping etc.
She keeps answering in monosyllables.
Shaurya-Mujhse naaraz hoti toh yahan nhi aati. Oh my god. Iska yeh behaviour.
Shaurya snatches her phone. Ab bolo kuch kya hua. Last aadhe ghante mein har tareeke se puch chuka hoon.
Anokhi-Phone do wapas.
Shaurya sees she is a bit teary eyed.
Shaurya-Aisa kya hi hai phone mein. Ki itna gussa aa gya. And he looks at it. It's a picture of Babli, Anokhi and her mom.
Shaurya-Mom ko miss kar rhi ho?
Anokhi-Hmmm.
Shaurya-Come here. He drags her into a hug. Anokhi yaar call kar lo.
Anokhi-Utha nhi rhi. Papa ghar pe honge isliye.
Shaurya wipes her tears.
Shaurya-Mein tumhe kya hi kahoon. Mujhe pata hai woh dukh. Uske liye kya hi consolation doon. Bas keh sakta hoon meri family tumhari family hai.
Anokhi-Hmmmm.
Shaurya-Dekho tumhara favourite chocolate milk shake laya hai Badi maa ne.
Anokhis eyes are red and watery.
Devi-Meri beti ko rulaya?
Shaurya-Nhi badi maa mein ne kuch nhi kia. Bas aise hi. (He doesn't know if he should tell her stuff to Devi without asking her though he thinks it may help)
Anokhi-Dekho meri taraf. Kisine kuch kahan? Shaurya ne kuch kahan. Kuch bhi bol sakti ho mujhse. Bolo beta. Shaurya ke sath tumhari bhi toh badi maa hoon naa.
Anokhi gets emotional. And she starts crying.
Anokhi-Woh, woh ghar ki yaad.
Badi maa-Ghar call karlo naa.
Shaurya-Nhi utha rha koi.
Devi-Woh wala ghar nhi toh yeh wala ghar toh hai naa. Pata hai kabhi same nhi ho sakta. Par. Koshish kar sakti hoon. Ye lo milkshake piyo. Kaisa hai?
Anokhi-Har baar ki tarah perfect.
Devi-Aur kuch banakar laoon?
Anokhi-Nhi woh pizza order kia hai. (Giving an apologetic look)
Devi-Humare liye nhi kia?
Shaurya-Woh khana ban gya hoga naa?
Devi-Kal kha lenge. Aaj sab pizza hi khayenge. Order kar dena.
Shaurya-Hmmm. Jake ab sabke room mein topics poochne honge.
Devi-Haan. Ghar ka kuch toh kaam kar lo. Chalo yehi sahi.
Shaurya feels a bit guilty about leaving Anokhi alone.
Devi-Anokhi tum yahan kyu khadi ho? Tum bhi jao.
Anokhi and Shaurya go to each room to collect info on pizza to be ordered. Everyone are surprised but it's a nice change from the regular.
Anokhi-Mujhe kuch aur order karna tha?
Shaurya- Tumhe bill kitna hua pata hai. Barah pizza. Che hazar upar se cold drinks. Kanchan aur mera Butterscotch mousse. Kitty Bebo ke chicken wings. Bas. Ab aur kya order karna hai. Chalo theekh hai butterscotch mousse share karenge hum dono. Aur chicken wings share kar lena. Kitty aur Bebo order karengi magar khayenge sirf ek-ek wing.
Anokhi-Shaurya. Ok order mat karna. Mein hi kar rhi hoon. Bas.
Shaurya(Thinks best not to say anything looking at her temperament.)
Anokhi places her order.
They get the pizzas. And all start having amidst fun banter.
Shaurya-Apna pizza khao naa Kanchan. Mere pizza pe hak mat jatao. Yaa phir Yash se lo.
Yash-Mera pizza se kyu? Kanchan tumhi ne order kia. Bhoogto. Kisne kahan tha extra cheese mangwane ke liye.
Kanchan-Anokhi ek slice change kare?
Shaurya-Anokhi mat dena.
Aastha-Aacha mein le leti hoon ek slice. Theekh hai? Anokhi ke baare mein abhi se itna protective ho. Shadi ke baad kya hoga.
Shaurya-Kuch nhi.
Anokhi is blushing and so is Shaurya.
Bas ek hi extra large pizza aayega.
Anokhi gives a look to Shaurya.
Shaurya-Toh galat kya kaha. Economical hoga. Ek extra large pizza do medium pizza se sasta hoga.
Anokhi-Economical? Pizza agar alag alag hua toh flavors ki economy hogi. Do flavors milenge.
Shaurya-Ek aad baar mushroom kha logi toh kuch bura nhi hoga.
Anokhi-Shayd haan but ek aur baar mera salami pizza order hoga.
Yash-Bhaiya invite kahan hai?
Shaurya-Kis cheez ka?
Yash-Shadi ka?
Shaurya-Kiski?
Kitty-Aapki aur kiski.
Shaurya-Meri kyu.
Bebo-Kyunki aap dono abhi se hi pizza ka batwara discuss kar rhe ho.
Shaurya-Just finish your wings rather than growing them.
Bebo-Hyper kyun hote ho bhaiya.
Hume laga aap aur zyada softie ho jaoge. But same to same ho. Bas Anokhi ke sath hi aap softie ho.
Shaurya-Achaa
And he starts tickling Bebo.
Bebo-Bhaiya please.
Shaurya-Someone said I am not a softie.
Shaan-Toh tumhari softie ki yeh definition hai?
Shaurya-Matlab?
Kitty-Agar aapke liye gugudi karna softie ki definition hai toh Anokhi.....
Shaurya-Just shut up ok
Bebo-Bhaiya toh bura maan gye. Abhi maaf bhi karo naa bhaiya. Please and gives her puppy face look.
Shaurya-Okay
Bell rings.
Anokhi gets up and they see a big box.
Kitty-Cake Anokhi. Tumhara bday thodi hai aaj?
Bebo-Ok aaj bhaiya aur aapka kuch special day isliye cake.
Anokhi loses her smile.
Anokhi-Bas aise hi.
She opens the box. On the cake is written love you Badi maa, Gaytri maa and Aastha maa.
Yash-Aaj mother's day? Nhi woh toh ho gya toh yeh?
Anokhi-Bas aise hi.
Shaurya-Jo bhi reason ho I think cake kafi tasty hoga let's get it cut by the ladies. And all of them cut together.
They feed Anokhi and after that all the kids.
Badi maa-Anokhi mein janti hoon yeh cake kyu. Magar promise hi kar sakti hoon ki maa ka har farz nibhane ka pura try karoongi. Tumhe kami mehsoos nhi hone doongi family ki. Isliye keh rhi hoon ruk jao yahan raat ko. I know family ko bohot miss kar rhi ho. We will have a girls night out. Tum, mein, Aastha, Kanchan, Kitty, Bebo, Gaytri.
Anokhi-Lekin mein kaise?
Devi-Warden ko call karlo. Ek raat ruk jao. Achaa theekh hai Shaurya ko include kar lenge night out mein ab toh rukogi?
Anokhi-Nhi waise nhi matlab.
Anokhi goes to make the call.
Shaurya-Mein chod deta hoon hostel Anokhi.
Devi-Uski zaroorat nhi.
Shaurya-Maa mein...
Devi-Woh yahi rukegi.
Shaurya-Kyaa and a huge smile is on his face.
Shaan-Atleast disguise your happiness Shaurya.
Shaurya-Dad...
Devi-Magar it's girls night out. So you are not allowed.
Shaurya-So unfair. Ok then I will go to sleep. Point nhi hai jagne ka. Chalo bye.
He stops by Anokhi.
Shaurya-Sab so jaayenge toh aa jana.
They have a fun night. Playing taboo first. Then they play truth and dare......

Maybe contd. Next time.
Let's see.

Dating DiariesOnde histórias criam vida. Descubra agora