Fest prep

392 46 5
                                    

This happens a week later after Ahir has recovered more or less.
So the fest is announced. Anokhi is fest organiser, Reema is also with her in organising committee. So they go to Shaurya's favorite cafe. To have a chat about the fest.
Reema-Dance mein bhi participate kare?
Anokhi-Time definitely issue banega. But chance chodna nhi chahiye. Maza aayega.
Reema-Woh hi toh waise exams bhi sar par nhi hai. Time hai usko.
Anokhi-Exactly.
Reema-Ek baat bata gana kaunsa choose kar rhe hai?
Anokhi-Tu hi bol.
Reema-Medley kare kuch fun zone mein. Party songs ki?
Anokhi-Nhi ek story karte hai. Koi film ki story dikhayenge.
Reema-Kaunsi?
Anokhi-Yeh jawani hai jawani. Shaurya ki favourite hai.
Reema-Achaa full on impress karna hai.
Anokhi-Arre nhi. Magar woh movie mere liye khas hai. Special hai.
Shaurya-Achaa.
Shaurya enters. He kisses her on cheek. He goes and sits on the arm rest beside her. Waise Anokhi humne decide kiya tha yeh movie hum sath mein hi dekhenge. Kabhi alag nhi. Tum Reema ke sath ye plan nhi bana sakti.
Anokhi-Mein soch rhi thi uss movie pe perform karun.
Shaurya-Achaa.
Anokhi-Tum khush nhi ho? Mujhe laga you will like it.
Shaurya-Kar lo perform.
Anokhi-Kya hua?
Shaurya-Matlab woh hum dono ki memory hai woh puri duniya ke samne aise. I .... Sorry pata nhi mein kaise sound kar rha hoon.
Anokhi-Mein samjhi. Achaa theekh hai change kar dungi gana.
Shaurya- Mere wajah se kuch change karne ki zaroorat nhi.
Anokhi-Nhi. Tum sahi bol rhe ho.
Shaurya-Sure??
Anokhi-Yup.
Shaurya-Toh tumhare performance ka??
Anokhi-Ek aur idea hai. Dekh lena. Movie tumne dekhi nhi hai I think but tumhe acha lagega.
Shaurya-Chalo all the best. Arre mujhe pata tha tum cafe mein ho toh aa gya. But kaam hai nikalta hoon. Woh assignments check karne hai. Chalo bye.
Anokhi-Bye I wish ruk pate.
Shaurya-Me too but jana padega. Magar usse pehle.
He goes orders a large cold coffee creation means with cream, chocolate sauce and sprinkles along with a cappacuino and a coffee ice cream.
Yeh tumhare liye hai Reema giving her the ice cream. Yeh Anokhi tumhare liye giving her the large coffee. Tum dono ko ditch kar rha hoon naa isliye.
Reema-Toh mat karo naa please.
Anokhi-Please naa.
Shaurya-Arre fest mein direct surprise hona chahta hoon. Toh no discussion about that.
Anokhi-Baki cheeze discuss kar le fest ke baare mein.
Shaurya-Theekh.
Anokhi-So events last year ke kaun kaunse the?
Shaurya-Generally dance, singing, instrumental, debate, poetry performance, one act play.
Anokhi-Great. Toh poetry performance, debate, one act play, instrumental day one mein hoga. Day two mein singing subah and sham ko dance. Prize distribution.
Prelims kar lenge pehle. Do hafte pehle karna padega. Individual events ke heads alot ho gye.
Reema-Haan. Ho gya hai bas dance ka baki hai kar dungi. Judges committee bhi karte hai iss baar. Jo saare judges ka dhyaan rakhegi. Taki conflict of interest na ho since hum participate kar rhe hai naa. But sabko participate karne ka mann hai.
Shaurya-Faculty karenge toh no conflict of interest. Yeh hi best rahega.
Anokhi-Thanks. Yehi sahi hai.
Shaurya-Cool.
Reema-Judges jaldi finalize karne padenge.
Shaurya-Ma'am ho jayega.
Reema-Sir aap naa.
Shaurya-Sir nhi hoon college ke bahar. Anokhi ke liye toh bilkul nhi. Uske doston ke liye bhi nhi. Anyways ab sach mein der ho rhi hai.
Anokhi-Bye. Love you.
Shaurya-Love you too.
Reema-Ab to idea bol dance ka.
Anokhi-Itni jaldi nhi.
Reema-Shaurya sir se bhi suspense.
Mujhse bhi.
(Btw aap log readers ke liye bhi.)
They start discussing nitty grittys of the events.
Reema-Arre Anokhi batana bhul gyi parson hume present karna hai apna budget allocation plan professors ke samne.
Anokhi-Tu ab bol rhi hai. Itni jaldi kaise hoga. Kal college bhi hai. Tu bhi naa. Aisa kyu karti ho.
Reema-Sorry dimag se nikal hi gya tha.
Anokhi-Theekh hai karna toh padega ab. Chal hostel jakar start karte hai.
They start making ppt. With all the cost details. It takes all night to finish that.
On presentation day after the presentation.
Tej-Aapka presentation bohot accha tha. Magar unfortunately cost cutting karni padegi. Anmol ke papa jo Alliance industries ke thru humme sponsor karne wale the unhone yeh shart rakhi ki Anmol ke record se ragging incident nikal de. Hum nhi maane toh kaha paise nhi denge. Hume aise insaan se paise bilkul nhi lena chahiye. Toh cost cutting karna hi padega. Revised costing ke sath presentation banake agle hafte tak present karo. Time bhi kam hai.
Anokhi-Sir kyu naa doosre sponsors dhoondhe.
Tej-Haan magar kahan se. Apne saare dost sponsor kar rhe hai. And unse aur demand karna...
Anokhi-Sir wahan se nhi. We will target some companies jinme humare alumni high positions mein ho yaa phir jinko youth mein interest ho.
Alok-Anokhi time nhi hai.
Anokhi-Sir please try toh karne do.
Shaan-Magar date nhi badal sakta. Tumhe ussi din present karna hoga.

What do you think happens over the sponsorship challenge?? Find out tomorrow!

Dating DiariesWhere stories live. Discover now