Down time

384 37 7
                                    

During the exam week:-

Anokhi-Arre iss question ka answer toh pata karna bhul gyi. Call kar leti hoon.

Shaurya-Hmm. Kya hua? Itni raat ko sab theekh toh hai?

Anokhi-Arre tumhare nau baje raat hai?

Shaurya-Tumhare liye raat ke do baje is equal to raat ke nau baje.

Anokhi-Arre woh kuch puchna tha. Yeh ki question number 5 of assignment, matlab woh describe the differences between the two mein kya likhna hai. And woh MCQ ka answer kya hai jo last test mein pucha tha.

Shaurya-Ok toh suno...... He explains her.

Ho gya ab mein sone jaoon. Tumhe exam dena nhi hai shayd kal but mujhe kal invigilate zaroor karna hai. So jao sone. Aise karti rhi toh ek handsome invigilator aayega aur tumhe bolega ki exam ke waqt so kyu rhi ho?

Anokhi-Aisa kuch nhi hoga. And as invigilator aapko sirf khade hona hai. Mujhe toh exam likhna hai.

Shaurya-Arre ab so jao. You are prepared I know. So go to sleep.

In the evening:-

Outside the college.

Shaurya-Paper kaisa gya?

Anokhi-Theekh hi tha.

Shaurya-Good. I told you. You were very well prepared.

Anokhi-Arre bas jo padha wohi aaya.

Shaurya-Tumne sab padha tha. Ab sab mein se hi toh aayega naa.

Anokhi-Toh sab toh padhna hi chahiye exam se pehle.

Shaurya-Hmm. Aur exam se baad kya karna chahiye batana padega? Apne bf par dher sara pyar barsana chahiye naa.

Anokhi-Hmmm. So Romeo is back.

Shaurya-Hmmm. Chalo naa aaj ghar. I know you stay in only on weekends but please naa. Pure do hafte door tha tumse.

Anokhi-Achaa chalo.

They reach Sabbarwal mansion. In the night after dinner, Anokhi goes to change. Her phone is continuously ringing. And there is a video call on it. He doesn't want to pick up but his hands were wet and he picks it up by mistake.

Caller-Tu kaun hai? Aur Nikki ka phone tere paas kaise? Nikki ko phone do. Nikki yehi karne gyi thi matlab.

Shaurya-Tum kaun ho? Khair mein Anokhi ko phone deta hoon. Anokhi! Anokhi! Koi call hai.

Anokhi comes out and grabs the phone.

Anokhi-Aap! Kyu call karte ho aap baar baar? Mujhe nhi baat karni.

Caller-Kyu hi karoge? Tum toh paraye mardo ke sath ghumne mein busy hai.

Anokhi-Bhaiya! Aisa kuch nhi hai. Haan hai bhi toh uska kya explanation doon mein jo sirf mujhe dantne ke liye call karte hai. Fikar nhi aapko meri. Ek baar bhi aapne call kia ho yeh puchne mein kaisi hoon? Nhi naa. Toh apni advice apne paas rakhiye. Mein bohot acchi hoon. Khush hoon. Aap doobara mat call karna. Please. Bye.

She keeps the phone. And sits on the bed.

Shaurya doesn't know how to react. Or would it even if appropriate to react.

He just stands beside her. And keeps his hand gently on her shoulder. She starts to cry by holding onto Shaurya's hand and waist hugging him. He allows her to cry because he feels she needs to express her pain. After sometime when she doesn't stop crying he gets worried for her health.

Meanwhile Badi maa was about to enter the room. Anokhi was facing the other side and doesn't see. She is still crying. Shaurya spots Badi maa. Badi maa signs him to not say anything as she feels it would not be correct to intrude.

Shaurya-Anokhi. Hey! Arre yaar tum ab rona band karo. Bohot ro liya. Tabiyat kharab ho jayegi. Tum ghabrao mat. Mein hoon naa. I know tumhari family ki kami yeh family puri nhi kar sakti but we really, really love you. Anokhi. I wish mein kuch kar pata. Do you want to try and explain them? Do you want to reconcile? Either ways mein tumhare sath hoon.

Anokhi-Shaurya! Nhi mujhe kuch nhi chahiye. Kuch nhi chahiye unse. Koi umeed nhi hai.

Shaurya-Anokhi umeed hoti har jagah Anokhi. Mere case mein mujhe nhi laga mein kabhi unhe maaf kar paunga. But hua naa.

Anokhi-Woh toh alag hai naa. Yahan dad bilkul pasand nhi karte mujhe. Aur mein woh nhi ban sakti jo woh chahte hai.

Shaurya-Anokhi yaar theekh hai. But tum iss baat ke baare mein sochkar pareshan hoti rahogi. And mein tumhe aise dukhi dekhta hoon toh bohot bura lagta hai. I want you to do what makes you feel happiest.

Anokhi-I know Shaurya. Thank you.

Shaurya-Arre thank you kyu?

Anokhi-Shaurya mujhe kuch karne ka mann nhi hai abhi. Mera mood off hai. And I need time.

Shaurya-Koi baat nhi. Tume thoda time lagega. I am there for you ok.

Anokhi-Hmm.

She lies on the bed and looks through the few photos she has with her mom and Babli di.

Anokhi-Shaurya. Babli di se mat. kehna.

Shaurya-Woh theekh hai but tumhara bhai tumhe aur pareshan toh nhi karega naa? I mean anything more than he did now.

Anokhi-I guess no.

Shaurya-Aisa hua toh we will take Ahir's help.

Anokhi-Ok.

Shaurya-But ab tum stress mat karo khud ko. Exam ke waqt bhi kitna stressed thi. Aur kitni saari padhai karni padi. Theekh se bhi nhi soyi.

Anokhi-Hmmm.

Shaurya-Now give that to me. Get some shut eye.

Anokhi-Neend kaise aayegi?I miss maa.

Shaurya-Ek baar Babli di se baat karlo kuch kehna mat iss cheez ke baare mein.

Anokhi-Woh meri awaaz sunkar hi pehchan jati hai.

Shaurya-Ok. Then aankhen band karo warna mein call kar dunga tumhari di ko.

He gets her to sleep. His own mind although is churning. He doesn't know how he can help her. Should he tell about this to Babli? Will Raja hurt her?

Aastha and Badi maa are having a conversation in the kitchen as Shaurya goes to make himself some tea.

Devi-Anokhi theekh hai? I mean I understand agar kuch personal hua toh.

Shaurya-Maa mein kya hi kahun. Uski family ke sath uska issue usse aaj bhi bohot takleef deta hai. But usse console toh kar diya but I know yeh baatein toh bhulna impossible hai. Mein bhi guzar chuka hoon uss pain se.

Aastha-Hmmm. Beta we can just support her. Uski family bankar reh sakte hai.

Devi-Yes Shaurya. Agar usse kabhi bhi ghar ki yaad aaye usse yahan aa jane ke liye bolo. Agar koi bhi baat ho hum humesha hai uske liye. Mein kitna galat sochti thi. Usne meri aankhen khol di. Kash uski family bhi usse dekh pati.

Shaurya-I wish uski family bhi complete hoti maa. Magar mein kya kar sakta hoon. I just hope uske ghav waqt ke sath bhar jaye.

Aastha-Haan woh bohot strong hai. Uske aage uski puri life hai. Woh aage badhegi ek din Shaurya. Magar tab tak usse tumhari aur zyada zaroorat hai.

Shaurya-Mein toh hoon hi maa. Mein usse kabhi akela feel nhi karne dunga.

Kaisa laga yeh chapter? Do comment. Will try to put a cheerful chapter soon. But Raja is something I haven't tackled yet in any of my fics so here it goes...... Any ideas about what I can do with the Raja track dm. I am confused whether to show it in detail or not and if so what to write.

Dating DiariesWo Geschichten leben. Entdecke jetzt