What's next?

273 33 8
                                    

After a couple of days one evening:-

Anokhi-Mujhe tumse kuch baat karni thi. Pata nhi kaise kahun.

Shaurya-Kya hua Anokhi?Tumne kahan naa we are best friends toh bolo.

Anokhi-Woh ek help chahiye.

Shaurya-Kaisa help.

Anokhi-Woh actually mujhe coaching join karna hai.

Shaurya-Coaching?

Anokhi-Haan mujhe cat dena hai toh. Magar yeh cat dene ke baad nhi pata ki kya karoongi. I mean loan ke liye apply toh jayega magar guarantor? Pata nhi. I will need 2 guarantors. Di ek hogi. But doosra?Shayd yeh possible nhi hoga. I don't know what to do.

Shaurya-Simple hai. Loan tum apne naam par le lena. Mein guarantor ban jaunga.

Anokhi-Itna bada favor. Kaise le loon mein.

Shaurya-Baad mein jab tumhe job lagegi. Toh tum ban jana mere kisi loan ka guarantor.Dekho mujhe pata hai tum mein talent hai. Bohot hard working ho. Future padhai ke bina iss field mein woh scope kahan. Dekho I think this will be great. Please don't back off.

Anokhi-Magar Shaurya.

Shaurya-Suno Anokhi I know tum independent rehna chahti ho. I respect that. Mein isliye keh rha hoon, kyunki work ex help karta hai no doubt. But mera personal opinion yeh rahega ki tum ek stretch mein hi education complete karo. I think you already have a pretty good profile. And tumhara intern iss summer ka bhi accha hai. Agle summer ek aur accha intern kar logi. Toh your cv will just shoot up. Isliye don't let it go. Please meri ek baat nhi maanogi. Warna mein naa. Tum Jan sem mein admission le lena next next year ke....

Shaurya-Waise tumne final year research guide ka form bhara? As bf puch rha hoon.

Anokhi-Nhi socha hai bas.

Shaurya-Dhyan se bharna. Topper ho toh first choice hi milega tumhe.

Anokhi-Aapko kya lagta hai?

Shaurya-Dekho mujhe lagta hai Ms. Alaya acchi hain and Ranjan accha hai. Patil ka mat lena. Alaya ke kafi publications hai. Ranjan ke kam hai but mujhe lagta hai he is good. Matlab humne colab kia ek paper pe toh pata hai. Toh?

Anokhi-I want to put your name first.

Shaurya-Emo hoke decision mat lo. Boundaries yaad hai? I would love to have you but dekhlo. Mera cv bhi..

Anokhi-Dekh lia hai. Mr. Upenn (University of Pennsylvania of the best colleges and one of dreams🤞) passout ko chod doon?

Shaurya-Woh Alaya woh Yale passout hai.

Anokhi-Upenn is not bad either. I saw your work. I found it fun. Plus I think aap mujhe bohot acche se jante ho. Mere potential ko jante ho so better draw kar paoge mujhse kaam. Alaya maybe good but she doesn't know me. You will make sure you do your best for me. And Ranjan sir ne iss baar ka topic jo diya woh utna pasand nhi aya.

Shaurya-Are you sure?

Anokhi-Yup.

Shaurya-But kafi kaam karwaoonga tumse. Cat ki padhai ke liye exceptions nhi dene wala.

Anokhi-Mat dena. That's what I like about you.

Shaurya-Chalo isspe gum manao yaa khushi nhi pata?

Anokhi-Kyu?

Shaurya-Going to see more of my fav student and less of my gf.

Anokhi-Itna toh bardash karna padega naa.

Shaurya-Classes ka kya socha hai? Though I strongly suggest TIME.
But ek baat bolun tum smart ho. I would suggest ki tum material le lo unka. And just tests dena. Woh zyada productive hoga.

Anokhi-Mein manage kar paungi?

Shaurya-Haan dekho quant, verbal, analytical rehta hai. Quant is about practice. Same for the rest. I want u to do a good job on the project. That's an important part of the cv. U gain flexibility by doing it that way.

Anokhi-Aur doubts?

Shaurya-Mujh par itna hi trust hai?
Mein hoon naa. I will help you. Iim join nhi kia kyunki upenn bhag gya but test diya tha. Aaya tha decentish rank.

Anokhi-Kitna?

Shaurya-Woh 99.99 percentile.

She hits him with pillow.

Anokhi-Mein coaching class dhund rhi ho. Aur aapne bataya nhi.

Shaurya-Arre. Dono baatein alag hai naa. Sikha nhi sakta but doubts clarify kar sakta hoon. Shayd time lage panch min yahan wahan but more or less ho jayega I guess.

Anokhi-I am so lucky to have you. One of the best decisions I have made.

Shaurya-Me too. Ab kaam ki baat ho gyi toh ek movie dekhi jaye pata nhi tumhe time kab milega iske baad vacations tak. Exams hai naa do hafte baad.

Anokhi-Hmmm. Kaunsi?

Shaurya-Jo tum chaho.

Anokhi-How about Shaurya aur Anokhi ki kahani. I mean movie ki, in fact kisi bhi cheez ki kya zaroorat jab hum ek doosre ke liye kafi hai. Aise hi baith ke baatein karte hai.

Shaurya-Ye bhi sahi hai. Toh kya baat karni hai aapko.

Anokhi-Baat kisne kahan. I just like to be in your arms. It's the most comfortable, happy feeling.

Shaurya-Hmm. Toh aa jao. You know I will miss you tumhare exams ke waqt.  But achese karna.

Anokhi-Tum mujhe already miss karte ho. Ab jab mujhe IIM milega. I mean agar mile toh hum door ho jayenge.

Shaurya-Haan door ho jayenge but I will love you always. Tumhe yahin se bohot sara pyar karunga. Itna pyar karunga tumhe ki tum bore ho jaogi. Aur sochogi ki isko dump karke ek young ladka pakad loon IIM mein.

Anokhi-PS. Mein aisa kabhi nhi soch sakti. I will always love you. Aapse zyada achaa mujhe kabhi koi nhi mil sakta. I will always love you. But mera pyar kafi hoga kya? I mean itne door, itne busy schedule mein kya mein aapse utna pyar kar paungi. Usko jata paungi? Kya mein aapki zindagi mein shamil ho paoongi.

Shaurya-Tum meri zindagi ho. Tumhe usme shamil hone ki alag se zaroorat nhi. Tum mujhe jitna pyar de paogi utna kafi hai mere liye. Aur nhi bhi kar payi toh tumse pyar karne ka ye jo feeling hai yeh kafi hai mere liye.

Anokhi-PS.

Shaurya-Anokhi.

They cuddle and sleep.

So another update for the day. Enjoy guys. I know this got a bit academic but was necessary. This is setting up for what's coming next. Kaisa laga guys? Please comment. Will put something soonish. I mean actually soonish which means in a couple of days......

Dating DiariesWhere stories live. Discover now