Some days

406 44 34
                                    

The presentation day is here. They present the details of the sponsors.
Tej stands up.

Tej-Excellent job.  I am so proud of our students. Humare students tarki kar rhe hai. Naa hi kitabi baaton mekn but life ki cheezon mein. Agle saal se sponsorship ka zimma inka. Aur yeh as a token of respect keh rha hoon.

Alok-Kamal kar diya aapne. Hum yahan chakar kaat rhe hai. Aur apne kar dikhaya.

Shaan-Exactly Siac ka naam ucha karoge. Mujhe pata hai yeh fest yadgar hoga. Scale grand hai aur fiction ka theme amazing.
(The theme is fiction in the sense movies, books and shows.)

After that they leave to get rest of the work done.

Since time is less Anokhi's day is really hectic. Morning she does her classes, then works in canteen, then works on fest, then does dance practice and goes home to study.
She doesn't get te to revise things.

One of those days:-
In the class

Shaurya-Ms.Bhalla can you please explain the difference between _______ and ________?
(Not economics student not going to pretend that I am)

Anokhi-Sir, sir woh yeh topic maine padha nhi.

Shaurya-Kyu? Kis khushi mein?

Anokhi-Sir woh.

Shaurya-Fest hai magar roz ki roz padhai chalti rehni chahiye. I did not expect this from you.

Anokhi-Sorry sir.

Shaurya-Fest wale students aaj kal padhai ko seriously nhi lere. Fest head bhi nhi. Koi baat nhi ek test le lenge parson.

All start requesting.

Shaurya-See mein samjhta hoon tum logon ke liye hectic hai but padhai pe bhi toh dhyaan dena chahiye naa. Achaa assignment de rha hoon woh parson mere table par honi chahiye.

Next day....

Shaurya-Ms. Bhalla aapka dhyaan kahan hai? Kitni baar mujhe samjhana padega aapko ki class mein dhyaan dena zaroori hai. Fest head ho matlab yeh nhi ki mentally absent hone ka licence hai.

Anokhi-Sorry sir.

Shaurya-Hmmm. I hope sorry ki doobara zaroorat naa pade.

After class Anokhi is working in cafeteria when order comes for Shaurya's coffee. She doesn't want to take it but Pammi aunty tells her to take it.

Shaurya-Anokhi tum agar aise distracted rahogi toh dantana padega naa. Maine kuch galat kia? Toh tum message ka jawab kyu nhi deri theekh se?

Anokhi-I am so embarrassed.

Shaurya-Ho gya jo hona tha ab baat ho chuki hai. Tum apna mood off mat rakho iss wajah se sara din.
Baitho yahan pe. Dekho as a prof woh meri responsibility thi. Ab boyfriend ki hai ki woh sadu professor ko tumhare memory se nikal de.

Anokhi-Ye lijiye coffee. Kaam hai mujhe.

Shaurya-Abhi bhi mood off.
Achaa suno. Hum dono milke bitching kare uss prof ki. Kya yaar usse toh samjhna chahiye fest hai naa. Aise kaise daant diya. Khudke college fest ke waqt bunk marta hoga aur yahan par raub jama rha hai. Aise two faced log.

Anokhi-Woh nhi pata magar itna hectic hai. I know khud hi itni zyada responsibility le li magar college ke liye hi toh hai. Woh samjhte kyu nhi. Saara din bhag bhag ke kaam kar rhi hoon magar kuch chut hi rha hai. Kya karun mein? Mein kal nhi parson subah se uljhi hoon. Decoration dekhna tha aur usme help bhi karni padi. Do competitions ke prelims ke results post kiye. Artist ko welcome karne gyi sham ko uske pehle cafe mein kaam kiya. Subah classes the. Fir uske baad dance practice. Uske baad assignment. Assignment mushkil. Gyarah baje ko start kia complete hua teen baje phir revision karte karte panch. Fir doosra agle hafte ka submission. Fir ready hoke college. Ab iss sabme neend hi nhi hui. Toh dhyaan kahan se lagega upar se sun rhi hoon ki ek judge nhi aa payega kyunki personal problem hai. Last minute mein replacement? Food stall wala natak kar rha hai. Pehle 20% off dega bola ab 10% kaise hoga aise. Yeh apni ek baat pe tik kyu nhi jate. Aur agle hafte fest hai. Suna Shaurya. Agle hi hafte. Nhi nhi agle Saturday, agle Saturday ko oh no. Tumhe pata hai Tuesday ko quiz rakh diya. Ab ab mein kya karun. Sociology ka quiz. Kab Sunday ko padhun? Sunday nhi aari tumhare ghar mein batana bhul gyi. Kuch fest ka kaam hai. Toh quiz. Quiz raat ko magar raat ko mind fresh nhi hota. Matlab....

Dating DiariesWhere stories live. Discover now