Cracking

287 43 6
                                    

Shaurya-Waise I am glad aunty convince ho gyi but must not have been easy!

Anokhj-Wasnt. Maine usko woh sari cheeze yaad dilayi jo papaji ne unke sath kia. And I had to hurt her to make her see. But finally she sees. But unhe iss baar ka bohot bura lag rha hai ki woh Babli ke ghar par rahengi. I hope woh iss baat ko samjh ki bache bhi apne parents ke liye kuch karne ka dream rakhte hai. In fact I wish mein bhi kuch kar leti.

Shaurya-Anokhi tumhe apni education complete karni chahiye Anokhi. You are lucky ki Babli di hai tumhari life mein. Tumhe support karne ke liye. And that's why you no longer have money worries. So make the most of it. Get an education.

Anokhi-I will Shaurya! I will. And di aur maa ne jo bhi mere liye kiya hai uske liye mein jo bhi karun kam hai but koshish karungi ki unke liye jo bhi ho paye karun.

Shaurya-Achaa heavy baatein ka time khatam. Aisa feel hi nhi aa rha ki vacation hai tumhara jaan. Kahan hum maze karne wale the. And kahan yeh sab. Not complaining but still. I mean Holi se pehle thoda chill toh kare. Please.

Anokhi-Shaurya yahan stressed hoon mein aur tum ho ki.

Shaurya-Abhi bhi ek hafta hai aise hi stressed rehna hai tumhe? Come on.

Anokhi-Shaurya tum nhi samjhoge!

Shaurya-Hhhmmm. Mein nhi samjhta. Meri mom se milne ke liye itne saal lag gye aur mein nhi samajhta. I know meri mom ke sath domestic violence nhi hua tha but fir bhi. Anyways chalta hoon. 

Anokhi-Shaurya that's not I meant.

Shaurya-Whatever Anokhi!

Anokhi-Shaurya!

Shaurya-Anokhi please yaar. Abhi nhi hai mood baat karne ka. You know I am touchy about this. I need space. I don't want to hurt you ever. So just give me time.

Anokhi-Ok jaan.

Shaurya-Hhhhmmm.

Shaurya leaves.

Anokhi-Shaurya! Ab Shaurya ko manane ka stress bhi add ho gya! Oh god! But mujhe aisa nhi kehna chahiye tha. But I didn't know ki iss baat ko wahan jakar jod dega woh. But Nikki tujhe toh pata hai naa ki woh abhi usse aur thoda time lagega doctor ke hisab se. And woh abhi bhi thoda sensitive hai. Toh fir. Achaa thoda time deti hoon aur fir kuch sweet karungi uske liye. How about making something for him? 

She makes some pasta for him which is a date night favourite for both and takes it upto him.

Anokhi-Ye lo.

Shaurya-Woh bhookh nhi hai.

Anokhi-Achaa freeze mein dekhti hoon garam kar dungi baad mein.

Shaurya-Aur tum jab nhi rahogi tab kaun garam karke dega. Do din baad hostel chali jaogi tum. Mujhe chodke.

Anokhi-Shaurya! Iss baat par humari baat ho chuki. We were on the same page. What happened?

Shaurya-Kuch nhi. Chale jana.

Anokhi-Tum upset sound kar rhe ho.

Shaurya-Kuch nhi bas aise hi.

Anokhi-Shaurya? What's going on? You are not generally like this.

Shaurya-So there is a "generally Shaurya". Nice to know. And if I am not "generally" then?

Anokhi-Shaurya what happened? Mujhse kuch galti ho gyi kya? Are you ok? Have you taken your medicine?

Shaurya-Hhhmmm. So simple naa jo bhi mein feel karta hoon you blame it on my mental illness. Nice.

Anokhi-Shaurya! What happened? Tum theekh the thodi der pehle. In fact in the last couple of months bhi kuch nhi hua.

Dating DiariesWhere stories live. Discover now