Ahir

416 47 8
                                    

Shaurya casually calls Ahir. And then this happens...
Shaurya-Hey Ahir.
Nurse-Hello. Actually aap abhi Ahir ji se baat nhi kar sakte.
Shaurya-Kyu. Aap kaun hai?
Nurse-Mein actually City hospital se bol rhi hoon.
Shaurya-What? Ahir theekh toh hai?
Nurse-Actually woh admitted hai. Unhe goli lagi thi unke mission pe. Unke kuch colleagues yahan unko laye the.
Shaurya-Oh my god. Mein abhi aa rha hoon.
He collides with Anokhi.
Anokhi-Aapka dhyaan. Wait what's wrong?
Shaurya-Ahir hospital mein hai Anokhi. Woh usse goli lagi hai. Hume chalna chahiye jaldi.
They reach the hospital.
Shaurya-Woh Acp Ahir.
Receptionist-Woh ward no 2 mein hai.
They see he has injury on his shoulder. He is conscious.
Shaurya-Arre Ahir tum kaise ho?
Ahir-Tum log yahan?
Shaurya-Haan. Maine call kia toh
Ahir-Arre mujhe zyada nhi lagi. Tum logon ko kaam chodke aane ki
Zaroorat thi.
Shaurya-Jab mein kidnap ho gya tab?
Ahir-Achaa. Dekho mein theekh hoon.
Anokhi-Yeh theekh ho aap. Ek baar bataya bhi nhi
Ahir-Achaa sorry.
Anokhi-No we are hum kuch khabar nhi rakhte tumhari.
Ahir-Woh toh hai.
(It's the delayed effect of anaesthestics that the truth comes out. Thoda exaggeration hai but suspend your logic....)
Tum logon ko mere baare mein kya pata hai. Sirf problem mein bula lete ho. Meri life hai. Tum logon ko kuch pata bhi hai mere naam aur kaam ke eliva. Magar kabhi pucha nhi. Meri family ke baare mein, mere interests ke baare mein, mere past ke baare mein kya jante ho.
Shaurya-Sorry.
Ahir-Professor saab se yeh hi umeed hai.Aapse Anokhi nhi hai. One sided love tha magar sirf friendzone karne ke liye dost banaya? Yaa mante bhi ho mujhe friend. You know how exhausting it is to give up on things because that's the right thing to do. What it's like to give up a life and see a life wither away every minute in front of your eyes. And then that life is gone. You no longer know how to pick your life up. You don't know you. You become an Ahir. And then a cool guy Shaurya Sabbarwal comes along and takes away your love. And you fail. Then you work harder to keep your job. And then there is that only. Your job. Then you get shot at your job. When you get shot you think getting shot at is it worth it. But then you getting shot no one cares. So it's ok to get shot as long as it doesn't cost your job. But the very second you feel the bullet, you think that's the end even if it isn't of your job. Then all goes black and it's ok when you wake up. Apart from the super sore arm with which you have to manage putting on your shirt because no matter how hot I am can't walk away shirtless from a hospital. Then you go to an empty home. Try to open the door with one hand. Fail and try with 2. Settle on the couch. To do take away of Khichdi because you don't want to use your dizzy head. You sleep. The door knock. You pick up Khichdi. Throwing it away coz it's boring. Munch the lays chips. Drink water. Sleep. That's life. My life. But what do you know. You don't even try to know. Thank god Reema aisi nhi hai. Usse meri fikar hai. Maine usse call kia tha woh thi mere paas. In fact woh mere medicines lane gyi hai. Aati hogi. Ek second medicines. Isliye mein itna hyper feel kar rha hoon. Mein chila rha hoon. Khud ki awaz isliye itni tez sunai de rhi hai. Uske wajah se toh yeh sab. Yeh feelings. Oh no maine kya keh diya. Yeh. Guys mein woh dawaiyon ke wajah se over react kar gya. Please bura mat mano. Tum mere acche dost ho. Isliye bina bulaye aa gye. Tum log acche dost ho trust me.
Anokhi-Hume defend karne ki zaroorat nhi. We suck at being good friends to you.
Ahir-Nhi yaar time lagta hai bond banne mein. Kuch hi time hua hai. Toh time lagega. And bulaya toh tha apne ghar. Kitni baar chill kia humne sab sath mein.
Shaurya-Ghar bulaya Magar tumhare ghar ke baare mein nhi jaante sirf makan ka pata pata hai hume. Tumhare ghar ki yaadein nhi.
Ahir-Mujhe bhi toh nhi pata.
Shaurya-Sab pata hai tumko. Aise mat dikhao.
Ahir-Woh toh because cheeze hui thi jinki wajah se pata chala.
Shaurya-Ok ab yahan bhi cheez ho gyi. Hume ab sab jana hai. Puri story.
Anokhi-Ruko pehle unhe theekh hone dete hai.
Shaurya- Haan. Theekh ho jao tum phir baat karenge.
Reema comes.
Shaurya-Mein aur Anokhi bahar hai theekh hai.
Ahir-Arre nhi ruk jao. Bahar kyu baithoge.
Anokhi- Don't worry. Goli aapko lagi hai parwa humari kar rhe ho. Hum bahar hai.
Shaurya-Reema kuch bhi chahiye toh batana.
Reema-Theekh hai.
They leave.
Ahir got discharge in a couple of days.
Ahir-Finally ghar jaa sakta hoon. Cab karna padegega. Phone do.
Shaurya-Cab?
Ahir-Arre aise thodi drive karke jaaunga.
Shaurya-Tumhe apne sath ghar le jaa rha hoon.
Ahir-Mein nhi jaa sakta.
Shaurya-Kyun Sabbarwal mansion achha hai.
Ahir-Precisely Sabbarwal nhi hoon. Aur Anokhi ke jaise bannne nhi wala.
He realises he sentence was a bit too sharp.
Ok see itna bada favor nhi le paunga.
Shaurya-Tumne kiye hai mere liye favor.
Ahir-Woh alag hai.
Shaurya-Bilkul alag nhi hai. Theekh hai mein tumhare ghar pe shift hi rha hoon.
Ahir-Mera ghar. Woh fancy nhi hai. Matlab woh ghar hi hai mansion nhi.
Shaurya-I was wrong tumhe bhi mere baare mein nhi pata. Mein yeh sab nhi sochta. Jahan mere log wahan mein. Jahan unki problems especially wahan udd ke pahunch jata hoon. Ahir-Spiderman ki tarah?
Shaurya-Yes inspired for sure. Woh chodo chalo tumhare ghar chalte hai.
Ahir-Take away karna padega sirf.
Anokhi-Sab kuch nhi mein aur Reema hai. Shaurya se bhi khana banayege. Maza aayega.
Ahir-Yeh Karan Arjun ban gya yaa phir Hum sath sath hai from  Spiderman.
Shaurya-Bohot filmy ho. But daper Shaurya Sabbarwal ko unsexify mat karo. Shaurya is Shaurya.
Ahir-Tumne bhi kuch liya hai?
Shaurya- Haan I drink confidence with my expresso every day. But back to the point chal rha hoon tumhare sath. Aur zyada mat kheecho. Warna the Ziddi professor can be back. Isliye bol rha hoon. Siddhe siddhe maan jao. Warna jaise Anokhi ko dhabe se uthakar le gya tha tumhe Sabbarwal house lekar chala jaunga.
Mein tumhare khudari ki respect karta hoon. I know ki hum abhi itne acche dost nhi hai. Isliye shayd. Magar mein tumhare ghar pe reh rha hoon. Reema rukegi jab tak woh ruk sakti hai. Fir raat ko mein reh jaunga. Theekh hai no arguments.
Chalo chalte hai. Hath do apna.
Ahir-Professor goli pair pe nhi lagi hai. You don't know how this works right yaa phir yun keh loon how my body is not working right.Chill chal sakta hoon. Waise aaj kal bohot zyada sweet ho gye ho. Kabhi kabhi tashan miss karta hoon.
Shaurya-Tashan achaa.
He scoops Ahir.
Ahir-Yeh kya kar rhe ho.
Shaurya-Tashan.
Ahir-Pyar zyada lagta hai tumhara tashan.
Anokhi and Shaurya share a smile
Ahir-Yeh tashan nhi chahiye. I take my words back.
He puts him down and settles him in the car.
Shaurya-Reema tum uske sath jao hum aate hai.

Kaisa laga yeh chapter guys???
Mere toh yeh one of the favorites hai. Shakhi nhi hai but Shauhir hai. Tum log ko konse lines pasand aaye hai. Mera toh ek favourite hai hi. But tum log apna bolo. Please.

Dating DiariesWhere stories live. Discover now