Aashnaa (14)

7K 422 33
                                    

Tujhe azaad karne ka faisla bhi mera tha,

Nuksaan sab mere the, munafa sab tera tha..

Dur hogi toh khush rahegi yeh tune hi toh bataya tha,

Me toh sunn pada tha bas teri haa me haa sar hilaya tha..

Sab cheen liya mera, ab maangne mandir me kaunsi daulat jau,

Ab jo tu bewafa hui toh  me un sab baato se kaise palat jau...

                                                                                     (~Vikas Ahlawat)


*************************************************************8

"Ayaan mujhe aapse kuch baat karni hai" Aayat said after her sobs subsided and Ayaan nodded his head asking her to continue.

Aayat held his hands and looked in his eyes, fresh tears were already forming in her eyes but she tried to stop them. Taking a deep breath, she said

"Ayaan aapko pata hai me apne aap ko bohot khushkismat samajhti hu, mujhe aap jo mile ho. Maine kabhi nahi socha tha ki meri itni badi kami ke bawajood koi mujhse itni mohabbat karega. Par.. par Ayaan.."

Tear were already flowing down her cheeks, and she couldn't speak further. She started sobbing making Ayaan worried, he just hugged her and tried calming her down,

"Khushkismat toh me hu Aayat jo tum mujhe mili-"

"Nahi! Bilkul nahi, Ayaan... Balki maine aapki zindagi me aakar aapse aapki khushiya cheeni hai.. Ayaan, me agar aapki zindagi me naa aati, toh aap aulaad ki itni badi khushi se mehroom na hote. Me apne ammi baba ke liye khudgarz ho gayi thi aur aap se shaadi kar li, unhe takleef na ho, woh meri taraf se pareshaan na ho isliye maine aapki zindagi barbaad kar di."

Aayat stepped away from him with her face bowed down,

"Par Ayaan, mera yaqeen kare me aapse bohot mohabbat karti hu. Me bas aapki khushi chaahti hu-"

"Me khush hu Aayat, bohot khush hu. Me jaanta hu tum yeh sab kyu keh rahi ho, par Aayat tumhe samajhna hoga, aulaad ek waheed khushi nahi hai zindagi me, aur bhi bohot si khushiya hai, aur mujhe woh khushiya tumhare saath jeeni hai. "

Ayaan moved forward and cupped her face, but Aayat didn't meet his eyes.

"Ayaan, me aapse kuch maangugi toh aap mujhe dege?" Aayat whispered while trying to control her sobs.

"Tumhaare liye toh meri jaan haazir hai Aayat"

"Ayaan...aap..-" she couldn't continue speaking as she broke down into tears. She was crying hysterically and Ayaan panicked seeing her vulnerable state. He immediately took her in his embrace.

"Ayaan aap.. dusri shaadi kar le" Aayat said controlling her cries and moved away from the embrace. She couldn't look in his eyes fearing his reaction.

Ayaan on the other hand, was not at all shocked hearing her wish, he just looked at her vulnerable state and a tear fell down his face. A dry laugh escaped from his lips. Hearing his laugh Aayat looked up at him.

"Aayat, jo baat sochkar, jo baat tumhe sirf mujhse kehte waqt tumhari yeh haalat hai, kya tum sach me tumhari baat ko haqeeqat me badalte dekh paogi?" He said in a cold voice, while looking at Aayat accusingly.

Aayat couldn't breathe hearing his words, she looked up at him to see his cold eyes. The thought of seeing Ayaan with some other woman was already killing her since so many days, but hearing these words from Ayaan made her numb.

"Bolo Aayat?"

She flinched hearing his voice and came out of her thoughts. Looking in his eyes, she whispered "Me toh mar jaugi Ayaan"

____________________

"Maya...yeh... yeh kya hai?" Rukhsana Begum was in a state of shock. She just kept staring at those reports which were no less than a nightmare for her.

"Amma yeh haqeeqat hai, aur aap jitne jaldi is haqeeqat ko qubool kar le utna acha hoga"

Rukhsana Begum sat on her bed with her face in her hands.

"Amma, aapne jo zulm Aayat bhabhi pe kiya, Allah ne uski saza aapki beti ko di hai." She laughed bitterly " Aayat bhabhi ki toh itni achaiyo ke bawajood unki ek kami ne unki zindagi azaab bana ke rakh di hai, aur me, mujhme toh itni achaiya bhi nahi hai"

Rukhsana begum thought of all the times she called Aayat names and taunted her and how Aayat not for once raised her voice. How she forced Aayat to convince Ayaan for second marriage.. And now god was punishing her daughter for her deeds.

"Amma!!" Maya gasped "Kya ab aap mere saath bhi usi tarah pesh aayegi jaise aap bhabhi ke saath aati hai. Mujhe bhi har baat pe taane kasegi? "

"Nahi meri bacchii yeh kya keh rahi ho tum? Tum beti ho meri, koi tumhari taraf ungli bhi nahi uthayega"

Maya laughed hearing her words,

"Amma, bhabhi bhi toh kisi ki beti hai. Me maanti hu shaadi se pehle aapko unke baare me nahi bataya gaya tha, par unhone Ayaan bhai ko sab bata diya tha. Amma, aap kyu nahi samajhti Ayaan bhai mohabbat karte hai unse, aap kyu unko alag karne me lagi hai. Kya bhabhi ko haq nahi hai ki woh bhi apni zindagi khushi se jiye? Amma aap yeh sochti hai ki Ayaan bhai ki aulaad nahi hogi.. "

Maya looked at her mother whose eyes were filled with tears.

"Par amma jab aapko Aayat bhabhi ki medical conditions ka pata nahi tha tab toh aap bhabhi se bohot pyaar karti thi. Ayaan bhai ko unse achi biwi aur is ghar ko unse achi bahu nahi mil sakti, yeh baat toh aap hi ne kahi thi na ek baar mujhse. Amma unhone khud toh apne naseeb me yeh nahi likha hai, yeh toh allah ki marzi thi. Aur amma, aap se ya kisi aur se zyada unki khwaish hogi ki unki bhi aulaad ho,par bajaye iske ki aap unke zakhmo par marham lagaye, aap unke zakhmo par namak chidakte aayi ho."

Rukhana begum looked at Maya with a teary gaze.

"Maya maine yeh kya kar diya. Us bachi ke saath zyaadti kar di maine, woh toh mujhe kabhi maaf nahi karegi." Tears were now flowing down her eyes.

Maya went near her and hugged her.

"Tumne sahi kaha Maya, allah ne mere kiye ki saza tumhe di hai. Mujhe maaf kar do."

"Amma abhi bhi kuch nahi bigda, aap Aayat bhabhi ko dil se qubool kar le" Maya said while wiping Rukhsana Begum's tears but her tears refused to stop.

"Bohot kuch bigad gaya hai Maya, maine usko kaha hai ki woh Ayaan ko dusri shaadi ke liye raazi kar de, agar usne Ayaan ko raazi kar diya toh? Ya Allah, itna sakht kaise ho gaya tha mera dil?"

"Amma aap rona band kar de pehle, please, aapki tabiyat kharab ho jaayegi. "

"Mujhe maaf kar do maya, meri gunaho ki saza tumhe mil rahi hai. Mujhe maaf kar do.."

______________

"Aur phir bhi tum chahti ho ki me kisi aur se shaadi kar lu?" Ayaan said accusingly.

"Aapki khushiya mere liye meri jaan se badhkar hai" Aayat said firmly but inside she was dying.

"Theek hai par meri ek shart hai" Aayat's heart broke into million pieces on hearing Ayaan's acceptance. She couldn't speak anything, her voce was stuck in her throat but she just managed to nod her head for him to continue.

"Me do biwi ko nahi sambhal sakta. Toh agar maine dusri shaadi kar li toh me tumhe chod duga. Chalega?"

___________

Ishq FakiriWhere stories live. Discover now