ᒪᗴT ᗰᗴ ՏTᗩY Iᑎ YOᑌᖇ ᕼᗴᗩᖇT(Iᐯ)

1.2K 178 46
                                    

Continued....

"Kitna sambhal liya hain woh dikh raha hain..aur konse pati ki baat kar rahe hain aap?Maddam sir ki kabhi shaadi hi nahi hui hain."she said shocking AS.

"Yeh aap kya kahe Rahi hain bahena?Agar Haseenaji ki shaadi nahi hui hain toh Kabir kon hain?"

"Batate hain sab...jab maddam sir yaha Lucknow ayi thi tab hume bhi laga ki Kabir unke pati hain jinki car accident mein death ho gayi phir bad mein pata chala aisa nahi hain.

Darasal baat yeh hain ki Maddamsir k abbu tab Shahid ho gaye jab maddam sir sirf 10 saal ki thi aur uske 7saal baad unki ammi ki ek car accident mein maut ho gayi...maddam sir bhi buri tarha se zakhmi thi jab woh Kabirji ko mili..unlogone MS ka ilaach karwaya aur maddam sir ka dhyan rakhne lage..phir dhire dhire dono bade hue..Kabir ji ko maddam sir se pyar ho gaya aur maa bauji ne inn dono ki shaadi tai kardi...Haldi thi ussdin madamsir ki...ek emergency k liye Kabirji ko hospital Jana pada tha..aur laut te waqt ek truck ne unki gaadi ko takkar mar dii.

Aap toh jaante hi hain logo ko baat karneka mauka chahiye..sab log anab shanab bolte rahe Maddam sir k bare mein woh dikhati nahi par bura unhe bhi lagta hain...uss din se maddam sir ne maa bauji ki zimmedari utha li..aur khud ko hi bhul gayi."

"Itna kuch Saha hain Haseenaji ne"he exclaimed teary eyed.

"Bhaiyya maddam sir se ek aur baar bat kariye na..unhe samjhaiye.."AS cut her words and spoke..

"Nahi bahena.Hum Haseenaji atyant Prem karte hain par usse bhi zyada hum unka samman karte hain..aur unke faisle ka maan rakhte hue hum unhe dobara pareshan nahi karenge.."He declared..

"Topa Aadmi"KS muttered under her breathe.
------
HM opened the main door and was shocked to see AS sitting with Maa and Bauji.

"Aap yaha kya kar rahe hain?"she asked..

"Puch mat beta Aaj tere bauji chakkar khakar raste mein girne Wale the..woh toh accha hua Sahi waqt par Anubhav beta waha pounch gaya aur inhe sambhal liya..inhe doctor k paas le gaya aur hum dono ko ghar tak chhoda."Maa said.

"Aur aapne hume ekbar phone karna munasib nahi samjha."She asked Anubhav angrily,worried about her bauji's health.

"Uspe kya gussa karrahi hain..maine hi mana kiya tha."Maa reprimanded her.

"Thik hain phir hum chalte hain."he got up to leave.

"Nahi baitho tum..Haseena jaa beta chai le aa Anubhav k liye .bechara humari wajah se yaha tak aaya."bauji said.

HM nodded and went to make tea.

After sometime she came back with tea and some snacks to find Anubhav sitting there alone.

"Arey Maa bauji kaha gaye?"

"Woh bauji ko rest karna tha..maa bhi unke saath gayi hain "Anubhav replied.She sat beside him and served him the tea.

"Acchi bani hain."he praised her.There was an awkward silence for the next few moments.

"Ek baat batani thi aapko..hum parson Kanpur jaa rahe hain."

"Aap yeh hume kyun bata rahe hain?"

"Humesha k liye."he added and she looked at him not wanting to believe what she heard.

"Waise toh abhi ek case k silsile mein jaa rahe hain...par humne transfer application diya hua hain..hume yakin hain woh accept ho jayega."

"Aur aapni bahen KS k bare mein nahi socha aapne?"

"Bahena apne sasural mein bohot khush hain...aur hum ayenge na chhutiyon mein unse milne.(he smiled a bit.)Chalte hain Haseenji bohot sare karya sesh hain..Maa bauji ko bata dena hum nikalgaye..rest karrahe hain isilye unhe pareshan nahi kiya."

Both of them walked to the door
"Good Bye, Haseenaji..apna khayal rakhna"he almost whispered and walked out.

HM closed the door and bursted into tears leaning against it.

This whole exchange was noticed by Maa and Bauji...both looked at each other and then at their daughter sadly.
------
"Karishma sach bata..kya chal raha hain Anubhav aur Haseena k bich?"Maa asked her sternly

"Nahi maa aisa..kuch"she fumbled.

"Jhoot mat bol."she said loudly.

KS sighed and spoke"yeh sach hain ki Anu bhaiyya Maddam sir se pyar karte hain..humko toh yeh lagta hain ki maddam sir bhi karti hain par maan nahi rahi."

"Karti hain Haseena Anubhav se pyar."KS looked at her shocked.
"Yeh dekh.." she handed KS a crumbled paper.

"Dear Diary,
Phir ek baar humari wajah se kisiko takleef Hui..Anubhav ka dil tod diya humne.Nahi bata paye unhe ki hum bhi unse beinteha mohabbat karte hain...sahi kahete hain sab humari wajah se hi ammi ki jaan gayi aur Kabir ki bhi.Humare bure saaye ka hi nateeja hain yeh sab...Hospital mein Kabir se humne wada kiya tha ki hum apne aakhri saans tak Maa bauji ka khyal rakhenge..par Anubhav se agar hume shaadi karte hain toh hum woh wada kaise nibhaenge..maa bauji ki chhodkar jana padega hume..aur apne sabse karibi dost se kiya hua wada hum nahi Tod sakte.Jin logo ne Hume nayi zindagi di unhe hum akela nahi chhod sakte..shayad humare naseeb mein nahi hain pyar bas ab yahi ummid hain ki Anubhav apne zindagi mein agey bad jaye aur unhe koi aisa mile jo unhe woh saari khushi de sake jo woh deserve karte hain."

"Iska matlab humare bhaiyya ka pyar ek tarfa nahi hain."KS said partially exited on the new discovery.

"Haa..Haseena bhi pyar karti hain Anubhav se..yeh uski diary ka panna usne fadh k phenk diya tha..shukar hain humari kaamwali ko jhadu marte waqt Mila aur usne mujhe diya...meri bacchi humari wajah se apni khusiyan qurban kar rahi hain."Maa said crying..KS rubbed her back to console her.

"Maa..agar aap aur Bauji maddam sir ko samjhaengey toh shayad woh samjhe."KS said and Maa nodded positively.
------
HM was lying on her bed blankly staring at the ceiling..her mind was a mess.Anubhav's flight was within few hours..she was thinking about Maa's words yesterday.

Maa entered her room to find her lost in her thoughts..

"Beta kya soch rahi hain tu..jaa use rokle baat kar usse...arey saccha pyar bohot mushkil se milta hain..use aise mat thukra..beta tujhe humne kabhi apne Kabir se kam nahi samjha hain..teri khushi mein hi humari Khushi hain.."

"Apne bete ki shaadi toh hum dekh nahi paye..kam se kam apni beti ki shaadi toh dekhne de hume..tujhe kya lagta hain ki Kabir tujhe aise dekhkar khush hoga."Bauji said entering her room..

"Maa-Bauji..hum kaise aap dono ko.."bauji cut her words..

"Beta Anubhav bohot accha ladka hain..woh kabhi bhi tujhe hum dono se dur nhi karega."

"Hum jante hain bauji..Anubhav jitna accha insaan duniya mein bohot kam milte hain..par "

"Meri bacchi main samajh rahi hu tere dil o dimaag k bich jo kamshmakash hain...par issbar apni Dil ki sunn beta..dekh sirf 3 ghanta rahe gaya hain usse nikalne mein.."Maa tried to make her understand..

HM closed her eyes and took a deep breathe..Anubhav's face flashed before her eyes.

"Maa hum Anubhav k ghar jaa rahe hain..."she said and rushed out of the house.

To be continued....

Do vote and comment if you liked the chapter.
Thank You.

ANUSEENA-The Love We Share(Anuseena Shorts)✓जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें