Chapter 12

358 52 5
                                    

Next morning, all got ready for the day. Vibha's mood was good so she was calm today.

Vibha: Chalo beta dono aa jaoo maine aaj aaloo poori banai hai. Thandi ho jaega

Sid: Kya baat hai bhai. Aap na aese hi mann laga kar padte raho. Mom ka mood achha rahega kuch din tak. Bhai aap na abhi se apne next test ki tyaari shuru kardo. Free lectures aur break mein library jaakar pada karo. Aur late night ya early morning uth kar bhi padna shuru karo

He said setting his hair standing in front of mirror.

Abhi: Hnn hnn saale tere chakkar mein apna sona, khana peena, dost sab chhod deta hu. Mein mehnat karoonga roz din raat pagalo tarah aur tu moj kare. Achha achha khana khaaye

He said tying his shoe laces.

Sid: Kya bhai aap mere lie itna bhi nhi kar sakte? Aur mere lie na sahi mom ke lie? Dekho kitni khush hai wo

Abhi: Dekh ab bass hnn. Mazaak ek baar achha lagta hai. Do baar. Baar baar bhi achha nhi lagta. Chal chalkar breakfast karle

He said in a serious tone so Sid stopped his teasing.

Sid: Okk fine

They took their bags and went outside.

Vibha: Aa gaye mere bache. Ye lo garam garam poori. Khaoo aur fresh mann se college jaoo aur dil lagakar padai karo. Mujhe pata hai mere bache kitne intelligent hai

Sid: Hnn of course ma. Mere bhai to best hai

He said giving a teasing smile to Abhi. Abhi shooked his head in disbelief.

Vibha: Arre aap bhi aa gaye. Aaoo betho breakfast karlo

Abhi: Morning papa

Sid: Good morning dad

Ram: Morning bacho

He said sitting down.

Ram: Arre aaj kuch khaas hai? Poori aaloo

Vibha: Mera mood achha tha to bana die. Bass

Abhi hit Sid's leg. Sid looked at him and Abhi gestured him something. Sid made an irritated face but Abhi again requested him something through expressions.

Ram: Kya hua?

Sid: Nhi kuch bhi to nhi. Achha mom

Vibha: Hnn beta

Sid: Maa poori aaloo bohot achhe bane hai

Vibha: Thank you. Aur le na

Sid: Hnn loonga to but abhi nhi. Abhi pet bhar gya hai. Aap aese karo pack kardo. Tiffin mein. Mein soch raha hu aaj break mein bhi yahi khaloo. You know itne achhe hai aaj cafeteria se khaane ka bhi mann nhi hai kuch. Aap please pack kardo

Vibha: Arre hnn hnn kyu nhi? Kar doongi. Le jaana

Sid: Thanks ma

They all had breakfast and Vibha packed some and handed it to Sid. Ram left for work followed by Sidshek. Sid handed tiffin to Abhi.

Sid: Ye lo aapke best friend ke lie

Abhi: Thank you bro. Sonia Aunty ka mood bhi kal se kharab hoga to waise bhi unhe kuch achha khaane ko nhi mila hoga. Aur usse aaloo poori bohot pasand bhi hai

Sid: Dekho wo jo bhi hai. But maine aapki help ki so...

He said rubbing his hands.

Abhi: Kitna kameena hai be tu? Bhai ke lie itna bhi nhi kar sakta?

Sid: Nhi bilkul nhi

Abhi gritted his teeth and took out his wallet.

Sid: Thank you bhai

He snatched wallet and ran away.

Abhi: Abey o saara nhi de raha mein. Wapis kar. Phirse meri saari pocket money le gya. Kya karoo mein iska?

He said with and irritated face and punched on his bike in anger.

Abhi: Ouch fuck. Ab to le gya. Ab kar bhi kya sakte hai? Zyada kuch bola to ghar jaake mere aur Vaishu ke baare mein bakk dega

He went inside and found Jai.

Jai: Hii. Breakfast?

Abhi gave him tiffin.

Abhi: Saale tere breakfast ke chakkar mein na meri pocket money chalo gayi

Jai: Firse le gya tera wallet

He said chuckling.

Abhi: Zyada matt hass. Bade bhaio ki kitni kharab kismat hoti hai tu kya jaane

Jai: Hnn mein to bada bhai hu hi nhi na kisi ka bhi

He said eating tiffin.

Abhi: Teri to behan hai na aur wo bhi itni pyaari

Jai: Itni pyaari hai tu rakhle. By the way aaloo poori achhi hai. Iske lie pocket money gayi. It's worth it bro

Abhi: Itna worth it hai to apni de dia kar

Jai: Dost ke lie itna bhi nhi kar sakta

Abhi: Huh!! Teri dosti ke chakkar mein pata nhi kya kya karna padega

Jai: Chal chhod lecture ke lie chalte hai. Aur ye le tiffin

Abhi took the empty tiffin and they went for lectures.

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now