Chapter 26

339 58 4
                                    

Nandra family came back happily.

Aman: Chalo ab karo tyaari engagement ki. Ghar ki pehli shaadi hai

Sonia: Hnn dhoom dhaam se karenge bete ki shaadi apne

The day passed like that.

Next morning

Sonia was really happy. She got ready and came in living room. Aman was reading newspaper.

Sonia: Suniye

Aman: Hnn

He said without looking up from newspaper.

Sonia: Aaj Sunday hai. Bache bhi abhi so rahe hai. Mein zarra mandir jaakar aati hu. Itna achha rishta mila hai ab sab theek se ho jaye. Fir aakar breakfast banati hu

Aman: Hnn theek hai. Ho aaoo

Sonia: Waise to bacho ke uthne se pehle aa jaoongi. Agar uth jaye to unhe doodh de jiyega. Becharo ko bhookh lagi hogi

Aman looked up from his newspaper.

Aman: Sonia. So rahe hai. Koi pahad nhi tod rahe jo bhookh lag jayegi uthte hi. Tum aaram se jaoo. Uth jayenge to naha dho lenge na. Tum chinta matt karo faaltu mein. Jaoo ho aaoo mandir. Aur ye lo 1001 ka parshad chada dena meri taraf se bhi. Bache so rahe hai nhi to mein khud hi chal padta saath

He said giving her money.

Sonia: Theek hai. Mein aati hu thodi der mein

Aman nodded and Sonia left. Jai woke up after sometime.

Jai: Morning papa

Aman: Morning beta. Ho gayi neend poori?

Jai: Hnji dad. Ma kidar hai?

Aman: Mandir gayi hai

Jai: Aaj achanak se?

Aman: Mann kia. Chali gayi. Waise rishta hua tera islie gayi hai. Aa jayegi thodi der mein. Tum fresh ho jaoo. Agar wo thoda late hoti hai to hum breakfast bhi bana lenge. Wo to roz hi banati hai. Aaj hum log bana lete. Muskan bhi uth jayegi thodi der mein. Tu naha le

Jai: Okk dad. Mein abhi aaya thodi der mein

Jai got fresh and they prepared breakfast. Avu also woke up and helped them after getting fresh. After making a mess and Jaineet arguing and fighting and Aman scolding, they finally made some eatable sandwiches.

With Sonia

She went to mandir and took blessings. On her way back, she saw Vibha buying vegetables. Sonia cursed under her nose.

Sonia: Kiska chehra dekh lia subah subah. Saara din ho gya mera to. Huh!!

Vibha left the tomato she was checking.

Vibha: Tera to ek din kharab hua mera to pata nhi kitne din kharab ho gaye. Jis din tere math lag jaati hu hafto tak kuch achha nhi hota

Sonia: Zyada na bol

Vibha: Kyu na boloo? Tu mujhe kuch bhi sunati rahi aur mein chup rahu. Mere parivaar ko teri hi nazar lagi rehti hai

Sonia: Aukat mein reh ke baat kar

Vibha: Teri khud ki ti aukat hai nhi. Mujhse aukat karne ki baat bhi hai teri

Vegetabe vendor: Behnji kuch lena hai aapko ya mein jaoo?

Vibha: Tu chup kar be baat kar rahe hai

Sonia: Rehne do bhayia. Iss aurat ko na baat karne ki tameez hai na paise kuch khareedne. Aukat ki baat karti hai. Tamatar hai ye. Itne paise kaha hai tere paas ye sab khareedne ke hnn? Aur bhayia aap kiske mathe lag rahe ho subah subah. Aapko koi garahak nhi milna subah subah iske muhh lagkar

Vibha: Ehh tameez se baat karle. Aukat ki baat krti hai. Tereko teri aukat nhi dikhai to baat karna. Mere bete ko dekha dekhi uske peeche peeche wahi college le lia wahi padai karli. Baat karte hai aukat ki

Sonia: Ye sab to mereko bolna chahie. Aur mere bete ki baat karti hai. Tere bete konsa doodh ke dhoole hai? Sone ka wark laga hai kya unko? Un mein aesa kya hai jo itna udti firti hai? Mujhe to samaj nhi aata unko ladkia kon dega. Koi gadha hi hoga jo aese nikamme ladko ko apna jamai banayega

Vibha: Mere beto ki chinta matt kar. Apne bete ko dekh. Usko ladki dena to door koi ladki muhh na lagaye usse. Aur mere beto ko chand jaisi ladkia laake doongi mein. Dekhti reh jayegi aesi bahuye laungi mein. Par nhi tujhe kyu apne ghar ki laxmio ka muhh dikhana

Sonia: Dikhane layak hongi to dikhaegi na

Vibha: Mere beto ke to aage peeche firenge ladkia tu apne wale ki chinta kar. Unki fikar karne ke lie mein hu. Waise unko fikar ki chinta nhi hai

Sonia: Baad mein jaa tu

She left cursing her. Vibha also brought some vegetables and fruits and went home. They all sat on dining table.

Abhi: Mom dad

Ram: Hmm?

Abhi: Mujhe kuch zaroori baat karni hai

Vibha: Khana to khalo. Baate baad mein bhi ho jayengi

Ram: Arre bolne de na kya bol raha hai. In dono nikammo ke paas kaam ki baat hai. Kar lene de. Mushkil se to hai

Vibha: Kyu kya kami hai mere beto mein?

She lashed on him basically venting her anger which she had on Sonia. Vibha was shouting on him while Ram was calming her down.

Sid: (whispered) Ab kya kare bhayia?

Abhi: (whispered) Lagta hai ye subah subah Sonia Aunty se milkar aayi hai

Sid: Ho sakta hai

Abhi: By the way Jai aur Reem ka rishta bhi ho gya kal

Sid: To bhayia aap bhi baat kar hi lo

Abhi: Koshish to kar raha hu par ye dono shaant to ho

Sid: Maa

Abh: Papa. Achha khana to khalo yrr. Baad mein baat kar lenge

Sid: Aap log shaant ho jaoo

They had their breakfast like that.

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now