EPILOGUE 2

495 62 11
                                    

Avu was getting ready for office standing in front of mirror. She wore crop top and jeans. She did minimal make up with simple hairstyle. She was wearing a beautiful choora. She was looking like beautiful newly wed. Sid came and back hugged her. Avu smiled and kept her hands on his.

Sid: So ready for first day at office Mrs. Nigam?

Avu: First day kaha hai?

Sid: Mrs. Nigam ka to first hi hai na? Shaadi ke baad to pehli baar hi jaa rahi ho na

Avu: Wo to hai. Tum bhi ready ho jaoo. Warna late ho jaooge office ke lie

Sid: Kya karoo? Tumhe chhod ke jaane ka mann nhi kar raha

Avu came out of his grip.

Avu: Tumhe hoga par mujhe late hone ka na koi shok nhi hai. Wo bhi mere pehle din par. Theek hai? Tum ready hokar aa jaoo. Aake breakfast karlo

Sid acted sighing sadly.

Avu: Zyada drama matt karo. Aur jaldi karo

She went outside. Sid got ready. Avu went in kitchen to drink water.

Vibha: Kaha chali subah subah?

Avu: Office

Vibha: Kyu?

Avu: Kyu matlab? I am a working woman. Mujhe kaam par nhi jaana?

Vibha: Abhi ek hafta teri shaadi ko hua hai. Itni kya jaldi padi hai jaane ki?

Avu: Wo kya hai na mein ghar par khaali nhi beth sakti. Aur kyu loo mein chhuti? Ghar par kya karna hai? Aur wo log mujhe ghar par bethne ke paise nhi dete mujhe

Vibha: Kitni kenchi (scissors) ki tarah zubaan chalti hai teri hnn. Aur tera sindoor aur mangalsootar kaha hai? Nayi naveli dulhan hai aur aese hi rahegi tu? Na koi bindi na kuch. Kya haal bana rakha hai ye?

Avu: Aap na chill maaro mummy jii. Aaj kal kon dekhta hai ye mangalsootar sindoor?

Vibha: Dekhta hai matlab? Tune kisko dikhane ke lie pehnna hai? Koi riti riwaaz hote hai

Avu ignored her and took out some bread from refrigerator.

Vibha: Bana dia hai maine khaana

Avu: Ye to mein apne lie bana rahi hu

Vibha: Kyu tere andar nhi jaata kya jo maine banaya hai?

Avu: Nhi wo socha bohot dino se parathe kha rahi hu to kuch aur khaaloo aur na wo paratho se sara din neend aati rehti hai mujhe to office bhi jaana hai so

Vibha rolled her eyes. Avu ignored her and made some sandwiches. Everyone came and settled on dining table. Sid took a sandwich that Avu made. Vibha saw this and made a disgusting face. They had their breakfast quitely.

Vibha: Avneet

Avu: Jii mummy jii

Vibha: Kaam se jaldi aa jaana

Avu: Kyu?

Vibha: Wo Siddharth ke massi mausa aa rahe hai. To aakar unke lie khaana bhi banana hai

Everyone left for their work. Abhi dropped Arshiya to kindergarten on the way. Sid decided to drop Avu as it was her first day. She was looking a bit off.

Sid: Kya hua?

Avu: Kuch nhi

Sid: Bolo na

Avu: Mein office se jaldi kyu aayi kisi ka khaana banane ke lie

Sid: Ab chhodo na Avu. Abhi tum newly married daughter-in-law ho ghar ki. Aur wo tumse milne aa rahe hai

Avu: To khaana mummy jii kyu nhi bana sakti? Mein specially office se aaoo kyu?

Sid: Jaane do na Avu. Ab kya kar sakte hai? Aur sirf kuch dino ki baat hai. Fir sab normal ho jayega

Avu: Achha? Aur jo subah mujhe mere sindoor aur mangalsootar par taunt maar rhi thi uska kya?

Sid: Ab Avi wo badi hai humse. Bol dia tum sun lo fir theek hai na

Avu: Mein kyu kisiki sunu?

Sid: To fir pehn lo kuch din. Nhi sunna achha lagta tumhe to

Avu: Tum to rehne hi do tum to apni maa ke laadle ho. Tumhe to kuch kehna hi bekaar hai

Sid: Arre maine tumhe bhi kaha kuch galat kaha yrr?

Avu: Nhi to boldo kuch reh gya ho to

Sid: Lo office aa gya tumhara

Avu got out angrily and slammed the car door. Sid sighed and shooked his head.

Sid: Bye to bol jaati

He left for his office. Avu came early from office as told by Vibha. She prepared food for the guests. By the time others also came. Vibha tasted her food.

Vibha: Ye kya banaya hai hnn? Teri maa ne kuch bhi sikha kar nhi beja kya? Jaisi wo waisi hi beti

Avu: Meri maa na bohot achhi hai

Vibha: Hnn pata hai mujhe. Ab unko kya khilana hai?

Sid: Maa it's okk chhodo na. Order kar lete hai kuch

Vibha: Hnn hnn tu to isika saath dega. Joru ka gulaam kahika. Ek hafta nhi hua shaadi ko aur abhi se hi maa ki koi baat maanni band kardi hai

She went from in kitchen.

Avu: Huh!!!

She also stomped her foot and went in kitchen. Sid angrily threw his tie on sofa. Abhi came out after getting fresh.

Abhi: Kya ho gya?

Sid: Kya hai bhai ye sab? Wo dono ek doosre ke saath ladkar mujhe sunakar khud firse saath mein kitchen mein ghus gayi. Wo bhi subah se mujhe maa ka laadla keh kar suna rahi hai. Aur mummy joru ka gulaam. Mein kya karoo?

Abhi: Aaja beth

He pulled him and made him sit on sofa beside him.

Abhi: Dekh beta humne ye baat tujhe shaadi se pehle batayi thi par tujhe samaj nhi aayi thi. Teri fault nhi hai. Kisi ko bhi nhi aata. Wo tujhe experience ke saath hi samaj aana tha. Aur abhi to ek hafta hua hai sirf. Abhi to saari zindagi padi hai. Itni jaldi haar maan jaooge to kaise chalega?

Vaish: Abhi

She shouted from room in anger.

Abhi: Aaya

Abhi looked at Sid.

Abhi: Dekhle. Hamari shaadi ko 4 saal ho gaye. Abhi bhi wahi haal hai. But I am still standing. Ye sab to chalta rahega. It's a part of married life. Itni tension matt le

Vaish: Abhi tum aa rahe ho ya mein aaoo

Abhi: Hnn aa raha hu

THE END

And here we came to the end of journey of one more book but of course the journey of writing is still going on.

Reviews

Favorite scene

Worst scene

Anything else

Any question from any character of the book or your author

And yes my new book is on the way. Be ready for it guys 😉 😉😉😉😉

Signing off
~Priya

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now