Chapter 55

336 58 5
                                    

Ram: Tum log chinta nhi karo. Mein baat karne ki koshish karoonga usse

Abhi: Hnn Ashu don't worry. Thoda mushkil hai maa ko manana but wo maan jayegi. Tu chinta nhi kar

Sid: I know bhai. Mujhe bhi ek time par wo bilkul achhi nhi lagti thi and her presence used to irk me. I know mom ko kaisa lagta hai. Mom to mujhse nhi kahi zyada nafrat karti hai unse. To unke lie to kaafi mushkil hai

He said sadly and went from there.

Vaish: Papa mummy jii ko exactly problem kya hai Nandras se?

Ram: Kuch bhi nhi

Vaish: Matlab

Ram: Matlab yahi ki koi reason hi nhi hai. Wo dono ek doosre ko shuru se hi pasand nhi karti. Ek doosre se jalan hoti hai dono ko. Ek doosre ko neecha dikha kar achha lagta hai. As such koi reason nhi hai

Vaish: To unhe kaise maanenge?

Ram sighed.

Ram: Pata nhi beta. Mein to koshish hi kar sakta hu. Baat karke samjha sakta hu. Wahi karenge. Aur to koi option bhi nhi hai. Usko kbhi Abhi aur Jai ki dosti bhi achhi nhi lagi thi sach bataoo to

Abhi: Hnn mom was never happy with our friendship

Ram: Par inhone iss cheez ka apni dosti par koi impact nhi aane dia. Aur sirf dosti thi to usne bhi maan lia dheere dheere par Ashu aur Avneet ko lekar usse manana kaafi mushkil hai. Iske lie to bohot mehnat karni padegi. Wo ziddi bhi kaafi hai. Apni baat lar adi rehti hai. Tu to jaanti hi hai. Mein usse baat karoonga jaise hi mujhe mauka milega

Vaish nodded.

Ram: Tu jaa beta rest karle. Thakk gayi hogi. Aur Arshiya ko bhi achhe se bed par sulade. Tumhari maa se baat kaise karni hai wo mein dekh loonga. Wo mera kaam hai

Vaish obeyed him and picked up Arshiya who was sleeping on sofa peacefully unaware of the qious going around her. She took Arshiya and went in her room. Ram turned to Abhi.

Ram: Abhi

Abhi: Jii papa

Ram: Just check on Ashu once. Aur usse baat kar lena. Make sure ki wo theek hai

Abhi: Hnji papa mein bass usike paas jaa raha tha

Ram: Hmm

Abhi went to Sid's room. Ram sat on sofa thinking how to convince Vibha. Whole evening passed away. Everyone gathered for dinner. Sid didn't want to come but came on Vaish's insistence. Vibha didn't come for dinner. Rest everyone was present.

Abhi: Maa nhi aayi?

Ram: Tum log karo shuru. Mein dekhta hu usse

He stood up from his place and went in his room to find Vibha sitting quitely on bed.

Ram: Vibha khaana tyaar hai. Chalo aa jaoo

He didn't get any response.

Ram: Vibha khaana

Vibha: Aap log kha lijie mujhe bhookh nhi hai

Ram: Kyu nhi hai? Chup chap khaana khaalo. Bache bhi wait kar rahe. Kyu tamasha kar rahi ho?

Vibha: Mein tamasha kar rahi hu? Jo aap sab kar rahe hai uska kya?

Ram: Humne aesapp kuch bhi nhi kia hai Vibha

Vibha: Achha aap sabne faisla kar lia ki mere bete ki shaadi uss ladki se karani hai. Mujhse to kisine salah bhi nhi li

Ram: Kya bakwas kar rahi ho? Konsi shaadi? Konsa faisla? Tumhe bass itna bataya ki wo dono ek doosre ko pasand karte hai. Jab tak tum hnn nhi karogi isse zyada kuch hoga bhi nhi. Aaj tak hua hai kya kuch iss ghar mein tumhari marzi ke bina jo aaj hoga? Humne sirf abhi baat ki hai. Aur tum to aese baat kar rahi ho jaise date fix ho gayi hai. Saabi logo ko pata chal gya hai. Ek tumhe chhod kar

Vibha: Jo bhi ho jaye. Mein apne bete ki shaadi uss ladki se nhi hone doongi. Bass!!

Ram: Kya uss ladki uss ladki kar rahi ho? Naam hai uska. Aur ye baat hum sab baad mein dekh sakte hai. Khaane par kyu gussa nikal rahi ho? Khaana to khaalo. Usne kya bigada hai tumhara? Aakar khaana khaalo. Iss baare mein hum log baad mein sab milkar baat kar sakte hai. Isse khaane ka koi lena dena nhi hai

Vibha: Mujhe nhi khaana

Ram: Bacho ki tarah behave matt karo. Aur chalo

He glared her. She got quite and followed him. She didn't even glance at anyone. They quitely had their food. No one uttered a word.

To be continued

Stay tuned for next chapter

MY IRONIC LOVE STORY {COMPLETED} ✔️✔️Where stories live. Discover now