💜💜
Jishaan ne gusse me mud kar dekha to vo aur koi nahi Amrit thi.
Amrit ne Jishaan ka haath pakadte hue kaha : Aap kyu mere bhai ke peeche pade hue hai. Ab kya kiya isne?
Jishaan ne Amit ko chhod ab gusse me Amrit ko apne karib khinchte hue kaha : Kya ye jo keh raha hai vo sab sach hai?
Kuch der ki khamoshi ke baad, Amrit ne Jishaan ki aankho me dekhte hue apna sar hilaa diya. Aur fir usne dheere se kaha : Aaiye. Dinner ka time hogaya hai.
Jishaan, Amrit ki baat sunkar hairaan tha.
Vo kuch kehta usase pehle hi Ziya kitchen se bahar nikal kar aayi, aur usne Jishaan se pucha : Sir khaana laga du?
Ziya ko dekh Jishaan ne apne man me uth rahe sawalo ko, apne emotions ko dabate hue apna sar hilaa diya.
Amit, Jishaan, Amrit khaana khaane beth chuke the. Teeno hi khaamosh the aur chup the.
Amit aur Amrit khaana khaa rahe the. Magar Jishaan vo khaana khaane ki bajay bas apni plate me rakhe khaane ko ghure jaa raha tha.
Amrit ne use dekh kar bhi andekha kar apna khaana khaaya aur Amit ne bhi.
Ki tabhi Jishaan apni jagah se uth gusse me apne room me chala gaya.************************
Jishaan room me bani balcony me khada ho kar cigarette ke kash le raha tha. Ki tabhi kadmo ki aahat sun usne palat kar dekha to Amrit uske peeche khadi hui thi.
Amrit ko dekh usne cigarette fek uske karib jaa kar use apni baaho me bhar liya.
Usne lagbhag rote hue Amrit se kaha : Ye mujhse kya ho gaya? Main bahot bura hu Amrit. Bahot bura.
" Tum sach kehti ho ki main tumhare laayak nahi.
Tumhe jab sabse jada meri jarurat thi main tumhare saath nahi tha. Meri vajah se tumne kitna kuch jhela. Main apne aap ko kabhi maaf nahi kar paaunga Amrit. Mujhe nahi pata tha ki mera tumhe khud se dur karne ka faisla itna galat saabit hoga. Mujhe tumhe khud se juda karne se pehle ek baar tumse baat karni chahiye thi.
" Mujhe tumhari baat sunani chahiye thi. Par nahi itni mujh me samajh kaha. Apne man se hi na jaane kya kya soch betha main.Jishaan ne Amrit ke sar ko chumte hue kaha : I'm sorry baby. Sorry for everything. Sorry for all my mistakes.
Ye sab kehte hue vo ek baar fir Amrit ke sar se apna sar jod kar rone laga tha ki tabhi,
Amrit ne Jishaan ke gale me apni baahe daal apni aankhe band kar uske hotho par kiss karte hue kaha : Ssshhh.. chup ho jaaiye. Aur puraani baate bhul jaaiye. Zindagi ne hume ek naya mauka diya hai. Hum dono mil kar nayi yaade banayenge.
Amrit ki meethi awaz Jishaan ke kaano me padi to usne apni aankhe khol Amrit ki aankho me dekha to vo ektak use hi dekh rahi thi.
Jishaan ne Amrit ko apne gale se laga apne bhare gale se kaha : Ha. Main tumhe ab kabhi shikayat ka mauka nahi dunga. Thank you so much. Mujhe ek mauka dene ke liye. Main tumhe nirash nahi hone dunga. Aur dekhna tumhara bharosa jeet kar dikhaunga.
Amrit ne Jishaan ki baat sun apna sar hilaa diya.
Aur dheere se boli : Aaiye. Room me chaliye.Itna keh kar Amrit room me chali gayi to Jishaan ko thodi hairaani hui ki kal tak Jo uski baat bhi nahi sunana chahati thi vo Amrit aaj usase itne pyaar se baat kar rahi thi.
Vo is shaadi ke khilaaf thi lekin kya vo ab is shaadi ko swikar kar chuki thi.
Jishaan hairaan ho kar khada hua tha, ki Amrit ne use awaz dete hue kaha : Mr. Kapur.
Awaz sun Jishaan jaldi se room me aaya. To Amrit uske liye khaana lekar bethi hui thi.
Usne Jishaan ko dekh dheere se kaha : Idhar aaiye. Mujhe pata hai ki aap ne din bhar se kuch bhi nahi khaaya hai.