Emotional crisis

1.1K 161 47
                                    

"Jaise sitare hai Aasmaan me
Waise hi humare log hai humare dil me"
Happy reading fandom walo☺😊

It's been 15 days or so since naani's death and life has become so monotonous..... There was no much noise in the home... No more chirpy talks of the abir and mishti in the house.... The buzz that the rajvansh sadan had the whole day, has been lost somewhere.... Vishambar and rajshree were still recovering from the loss of their mother figure.

Mishti was observing all these... She thought, "yeh ghar kitna suna suna lag raha hai... Mamma papa kitne udaas hai... 15 days pehle tak sab kuch teek tha... Naani yaar...... Aapke jaane ke baadh dekhiye kaisa ho gaya hai rajvansh sadan... Aur aapka potha ajeeb rajvansh ko dekha hai aapne?... Na time se khata hai.. Na teek se sotha hai.. Na apni PJs maarta hai... Na mujhe thang karta hai... Aur.. Aur uska smile tho gayab hi hogaya hai naani... Please kuch karo yaar.... Me apni bir ko miss kar rahi hu". Lone tears escaped her eyes.

Mishti's phone rang and it was kuhu,
M : ha kuhu bol.
Kuhu : Tu kaisi hai?... Aur abir kaisa hai?
M : kuch teek nahi hai kuhu... Bir se baat kiye huye theen din hogaya yaar... Wo room se bahar aata hi nahi.. Agar me khana leke jaati hu tho, waha rakhne ke liye bolta hai.. Me baat karu tho sirf ha ya na me answer deta hai... Aur mumma papa se tho kitne din se baat nahi kiya hai usne.
Kuhu : yaar mishti, yeh kya hogaya yaar... Abir hum sabse dynamic tha... Koyi nahi...jab hum log ek saath college jaayenge na tab teek ho jayega.... Waise pre-university ka results aa chuki hai... Aur as usual tu no. 1 aur abir no. 2..
M : achha....
Kuhu : ab tu kaunsi stream logi?
M : tujhe tho pata hai na ki me aur tu ne kab ka decide kar liya tha that we will go for architecture.
Kuhu : ha.. Wo tho hai... Chal me kunal ko call karti hu... Aur tu abir ko inform karde.
M : teek hai... Bye kuhu.

Then mishti told her parents about the results and they asked her to bring abir down, from his room.
She knocked the door,
M : bir...
A : hmm..
M : kucchh zaroori baat karni thi...
A : please mujhe kisi se baat nahi karna hai mishti... Please go.
M : bir... Just once.. Papa bula rahe hai...
A : kya baat karni hai? .
M : humara results aa gayi hai bir... Tum second aaya hai..
A : accha...
M : congratulations bir..
A : teek hai me aa raha hu neeche.
Mishti left from there, tears forming in her eyes, as she remembered how they celebrated last time when they got 10th result... This time, they are not in a situation to even smile .

Abir came down and stood next to mishti...
R : abir, mishti bol rahi thi ki tumne second aaya hai...Congrats beta.
A : thanks... Aur Kyu bulaya?
V : suno abir beta, jo kuch bhi bura hona tha na, ho chuka hai...yahi sach hai ki naani ab humare saath ghar me nahi rehti hai, lekin hum sab ke mann me tho humesha rahenge.
R : ha abir, humhe zindagi me aage jaana hi padta hai.
A : ji.
V : aage ka kya socha hai abir beta?....Hum sabko pata hai ki aapko bhi architect banna hai... Ab kaunse college bhi tho select karni hai na?
M : papa, me aur bir ek hi college me padenge.
R : kyu nahi... Tum first jo aayi ho... Bade se bada college bhi admission ke liye phone karega tum donon ko.

Abir looked at mishti and he felt bad... Because, everytime, it was he who would be excited to hear her result.. But, this time he didn't even congratulate her.... As usual, she has no compaints about that.
Mishti looked at him, and held his hand,
M : bir, hum kaunsa college join karenge?
Abir removed her hand from his,
A : papa, mujhe kuch kehna hai.
Mishti looked at him and she felt somewhat strange, as he avoided her.
V : ha kaho...
A : mujhe architect nahi banna hai?
V : kya?... Aap yeh kya bol rahe hai ?
A : ha papa, mujhe kuch aur karni hai.

Mishti and rajshree were shocked to here this. Mishti couldn't understand what was going on in abir's mind.
V : aap hosh me tho hai na?....Me soch raha tha ki aap mere architecture business ko aage leke jaayenge... Aap bhi yahi chahte the na?... Tho phir aisa kya hogaya?.
Vishambar was angry now... Rajshree feared, "pehle hi yeh dono, dil kholke ek doosre se baat nahi karte hai... Ab iske wajah se aur bhi dooriyaan aagayi tho.. Nahi nahi".
R : aap baitiye... Me baat karti hu.
V : teek se poocho rajshree ki uska dimaag tho teek hai na?
R : ji...
Rajshree held abir's elbow,
R : abir... Yaha baito.

Will You Be Mine Forever? Where stories live. Discover now