20. If Only He Was Here

5.1K 382 57
                                    

3 months after Sultan's departure- Outside the city of Baghdad, the Ottoman camp

'Fateh ki taiyaariyan krne se pehle ye jaana zaroori hai ki humse pehle jo aaye, unki kya galatiyan thi.' Murad said to all his chief warriors who were standing with him in the strategy making tent.

The Turks reached Baghdad today morning only and have decided to camp at a far distance from the city.

'Mere Aaka, Baghdad ki banavat hi usse itne saalon se aabaad rakhe hue hai.' one of them said. Murad and others looked at the clear map of Baghdad and the one who had spoken earlier, explained them.

'Ye dekhiye Aaka...........Baghdad chaaron taraf se pahadon se ghira hai.' he pointed at the borders of the Baghdad. To make the map look more realistic, crests and troughs were made to depict depressions and mountains respectively.

'Yahan sheher ke beechon beech Shah-E-Baghdad ka mahal hai........ sheher ko char pahad milkar gherte hain.............aur chaaron pahadon per ek-ek killa banaya gaya hai.' the man explained the whole infrastructure of the city and they all listened very carefully.

'Ab duniye ka kehna hai ki Baghdad par humla karne wala har Shah ko Baghdad se shikast (defeat) millti hai.............par assal mein aisa nahi hai mere Aaka.'

They all looked at the man with questioning eyes. 'Toh fir sach kya hai Sinaan Pasha?' Ibrahim asked him on behalf of everyone.

'Vazir-E-Azam...........jab bhi jung hoti hai.........toh Shah-E-Bghdad apni fauj ko lekar sheher se bahar aate hain aur jung humesha pahadon ke neeche, yahan iss khulle maidaan mein hoti hai..........' Sinaan said while pointing at a vast area of land between those mountains and the place where they have set their camps.

'Humlavar jab maidaan-e-jung mein jeet kar sheher jab sheher mein daakhil hone ki koshish karta hai toh usse inn chaar pahadon mein se kissi ek ko paar karna hota hai.............magar inn chaar pahadon par jo kille hain, unn mein se Bghdadi sipahi humlavar aur uski fauj par humla karte hain..........'

'..............Aur kyuki Bghdadi sipahi unchai par hote hain iss liye humlavar aur uske sipahi unhe koi nuksaan nahi pohoncha paate par Baghdadi sipahi poori fauj tabah kar dete hain.' Murad completed Sinaan Pasha and Sinaan Pasha nodded.

(I still don't know from where I got this high-altitude idea😂)

They all were in deep thoughts.

'Jab tak hum pehel nahi kareinge tab tak jung shuru nahi hogi. Hai na?' Murad asked the latter par while looking at Ibrahim and a smirk had started to form on Murad's face. Ibrahim and other's were confused about what was he thinking. 'Ji.' Ibrahim replied.

'Hmm.' Murad hummed with a smirk.













2 months later- Palace of Baghdad.

'Huzoor........Osmaniyon ne abhi tak koi pehel nahi ki hai.' the minister told his King, who was a middle aged man. The king sighed and said  '2 mahine ho gaye hain unhe shehar ke bahar derra daale.'

'Na jaane Shah-E-Jahan ke mann mein kya chal raha hai?' the young prince said and exactly at that time, a soldier came running in the room. 

'Huzoor, pehle Kille se khabar aayi hai huzoor......................Sultan Murad ne kal aapko maidaan-e-jung mein jung karne ke liye bulaya hai.' the soldier told them breathlessly and the three men already present their smirked at each other.

Ek Tha Sultan, Ek Thi Malika👑Where stories live. Discover now