...𝑪𝒉𝒂𝒑𝒕𝒆𝒓 18 (1)...

102 6 0
                                    

(At sumedh side,)
(He reaches home nd found shrisha was waiting for him)
Sumedh - Tum abhi tak soyi nhi??
Shrisha - Wo sab chodo, aap kaha gaye the??
Sumedh - Woh mai..tumhari friend ko dhoondhne, kyu ki tumne toh usse akela chod diya tha
Shrisha - Haan bhaiyaa, aap sahi kh rahe the muze usse aise akela nhi chodna chahiye tha, I am really so sorry
Sumedh - It's okay!! Ab woh thik hai aur maine usse uske didi ke pas bhi chod diya hai
Shrisha - Matlab ki aapne usse chod diya, haan??
Sumedh - Haan, kyu usne tumhe bataya nhi??
Shrisha - Nhi...but aapko woh kaha mili?? kaise mili??
Sumedh - Woh...(tells her everything)
Shrisha - Ohh toh yeh sab hua, maine usse pucha toh usne kaha ki kuch nhi hua, sab thik hai
Sumedh - Achh thik hai, ab mai sone jaa raha hu aur tum bhi sojao
Shrisha - Hmm!! (they left)

At morning 🌄,
(At mallika's side)
Mallika - Didii..
Monika - Mikku?? Tu yaha kab aayi??
Mallika - Woh...raat ko... aapko btaya tha na maine ki main aane wali hu
Monika - Haan, btaya tha par tu itni raat ko aayengi yeh nhi btaya tune
Mallika - Ab...bb chodo na..didi
Monika - Nhi, chupchap btaa kya chal raha hai yeh sab, Bol??
Mallika - Aree, didi..(cuts)
Monika - Aur ek baat dhyan rakhna Teri didi khadi hai tere samne, isliye tuze sach hi bolna padega, ab btaa kya hua?? Itne jaldi kaise aagyi tu apni friend ke ghar se??
Mallika - Didi... wo, (she tells everything) Isliye, mai kal raat ko hi nikal gayi kyu ki muze itni beizzati sahane ke baad rahne ki iccha hi nhi ho rahi thi
Monika - Bilkul, sahi kiya tune, I am proud of you
Mallika - (smiles) Waise didi, aapko ptaa hai na kal evening mai hume nikalna hai UP ke liye??
Monika - Haan, pta hai
Mallika - Hmm!!

(At sumedh's side)
Sumedh - (to himself) Pta nhi but muze aisa kyu lag raha hai, ki maine Mallika ko kuch jyada hi suna diya, par uski harkate bhi toh waisi hi hai toh sunaye nhi toh kya karee koi!! But, mai uske bare mai kyu soch raha hu, uske bare mai soch kar kuch fayda nhi hai, Huhh!! sumedh tu kuch jyada hi soch raha hai, tuze apne training ke liye tayar hona hai aur pehele toh muze packing karni hogi kal meri evening mai flight hai
(Then, he hears a knock on door)
Sumedh - Maa, aap yaha kya kar rahi ho ?? Maine aapko rest karne ke liye kaha tha idhr udhr ghumne ke liye nhi
Vasanti - Muze yeh btaa, mallika yaha se kyu gayi?? (with anger)
Sumedh - Usne bataya toh sahi ki uska result jaldi aane wala hai toh wo jaa rahi hai aur aap muzse itne ghusse se kyu baat kar rahi hai??
Vasanti - Toh kya karu, tu bta??
Sumedh - Maa, hua kya hai?? Ruko, aap baitho pehele
Vasanti - Sumedh, sach sach btana, kya tumne mallika ki beizzati nhi ki??
Sumedh - Aapko...kaise pta?? (confused)
Vasanti - Matlab, ki yeh sach hai, ptaa hai jab muze yeh sab shri ne btaya toh yakeen hi nhi hua kyu ki maine tuze beizzati nhi respect karna sikhaya hai, par aaj lagg raha hai tu woh sumedh hai hi nhi, shayad meri hi parvrish mai koi kami rah gayi thi..(with tears)
Sumedh - Nhi maa, aap yeh kya kah rahi hai?? Aur maa maine uski koi beizzati nhi ki, maine usse jo kaha woh sab kuch sach tha
Vasanti - Achh, kuch proof hai tere pas?? Ki tu sach bol raha hai
Sumedh - Iske liye proof ki koi jarurat hi nhi hai, woh ladki khud ke taraf bas ladko ko attract karti hai woh bhi jaanbuzkar taki woh kisi din unka use kar sake, Maa, woh ladki na character less hai...(S/m gives him a tight slap)
Vasanti - Muze btaa, tu kabse janta hai usse, jo ki yeh sab kah raha hai tu usne bare mai, btaa??
Sumedh - Maa.., a..apne uss ladki ke liyeuz par hath uthaya
Vasanti - Haan uthaya, kyu ki tu nhi janta ki woh kaisi hai
Sumedh - Maa, aap shri jaisi kyu baate kar rahi hai?? Woh toh hamesha se hi apne friend ki side leti hai chahe kuch bhi ho jaye, aur aaj aap bhi
Vasanti - Shrii, uska sath aisehi nhi deti, woh hamesha sach bolti hai isliye deti hai, aur mai mallika ko apni beti jaisa samjhti hu isliye mai janti hu ki woh kaisi hai aur meri beti ke khilaf koi aisi baate kare yeh muze sahan nhi ho sakta, fir woh aisi baate karnewana mera beta hi kyu na ho
Sumedh - Par....(cuts)
Vasanti - Tu jab tak mallika se maafi nhi mangta tab tak mai tuzse baat nhi krungi aur yeh mera aakhri faisala hai (left his room)
Sumedh - Iss Mallika ne muze meri maa se hi dur kar diya, How dare she??
.
.
.
.
Radhe Radhe ✨
Please do vote and comment 🙏
















𝑨𝒍𝒘𝒂𝒚𝒔 𝑳𝒐𝒗𝒆 𝑾𝒊𝒏𝒔 💖 (Editing)Место, где живут истории. Откройте их для себя