...𝑪𝒉𝒂𝒑𝒕𝒆𝒓 23 (1)...

116 4 0
                                    

At morning 🌄,
(At sumedh's side)
Sumedh - Where is my tea??
Bodyguard - Sir!! Here is your coffee nd breakfast! (puts on table)
Sumedh - I want tea
Bodyguard - Okay!! I will be back in while (left)
Sumedh - Hmm!!
Sumedh - (to himself) Ab tak aaya nhi, aur muze kh raha tha "I will be back in while" (mimic's him) khair muze ab toh yeh sochna chahiye ki, mallika muze maaf toh karegi ya nhi, maine usse maafi mangi uske baad usne muzse rude tarike se toh baat nhi ki, ho sakta hai ki woh maaf karne ke bare mai soch rahi ho, mai yeh jaane ko bohot utawala hoon ki usne muze maaf kiya ya nhi, par muze wait karna hoga uske jawaab ka nd I will wait, but abhi mere se wait nhi hora aakhir, kaha rah gayi meri chai??
Bodyguard - Here!! (puts on table)
Sumedh - Thank you!!
(Then, he have breakfast nd left for his office)

(At mallika's side)
(In mallika's room)
Mallika - (to herself) Wo muzse maafi mangne ke liye yaha tak aa gaye, nhi, wo toh training ke liye aaye hai par unhe mera ghar kaise pta chala?? Shri ne bataya kya?? Usse call karke puchti hu, nhi yrr usse call krungi toh wo direct puchegi ki "mere bhai tere ghar aaye the kya??" fir toh muze haan kahna hi padega, nhi nhi maine yeh btaa diya ki uska bhai aaya tha, toh wo.....khair usse aisehi call karti hu
(On call)
Mallika - Hello! Shri
Shrisha - Hello!!
Mallika - Kya kar rahi hai??
Shrisha - Study kar rahi thi, par tera call aaya toh socha utha lu
Mallika - Achh sorry, maine tuze disturb kar diya
Shrisha - Nhi nhi, wo sab chod uss din tune muze bataya kyu nhi, ki tere piche kuch gunde lage the
Mallika - Tuze yeh kisne bataya??
Shrisha - Bhai aur kon?
Mallika - Uss Mr.khadoos ke pet mai ek baar hazam nhi hoti (in low voice)
Shrisha - Kya??
Mallika - Kuch nhi!! Maine tuze isliye nhi btaya kyu ki tu khud ko blame karti, ki maine tuze akela chod diya aur blah blah
Shrisha - Haan, yeh baat toh sach hai ki maine tuze akela chod diya, SORRY
Mallika - It's okay
Shrisha - Tu UP mai hai kya??
Mallika - Haan!! kal aayi
Shrisha - Achh, bhai bhi kal hi pohche
Mallika - Ptaa hai!!
Shrisha - Kaise??
Mallika - Umm..mmm.m.. wo ..(cuts)
Shrisha - Ohh samjh gayi, flight mai hi hoge jab tu jari thi
Mallika - Haan!!
Shrisha - Bhai ne tere sath kuch baat ki??
Mallika - (inside - Haan ki toh hai, par tuze abhi nhi btaa sakti) Nhi
Shrisha - Umm!! Thik hai
Mallika - Kyu, kuch hua hai kya??
Shrisha - Unko sach ptaa chal gaya, ki teri galti nhi thi aur unhone hi tuze bewajah bohot kuch suna diya, yeh sach samne lane ke liye Bhai ne bohot mehnat ki aur khas karke aisa kaam kiya jo maine sapne mai bhi nhi socha tha ki mai bolugi aur woh karenge
Mallika - Aisa kya kiya??
Shrisha - Mai tuze batati....(she tells her everything about their plan)
Mallika - Hee bhagwan!! Itna sab kuch kiya
Shrisha - Haan!! Tuze nhi ptaa mere bhai ladkiyo se bohot jyada dur rahte hai par pehele baar itna bada step liya aur aakhir kar sach samne aa hi gaya aur dekhna wo tuzse maafi bhi mangege
Mallika - Hmm!! (inside - mang li!)
Shrisha - Upar se unki galti hai na toh woh uss insaan ko maafi mangne ke liye kuch bhi kar sakte hai, kyu ki unke samne ek baar sach aajaye na toh woh kisi ki nhi sunte
Mallika - Tu apne bhai ko itne ache se janti hai, toh uss din tune unse itne ghusse se baat kyu ki??
Shrisha - Aree, tu toh janti hai na ki muze jo bohot pyaare hote hai mai unke beizzati nhi sun sakti aur wo bhi tab jab woh hamesha sach bolta ho
Mallika - Achh!!
Shrisha - Hmm!! waise tuze bhai se baat karni hai kya??
Mallika - Haan!! Didi aayi, actually muze di bula rahi hai, toh mai tuzse baad mai baat karti hu
Shrisha - Okay!! Byee
Mallika - Byee!! (call cuts)
Mallika - (to herself) Ab toh muze aapse baat karni hi hogi "mr.khadoos", kyu ki maine jaisa dekha tha aur socha tha aap waise hi hai "ache" uss din muze laga ki maine galat socha but I am wrong tab aapko apni maa ke alawa kuch nhi dikh raha tha, isliye aapne muze uss baat par aur rohit ki baat par poke kiya, par aapko apni galti ka ehsaas bhi hogya hai aur aapne muzse maafi bhi mangi ab toh muze aapko maaf karna hi hoga, par itne aasani se mai aapse baat nhi krungi thoda wait toh karna hi hoga (smiles ) "Mr.khadoos"
.
.
.
.
Radhe Radhe ✨
Please do vote and comment 🙏



𝑨𝒍𝒘𝒂𝒚𝒔 𝑳𝒐𝒗𝒆 𝑾𝒊𝒏𝒔 💖 (Editing)Where stories live. Discover now