...𝑪𝒉𝒂𝒑𝒕𝒆𝒓 18 (2)...

109 6 0
                                    

Sumedh - Mere ghar mein iss Mallika ke naam ki mala hi jyada japp rahi hai, pta nhi aisa kya hai usme?? khair muze kya, par maa ne kaha hai ki jab tak mai usse maafi nhi mang leta woh muzse baat nhi krengi but muze uss ladki ke samne zhukna nhi hai par mai meri maa se bina baat kiye rah nhi sakta, kya karu??
Bas sorry hi toh bolna hai usse, sorry bol dunga baat khatam, waise bhi mere sorry bolne se woh ladki ke harkate mai sudhar toh nhi aayengi but muze meri maa bohot pyaari hai isliye usko sorry bol dunga baat khatam, abhi jata hu aur bol deta hu (left)
(Then, he reaches at monika's friend home nd stops the car opposite to her home nd continuously peeping horn)
Monika - Mallika...
Mallika - Haan didi
Monika - Dekhna jara kon hai bahar, kab se horn baja raha hai ab irritate ho raha hai
Mallika - Haan, mai jake dekhti

(At outside)
Mallika - Pagal hogye ho kya?? Kabse horn baja rahe ho, common sense hai ya nhi tum mai (she said without looking at him)
Sumedh - Common sense muz mai toh bohot hai but shayad tum mai nhi hai, itne der se koi horn baja raha hai toh tumhe aana nhi chahiye tha
Mallika - Aap phir aagye, Itna sunane ke baad bhi mann nhi bhara kya aapka??
Sumedh - Sunane nhi aaya
Mallika - Achh, toh aisi kya wajah hai Jo aap yaha aaye??
Sumedh - Wo...oh I ...a.m sorry
Mallika - Kya, sunai nhi diya??
Sumedh - I said, I am sorry (in rude way)
Mallika - Ohh, toh aapko realise...(cuts)
Sumedh - Muze tumse maafi mangneka koi shok nhi hai par muze meri maa se pyaara kuch bhi nhi hai
Mallika - P....(cuts)
Sumedh - Mai yaha tumhara jawaab sune ke liye nhi ruk sakta nhi rukna chahta hu (left)
Mallika - Maa se pyaar hai samjh sakti hu but...(then she hears monika was calling her)
Monika - Mallika....
Mallika - Haan didi
Monika - Kon tha??
Mallika - Koi nhi, ek pagal ladka tha
Monika - Achh

(At sumedh's side)
(At night 🌉)
Sumedh - Maa, ko btaa deta hu ki maine usse maafi mangi (left towards her room)
Sumedh - Maa!! Maine usse sorry bol diya ab toh aap muzse baat krengi naa??
Vasanti - Tune usko dil se toh sorry nhi kaha hoga par mai janti hu
Sumedh - Maine dil se hi usse maafi mangi maa, sach mai
Vasanti - Achh, toh khaa meri kasam or btaa ki tune usse sach mai Dil se maafi maangi, tune jo uski beizzati ki Usha tuze afsos hai, btaa??
Sumedh - M..(cuts)
Vasanti - Bass, sumedh jab tak tu jaan nhi leta ki teri hi galti hai mai tab tak tuzse baat nhi krungi, ab tum jaa sakte ho yaha se
Sumedh - Par maa..(cuts)
Vasanti - Jao yaha se
Sumedh - Hmm!! (left)
.
.
.
.
Radhe Radhe ✨
Please do vote and comment 🙏





𝑨𝒍𝒘𝒂𝒚𝒔 𝑳𝒐𝒗𝒆 𝑾𝒊𝒏𝒔 💖 (Editing)Where stories live. Discover now