Kriansh

798 39 0
                                    

Aarohi- hua tha sakh bua mujhe bohot baar sawal bhi kiya mene par har baar vo kuch na kuch bolkar mujhe yakeen dila deti thi ki voh jo bol rahi h vahi sach h.

Kirti- Bache hume bata kya kya tune pucha tha aur kya kya unhone bataya tha.

Naksh- ye sab puch ke kya faida hoga kirti

Kirti- Naksh mujhe jaana h us sheila ne aaru se kya kya jhut bola h taki pata toh chale usne humare bachon ke bich kitna zehar bharne ki koshish ki h. Bata beta tu

Aarohi- Ji bua sabse pehle mene pucha tha ki ki aap ho kon toh unhone bola ki woh meri nani yani akshara singhania ki friend h voh bhi best friend. Phir mene pucha ki voh baki family members se kyu nhi mili toh unhone bola kyuki agar mein kisi ke saamne aa gayi toh meri jaan ko khatra h. Jab mene pucha kis se toh unhone kuch bola hi nhi phir mene pucha mein kaise maan lu ki aap mere mumma ko janti ho toh unhone mujhe unki aur ek lady ki photo dikhayi jo bilkul naira mumma jaisi dikhti thi but unke baal thide chote the.

Kirti- beta voh sirat ki photo hogi naira aur sirat ki shakal ek dum same thi bus baal alag the kyuki sirat ek known boxer thi aur naira ek brilliant and famous dancer.

Aarohi- par mujhe laga vo mumma h isliye maine maan liya kyuki unhone bola ki ye photo unke shadi se pehle ki h. Maine unse pucha ki agar akshu mumma ki daughter nhi h toh uska naam meri nani ke naam par kyu rakha h toh unhone bola ki beta sirat ki na naira ne bohot madad ki thi par sirat ek bohot hi lalchi aurat thi jo sirf akshu ko hi sari property dilwana chahti thi isliye usne marte waqt naira se vaada liya ki vo akshu ka naam akshara singhania ke naam pe rakhegi jis se sab ko lage vo naira ki beti h aur sari property uski ho jaaye.

Naksh- Aaru bache sheila ne tum se sab jhut bola sirat ek bohot achi lady thi vo akshu aur kairav se mili bhi thi aur apni blessings bhi di thi aur jab tumhe usne naira ko diya tha na apne marte waqt tab usne naira se kaha tha ki meri beti ka akshu jaisa h khayal rakhna par akshu ko meri aaru ke wajah se kabhi pareshan mat hone dena. Is sheila ne tumhare dil mein itni kadwahat bhar di thi taki tumhara voh faida utha sake bache.

Aarohi hearing all this start crying as she was in guilt to always accuse akshu for something she didn't do. For always hating her for snatching her things whereas she was no where at fault.

Akshu went towards her and hug her and aarohi start apologizing while crying in akshu arms.

Akshu- Aaru tu ro kyu rahi h teri galti nhi tune toh wahi mana jo tujhe bataya gaya ab vo insan hi galat tha ye baat tujhe thode hi pata thi. Please aab rona band kar de.

Aarohi- par akshu maine tere sath galat kiya h

Akshu- galat toh maine bhi kiya h jab mujhe tere sath hona chahiye tha tab mein tujhe chod kar chali gayi agar tere sath hoti toh ye galatfehmi kab ki mit jati. Ab tu rona band kar aur le ye thoda pani pil le aur aap sab bhi itna baate ki h gala sukh raha hoga kuch pi lijiye chaliye.

Akshu made aarohi drink water and after calming down a bit akshu asked from Aarohi

Akshu- Aaru tu ye bata tu aaj bhi us sheila aunty ke contact mein h.

Aarohi- haa par ab unka no toh mein block list mein dalungi.

Akshu- abhi nhi ek baar krishna di ko aa jane do uske toh hum sabak sikhayenge.
Vaise Krishna di aa kab rahi h

Aarohi- Sham tak aa jayengi unka plane land ho gaya hoga sari procedure complete karke aane tak sham toh ho hi jayegi.

____________________________________

Other Side (Airport)

Krishna- Hush Udaipur toh aa gayi ab ghar jakar akshu ke sath khub saari bate karenge.par ye mera bag kha gaya us belt pe toh dikh nhi raha. Hey bhagwan kahi koi chor toh nhi chura le gaya. Yrr kya ho gaya logo ko aaj kal toh humare desh mein airport pe bhi chori hone lagi h abhi kya karu.

She panics but then she sees a man in formal wear with her bag. She started shouting loudly "chor chor" People gather around the man and was just going to hit him when he stopped them

Ansh- (Short for abhiyansh) kya kar rahe yrr kyu maarne dode h koi chor mila h kya mein bhi chalunga use marne.

In the meantime krishna arrived at that place.

Krishna- you thief are tum jaise log hi humare desh ka badnam karte h tum log chize churate ho aur badnaam khamkha log humare desh ko bolte h. Kaha bhaag rahe the mera bag lekar. Haa bolo na bolte kyu nhi

Ansh- mohtarma bolne denge toh huzur pesh farmyenge. Maine aapka bag nhi churaya mein apni family se mil rah tha aur mera driver saaman lene gaya tha par usene galat bag utha liya mein toh use hi wapas karne aaya tha.

Krishna- ha toh tum kahi ke raaja ho kya jo driver ko bheja khud nhi jaa sakte the kya.

Ansh- maine abhi bola ki mein apni family se bohot time baad mil raha tha isliye maa ne unhe bhej diya aur tum toh mera picha hi nhi chod rahi. Ye lijiye aapka bag khush ab jaiye yaha se kyuki aapko pata nhi par mere pass bohot kaam h aapko late ho bhi sakta h .

Krishna took her bag and left with full attitude but ansh

Ansh- kya ajib pagal ladki h ye khair chodo ab toh udaipur aa gaye abhi jaldi bhai bhabhi se mulaqat hogi.

Here are our kriansh means Krishna and abhiyansh

Here are our kriansh means Krishna and abhiyansh

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Abhira Where stories live. Discover now