Part 38

709 39 4
                                    

As per the plan Neha, Saumya and Natasha went to jewelery store to select the jewelery, with them Rishabh was also there. Priya excused herself today as she had some extra classes. Ab jewelery ke mamlo me ladkiyan kaisi hain, yeh toh hum sab jante hain, fussy and excited. Toh aaj Rishabh ka bura haal honewala hain, ek toh sab usse chidayenge upar se jewelery shop pe kharreddari hain, par kya kare aakhir Dilli ki laddoo jo khana hain, anyways, the three lovely ladies come to the shop along with Rishabh and headed straight to the main section. Actually aaj shaadi ki jewelery khareed na hain, toh Saumya brought her lehenga also, taaki woh iske saath match karke khareed sake, par aaj kal ki ladkiyon ko bhari gehne pasand hi nahi aate, par shaadi toh life me ek hi baar hoti hain toh usme toh bhari gehne hi pehnne parenge, toh Neha ne iss baat ko dhyan me rakhte huye sets select karna shuru kiya, par Saumya ko kuch bhi pasand nahi aa raha tha. Lekin after much time ek set pasand aayi and that too complement with her lehenga, the set is very pretty and at the same time kaafi heavy bhi. Saumya ka bohot mann tha ki woh apna mangalsutra bhi khareede toh she asked Natasha to help her, toh tabhi Neha ne kaha

Neha " arre yaar agar hum sab karenge toh Rishabh ko kyun bulaya, usse leke jao aur select karlo, waise Saumya yeh cheez tumhare paas Rishabh ki amaanat banke rahegi, toh usse hi choose karne do.

Natasha laughed and said, well said bhabhi, isi bahane dono akele reh toh payenge kyun Rishabh, saying this she gave a pat on his shoulder.

Both Rishabh and Saumya blushed, though Rishabh wanted to spent time with her but in front of every one he can't, in fact he can't wait any more, abhi bhi shaadi me ek mahina baaki hain. Rishabh and Saumya went to another section to choose mangalsutra.

While they were choosing, Neha and Natasha were just looking at other sets.

Neha " toh kaisi chal rahi hain teri family life, tu khush toh hain na Karthik ke saath?

Natasha smiled and said, haan bhabhi bohot khush hoon, wahan sab mujhe bohot pyaar karte hain specially papa.

Neha " jahan tak maine dekha hain woh log ache hain, ab dekh Priya ne kaise fatty ki zindagi badal di hain

Natasha " haan bhabhi, bhai aaj kal bohot khush dikhte hain, sach me Priya bhabhi aake bhai ko samhal liya.

Neha " am sure Priya, fatty ko bohot khush rakhegi, maine dekha hain dono ke beech me bohot pyaar hain aur ek dusre ko complement bhi karte hain, am really very happy for him.

Yunhi baatein karte karte aur Rishabh Saumya ki romance shopping ko mila ke finally jewellery pasand ho gayi and they all come back in Kapoor Mansion.

While Natasha and Neha was pulling Saumya's leg in front of dadi and Krishnaji, Saumya was sitting with embarrassed look, Rishabh went to his room leaving Saumya in the hall, actually after coming from jewellery store, all gathered in the hall and was showing jewellery to dadi and Krishnaji, toh tabhi Saumya ne apni mangalsutra bhi dikhayi aur Neha aur Natasha ne uske taang kheechna shuru kar diya. In the mean time Priya bhi wapas aa gayi and all had a gala time.

Bas ab sirf 10 days baki hain shaadi me, sab preparations almost ho gaye hain, card bhi aa gaya hain aur invitations bhi ho gaye hain, kehte hain sab se pehela card bhagwan ko charaya jata hain toh card aane ke baad tay hua ke Rishabh aur Saumya dono jayenge Siddhivinayak, toh dadi ne insist kiya Ram aur Priya ko bhi jana parega, leaving any choice all went to Siddhivinayak, ab bhagwan ke darshan ke liye aaye hain toh thoda waqt toh lagega hi, toh hota yun hain ki mandir me thoda waqt lag gaya, upar se Priya thehri bappa ka bhakt toh usne toh puja bhi de dali, bas sab ache se ho gaya...aaj sab Lalaji ki kothi pe shift kar rahe hain, kyunki Amritsar se Roshan aur Sohan aane hi wale hain aur Saumya ke ma papa bhi aaj ki flight se aa rahe hain toh sab wahi rehenge. Sab bohot excited hain, toh dusri aur Neha, Natasha aur Priya milke Lalaji ki kothi ko achhi tareeke se decorate karne me jut gayi hain.

Second Chance ( Thread 2 ) Where stories live. Discover now