Chapter 4

1.2K 75 17
                                    




Well, this was a tough one to write. I couldn't get myself to write too many dialogues for Raavi coz it was heartbreaking in itself, writing this. And please ignore the mistakes, didn't get time to read through it again.

——————————-At Hardik's house—————

There's a sudden creak from the door and we see Maami and Anita entering the house.

Maami rushes off to Raavi hugging her  "Ehh Raavi, mere bacchi kaisi hai tu, main tujhe ghar lene aayi hoon. Agar yeh log yahan kya kar rahe hai, bhai, aur meri phool si bacchi ka haal banaya hai tum logon ne" touching her face trying to get a good look at her well being.

Raavi steps away and says "Maasi maa, aap yahan kya kar rahe ho, yeh sab kuch jo bhi hua, aapke aur Anita di ke wajah se ho raha, Aap ne hi dhoke se mujhse paper sign karwaye the na, agar main aapki asli beti hoti toh kya aap aisa karti" getting straight to the point.

Maami looks at her bewildered "Raavi, yeh tu kya bol rahi hai, Maine jo bhi kiya teri bhalaai ke liye kiya, tujhe uss jangli jaahil se saath main kaise rehne deti"

Raavi went off at Maami like "Maasi aap Shiva ki insult nahi kar sakti, yeh sab aapki wajah se hua hai, bachpan se leke aaj tak aapne humesha Pandya Pariwar ko bas dukh ke alawa aur kuch diya hi nahi, aap hi ki inn harkaton ke wajah se Shiva aaj tak kabhi mujhpe bharosa hi nahi karpaya, uske liye main humesha se uski maami ki behen ki beti hai reh gayi, kabhi Raavi ban hi nahi paaya" she sobbed thinking about how she had failed.

Maami explains "Raavi meri bacchi, main bas teri khushi chahti thi, aur woh tujhe uss jangli se chutkara milkar hi hota"

Raavi starts applauding her maasimaa for this and mocks her "Meri khushi ke liye kiya, achaa, dekhiye maasi, main kitni khushi hoon" pointing at herself, laughing sarcastically and then her expression turn grave and with hurt in her eyes she continued "aap meri khushi kabhi samajh hi nahi paaya, aap samajh hi nahi paayi ki main Shiva ke saath finally khushi thi, par aap ko meri kahan padhi hai, aap ko bas kaki se revenge lena tha, haaina, uss mein aapne mere sab kuch barbaad kar diya, ab toh aapko khush hona chahiye maasi, aap jeet gayi, aapko aapki jeet mubarak"

She walked to Anita and said "Aur Anita Di, aap, aapko toh mujhe behen kehte hue bhi sharam aati, aap itna kaise gir sakte ho, aap ne Dhara Di ke bacche ke saath aisa karne ka socha bhi kaise, aur aapne aapke plan mein mujhe bhi fasa diya, kyun, maine aapka kya bigaada" pointedly.

She finally breaks down on the floor "Kya bigaada tha, maine aap sab ka ki aap sab ka ki aap ne mere saath aisa kiya, kisi ko bhi farak nahi padta, koi kuch bhi aake keh deta hai, suna deta hai, kar deta hai, kyun mujhe chain se jeene nahi dete, bandh kijiye yeh tamasha, please, mujhse aur handle nahi hoga"

Meanwhile, there was someone at the door who was deeply pained watching her look so shattered. Shiva had never seen her this helpless and this broken down before, and he was the sole reason for it, if only he had controlled his anger and shown a little bit of trust, things would've been so different, she had done everything for him and his family and he had only given her pain in return. As he was gonna go rush off to console her, he sees Gaumbi reach out to her and say "Shaanth ho jaa Raavi, sambhal apne aap ko, tu toh strong bacchi hai na, tu zara sa bhi pareshan mat ho, aaj se koi tujhe kisi cheez ke liye force nahi karega, naa hi koi kuch sunaayega, tujhe apni zindagi ki nayi shuruwat karni thi na, issi liye college gayi thi na aaj, toh aaj se tu wahi kar jo tujhe sahi lage, aur koi tujhe tokega nahi, iski guarantee main leta hoon, chal ab uth aur kamre mein jaake aaram kar, aur aap sab ghar chale jaaye, aaj ke liye yahan bohut tamasha ho gaya" in a final tone.

Hearing this, Shiva steps out quickly and hides in an alley nearby, thinking about Raavi. He quickly realizes, going in now would make things worse and he doesn't want Raavi to face any more pain because of him.

ShiVi - RedemptionWhere stories live. Discover now